~~~~~~~~~~"SAMIR'S GAZALS KHAJANA"~~~~~~~~

by samir_bc on May 13, 2006, 10:41:10 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5235 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: June 29, 2006, 07:37:04 AM »
Reply with quote
Keep Going Sameer Bhai,..
Bahoot Hi Badiya Likh Rahe Ho,..
Lage Raho,..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
aja kareeb itna ki in saanso ko mehka de.............. samir"dilse" by samir_bc in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaisi bebasi hai samir "dilse" by Samir Dil Se in Shayri for Dard -e- Judai
samir_bc
Guest
«Reply #16 on: July 18, 2006, 06:27:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Keep Going Sameer Bhai,..
Bahoot Hi Badiya Likh Rahe Ho,..
Lage Raho,..




thnks jaanasheen




Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse,
bas is baat ki badi umeed hai aapse,
khafa na hona agar hum khafa rehein aapse




Logged
samir_bc
Guest
«Reply #17 on: July 18, 2006, 06:28:09 AM »
Reply with quote



Mera gunah kya hai ye to bata dijiye,
aashiq hoon main aapka itni to mat saza dijiye,

Bahut tadpaya hai yaadoon mein aakar,
ab to zara apna chehra dikha dijiye,

Saari raah mein kaante hi kaante hain,
kuch phool aap hi bichha dijiye,

Jaage hain bahut uth uth kar ratoon mein,
ab chain ki neend aap hi sula dijiye,

Bahut peeli maikhane mein ja kar,
ek baar zara nazroon se pila dijiye,

Gin gin ke guzare hain din kitne,
intezaar ka kuch to sila dijiye...!!!




Logged
samir_bc
Guest
«Reply #18 on: July 18, 2006, 07:01:43 AM »
Reply with quote


Kis Qadar Zulm Dhaya Karti Ho
Yeh Jo Tum Bhool jaya Karti Ho

Kis Ka Ab Haath Rakh K Seenay Par
Dil Ki Dharkan Sunaya Karti Ho

Hum Jahan Chai Peenay Jatay Thay
Kia Wahan Ab Bhi Jaya Karti Ho

Kon Hai Ab Ke Jis Ke Chehray Par
Apni zulfon Ka Saya Karti Ho

Q Merey Dil Main Rakh Nahin Detay
Kis Liey Gum Uthaya Karti Ho

Phone Par Geet Jo Sunatay Thay
Ab Woh Kis Ko Sunaya Karti Ho


Akhri Khat Main Us Nay Likha Tha
Tum Mujhay Yaad Aya Kartey Ho



Logged
samir_bc
Guest
«Reply #19 on: July 18, 2006, 07:13:24 AM »
Reply with quote
Hamesha jaane ki baat karta hai koi
phir azmaane ki baat karta hai koi

baar baar main rokta hu uski raahaien
hawa ban jaane ki baat karta hai koi

main barasta hun roz barish ki tarah
dhoop ho jaane ki baat karta hai koi

main chuta hun uski gheeli palke
ruth jaane ki baat karta hai koi

kehta hai har roz sirf ek baar aa
aa ke na jaane ki baat karta hai koi

sirf ek baar apni awaz suna kar
din guzarne ki baat karta hai koi

apni neende mere sarhane rakh kar
so jaane ki baat karta hai koi




Logged
samir_bc
Guest
«Reply #20 on: July 18, 2006, 08:03:05 AM »
Reply with quote



bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijye
kabhi aa ke mere zakhmon ka deedar kijye
 
ho jaaiye begaane aap shaquq se sanam
aapke hum aapke rahenge aitbaar kijye
 
padne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijye
 
na majboor kijye, k main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijye
 
in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijye
 
karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijye
 
phir sapno ka aashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khbardaar kijye
 
hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhooke hain hame pyaar kijye



Logged
samir_bc
Guest
«Reply #21 on: July 18, 2006, 09:29:09 AM »
Reply with quote
Dosron ko hamari sazaein na de...
chandni raaton ko bud`duain na dey...
 
phool se aashiqi ka hunar seekh le...
titliyaan khud rukein gi sadaein na de...
 
sab sazaoun ka ikraar kerne lage hum...
ess qadar khoobsorat sazaein na de...
 
moteeeoin ko chupa seepion ki terha...
be wafaon ko apni wafain na de...
 
main biker jaoun ga ansuon ki terha...
es qadar pyaar se bad duain na de...




Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: July 18, 2006, 12:48:31 PM »
Reply with quote
Bahot Khoob Sameer Bhai Har Baar Ki Tarah,..

Yaar Jo Gazals Tum Likhte Ho Pardhkar Bahoot ACCHA Lagta Hai,..
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #23 on: July 18, 2006, 03:35:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Bahot Khoob Sameer Bhai Har Baar Ki Tarah,..

Yaar Jo Gazals Tum Likhte Ho Pardhkar Bahoot ACCHA Lagta Hai,..





thnks brother


Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon,
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon.
 
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha,
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon.
 
Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin,
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon.
 
Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin,
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon.
 
Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon




Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: July 19, 2006, 12:27:04 PM »
Reply with quote
Waah' Bahoot Khoob Bhai,.
Tumhara Likha Hua Jo Pardhta Hoon,..
Dil Ko Bahoot Choo Jaata hai,..
Nice One,..

Ye Jo Gazals Hain Ye Tum Likhte Ho Ya Koi Aur Bhi Shameel Hai Ismein,..
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #25 on: July 28, 2006, 01:22:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"


Kis Qadar Zulm Dhaya Karti Ho
Yeh Jo Tum Bhool jaya Karti Ho

Kis Ka Ab Haath Rakh K Seenay Par
Dil Ki Dharkan Sunaya Karti Ho

Hum Jahan Chai Peenay Jatay Thay
Kia Wahan Ab Bhi Jaya Karti Ho

Kon Hai Ab Ke Jis Ke Chehray Par
Apni zulfon Ka Saya Karti Ho

Q Merey Dil Main Rakh Nahin Detay
Kis Liey Gum Uthaya Karti Ho

Phone Par Geet Jo Sunatay Thay
Ab Woh Kis Ko Sunaya Karti Ho


Akhri Khat Main Us Nay Likha Tha
Tum Mujhay Yaad Aya Kartey Ho





wah samir ji harr ek ghazal gazab hai.. bahut khoob.........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: August 01, 2006, 08:53:12 AM »
Reply with quote
Lage Raho Sameer Bhai.
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #27 on: August 01, 2006, 10:54:17 AM »
Reply with quote
thnks all of u


Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein tu roz karti ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamari nazaron ko samjh kar tu dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhaara
Kabhi hum say dil lagaa kar tu dekho
Humaari baton ne tumhaara dil kai baar behlaaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar tu dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar tu dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar eitbaar kar ke tu dekho
Hum tumhein zindagii mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho
Tumhein apnane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar tu dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnanaa
Ek baar hamein apna banaa kar tu dekho



Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: August 02, 2006, 03:54:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"
thnks all of you


Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein tu roz karti ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamari nazaron ko samjh kar tu dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhaara
Kabhi hum say dil lagaa kar tu dekho
Humaari baton ne tumhaara dil kai baar behlaaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar tu dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar tu dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar eitbaar kar ke tu dekho
Hum tumhein zindagii mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho
Tumhein apnane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar tu dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnanaa
Ek baar hamein apna banaa kar tu dekho





bahut khoob samir ji .................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: August 03, 2006, 02:06:30 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Sameer Bhaijaan,..
Lage Raho,..
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:44:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer