~~~~~~~~~~"SAMIR'S GAZALS KHAJANA"~~~~~~~~

by samir_bc on May 13, 2006, 10:41:10 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 5316 times)
samir_bc
Guest
«Reply #30 on: August 04, 2006, 02:07:18 PM »
Reply with quote
thanks ranjana ji and azeem brother


ek aarzu hai zindagi main bus itni
tumko meri bhi thodi kadar ho jaye

jitna tadapte hai hum tumse door hoker
tumko bhi thodi si tadap ho jaye

jis tarah ruthne per manate hai hum tumko
humbhi ruthe aur tu bhi manane aye

jis tarah dil ki har dhadkan leti hai naam tera
teri dhadkano se bhi mera naam aaye

jis tarah tujhko dekhne ko tarasti hai aankhen meri
tujhe bhi mujhe dekhe bina chain na aaye

khuda kare zindagi main ek aisa bhi mod aaye
tere jism se mere jism ki khushboo aaye


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
aja kareeb itna ki in saanso ko mehka de.............. samir"dilse" by samir_bc in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaisi bebasi hai samir "dilse" by Samir Dil Se in Shayri for Dard -e- Judai
ranjana
Guest
«Reply #31 on: August 05, 2006, 02:16:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob samir .....

teri baate sun ke hum apna sab kuch kho bethe hain
dil ki dharkan kho bethe hain chein is dil ka kho bethe hain

jab se teri nazaro ko hamne basaya hai apni aankho mein
ek khawab salona sa saja hai apni nedo ko kho bethe hain

kuch is tarah se aadat pad gayi hai ab teri mujhko
bas dil karta hai tujhse milne ko baki sab milna chhor bethe hain

ab tere dil ke siva mera thikana koi aur nahi hai
teri saanso mein ab hum apni saanso ko kho bethe hain
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #32 on: August 05, 2006, 10:09:10 AM »
Reply with quote
thnks ranjana ji, bahut achcha likha apne


tujh se dur rehke zindagi ab kaate nahi kat ti
dil se teri yaad ek pal bhi nahi hat ti

zindagi ko ho gayi hai teri aadat itni
teri yaadon se ab hamein fursat nahi milti

chahti hai yeh nazre dekhti rehe har lamha apko
talashti hai yeh nazre apko per apki ek bhi jhalak nahi milti

dil chahta hai apse baat kerna har lamha
ap hai ki apko hamare liye fursat nahi milti

jeena ab mushkil hai tumse yun dur rehker
hume ab bhi merne ki ijaazat nahi milti



Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: August 06, 2006, 06:04:49 AM »
Reply with quote
bahut khoob samir .....


jab hum they  saath saath toh sab kuch thaa unhe  yaad
bicharte hi woh pyaar hamara kissa sa ban ke reh gaya

basi hui thee is dil mein bas unki hi tasveere
dil mein ek kaanta unki yaad ka chubata sa reg gaya

bikhar se gaye sab khawab mere kuch is tarah
jaise koi tez hawa ka jhonka kushi ko udaa ke le gaya

maine toh kiya thaa aapse shikva sirf duniya ke logo ka
bhari mehfil mein aapka chehera kyu utar ke reh gaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #34 on: August 07, 2006, 10:00:33 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Sameer Bhai And Ranjana Sis,..
Kamaal Ka Likhe Ho Ap Dono Ne,..
Keep Going
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #35 on: August 07, 2006, 03:25:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob samir .....


jab hum they  saath saath toh sab kuch thaa unhe  yaad
bicharte hi woh pyaar hamara kissa sa ban ke reh gaya

basi hui thee is dil mein bas unki hi tasveere
dil mein ek kaanta unki yaad ka chubata sa reg gaya

bikhar se gaye sab khawab mere kuch is tarah
jaise koi tez hawa ka jhonka kushi ko udaa ke le gaya

maine toh kiya thaa aapse shikva sirf duniya ke logo ka
bhari mehfil mein aapka chehera kyu utar ke reh gaya



thnks azeem and sanjana ji


saath rahenge tere na bicharenge kabhi tumse hum
dur rehker to teri yaad aur bhi tadpati hai

humne bhi basaya hai apni saanso main tumko
tujhe bhulne ki soch se hi saanse tham jaati hai

tere har khwab ko hum apni palkon pe saja lenge
jab saath de pyaar apna to sab khwab sach ho jaate hain

hame koi shikayat nahi aapse, duniya ko to tere liye chor denge
duniya wale to pyar karne walon ko sirf azmate hain


Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: August 07, 2006, 04:03:36 PM »
Reply with quote
nice one Samir .....


teri baate sun ke aa gayi hai hame baate karna
warana hame toh jeena bhi na aata thaa

mohbbat ki dastaan kya likhte tujhko
hame toh nazare milna na aata thaa

likh diya hai aaj tujhe hamne peghaam -A- mohabbat
warana tujh se milne se pehle hame yun khat likhna na aata thaa

jab mila tu mujhe toh hi hame hasna aaya
warana mere labo ko muskarana  bhi na aata thaa

azama lete hain hum bhi ab dost dushmano mein
warana kisi ke dil mein utarana hame na aata thaa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: August 09, 2006, 06:12:17 AM »
Reply with quote
Har Baar Ki Taraah Bahoot Khoob Likha Hai Ranjana And Sameer Bhai,..
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #38 on: August 10, 2006, 05:54:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
nice one Samir .....


teri baate sun ke aa gayi hai hame baate karna
warana hame toh jeena bhi na aata thaa

mohbbat ki dastaan kya likhte tujhko
hame toh nazare milna na aata thaa

likh diya hai aaj tujhe hamne peghaam -A- mohabbat
warana tujh se milne se pehle hame yun khat likhna na aata thaa

jab mila tu mujhe toh hi hame hasna aaya
warana mere labo ko muskarana  bhi na aata thaa

azama lete hain hum bhi ab dost dushmano mein
warana kisi ke dil mein utarana hame na aata thaa




thanks azeem and too good ranjana

yeh asar hua hai tujhse milne ke baad
zindagi muskurane lagi, hawa gungunane lagi

betaab hain yeh ankhen tujhe dekhne ko
ke in ankhon se ab neend bhi jaane lagi

hum kabhi kisi se dil lagate hi na the
aur tu hai ki saanso tak main samane lagi

hume sirf tanhaiyon se lagao tha kabhi
ki ab tanhaiyon se bhi teri sada aane lagi

yeh jaadu tune kiya hai kaisa mujhper
ki har jagah tu hi tu nazar aane lagi

na subah ka pata hai na shaam ki khabar
teri yaadon me meri subah shaam hone lagi

jaldi aajao ab tum hamari bahon main
teri duriyan hume ab bahut satane lagi


Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: August 10, 2006, 08:55:28 AM »
Reply with quote
shukriya azeem bhai..........samir aapne bahut hi sunder likha hai ..


jo duniya kahe ki hum bhul jaaye tujhe
mere hamsafar yeh ab mujh se na hoga

hai bahut mushkil yeh ishq ki dagar
ab tanah na mujh se safar taye hoga

is dard ki raat ko ab kaatana hai  kisi tarah bhi
kya yeh waqt ab hum per mehrbaan hoga

kahi bhi dikha tera saaya bhi ab hame
wahi per ab mere har sakoon ka ghar hoga

jo tu  rehta hai har wqat mere hi khyalo mein ghum sanam
toh ab meri har dharkan mein bhi naam bas tera hi hoga

milega mujhe bhi ab chain wahi per aa ke jaanam
jahan tu aur tera pyaar bas mere sang hoga
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: August 10, 2006, 11:52:59 AM »
Reply with quote
Ur Welcome Sameer Bhai And Ranjana Sis,.



Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #41 on: August 10, 2006, 11:57:02 AM »
Reply with quote
Dard To Rukne Ka Ab Naam Nahi Leta Hai,..
Sabar Se Dil Bhi Mera Kaam Nahi Leta Hai,..

Jab Se Bakshe Hain Meri Aankhon KO Aansoon Tune,.
Tab Se Deewaana Dil Araam Nahi Leta Hai,.

Itna Sang Dil Hai Ke Barbaad Karke Bhi Mujhko,.
Apne Sar Koi Bhi Ilzaam Nahi Leta Hai,..

Ye Inaayatein Bhi Kam Nahi Mere Harjaai Ki,..
Zakahm Deta Hai Magar Daam Nahi Leta hai,..

Khauf-e-Ruswaai Se Darta Hai Bahoot Wo "Ishrat",..
Wo Mera Naam Sar-e- Aam Nahi Leta Hai,..

______________-Ata Ullah Khan-____________
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #42 on: August 12, 2006, 07:47:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya azeem bhai..........samir aapne bahut hi sunder likha hai ..


jo duniya kahe ki hum bhul jaaye tujhe
mere hamsafar yeh ab mujh se na hoga

hai bahut mushkil yeh ishq ki dagar
ab tanah na mujh se safar taye hoga

is dard ki raat ko ab kaatana hai  kisi tarah bhi
kya yeh waqt ab hum per mehrbaan hoga

kahi bhi dikha tera saaya bhi ab hame
wahi per ab mere har sakoon ka ghar hoga

jo tu  rehta hai har wqat mere hi khyalo mein ghum sanam
toh ab meri har dharkan mein bhi naam bas tera hi hoga

milega mujhe bhi ab chain wahi per aa ke jaanam
jahan tu aur tera pyaar bas mere sang hoga



bahoot khoob likha hai apne azeem bhai n ranjana ji

duniya to pagal hai,duniya ki baton per jaate kiyon ho
jab maana hai humko humsafar apna to ghabrate kiyon ho

ho kitni bhi mushkil yeh ishq ki dagar na socho tum kuch
ham rahenge har kadam per saath tere darte kiyon ho

hai wada tere gam ke badle hum apni khushiyan tujhe dedenge
phir dard bant te kyon nahi dard ko chupate kiyon ho

teri har raat ko khushgwar banana hai khayi hai kasam humne
humper rakho bharosa, waqt ki mehrbaniyon per aas lagate kiyon ho

jab milta hai sakun dil ko tumhare bahon me aaker meri
to humko bhi tadpate kiyon ho, dur humse jaate kiyon ho



Logged
ranjana
Guest
«Reply #43 on: August 12, 2006, 12:58:52 PM »
Reply with quote
azeem bhai too good ........samir ji kya baat hai bahut khub.......

yeh aaj hum kis mukaam se gujarne lage
tere saaye bhi ab mere saath saath chalne lage

jalne lagi hai meri tanhaiyaan ab teri hi yaado se
tum mere sapano mein rang ban ke sajane lage

hai bas ek hi umeed ka daaman tujh se milne ka
sirf tere kiye vaado per mere jajabaat machalne lage

kabhi toh rut badalegi tere mere milne ki
ab toh rasata bhi manzil ki taraf badne lage

mil jaayega mujhe sakun teri hi bahaon mein aa kar
mere labo per ab tere hi geet  hasne se lage
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #44 on: August 12, 2006, 01:23:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Sameer Bhai,.
Bahoot Khoob Ranjana Sis And samir Bhai,.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:14:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer