azeem bhai too good ........samir ji kya baat hai bahut khub.......
yeh aaj hum kis mukaam se gujarne lage
tere saaye bhi ab mere saath saath chalne lage
jalne lagi hai meri tanhaiyaan ab teri hi yaado se
tum mere sapano mein rang ban ke sajane lage
hai bas ek hi umeed ka daaman tujh se milne ka
sirf tere kiye vaado per mere jajabaat machalne lage
kabhi toh rut badalegi tere mere milne ki
ab toh rasata bhi manzil ki taraf badne lage
mil jaayega mujhe sakun teri hi bahaon mein aa kar
mere labo per ab tere hi geet hasne se lage
thanks azeem and sanjana,
this one is very nice ranajana ji
yeh jo tum pyar bhari baatien kiye jaati ho
saamne aati bhi nahi aur hume apna banaye jaati ho
jidhar bhi dekhte hain, jahan bhi jaate hain hum
har taraf ek saaye ki tarah saath saath jaati ho
hum to kabse chahte hain hona rooh baru tumse
aur tum ho ki sapno ko hi sajaye jaati ho
jab hamari tarah aap bhi tadapte ho humse milne ko
phir yeh intezaar ki ghadiyan kiyon badhaye jaati ho
humbhi chahte hain sukun pana teri baahon main aaker
aabhi jao hamari bahon me kyon aur tadpaaye jaati ho
shukriya samir .......bahut khoob ........
yeh khusbu ab ishq ki kahi sab taraf na mehek jaaye
mera vajood kahi tere daaman se lipat na jaaye
soch ke dar jaati hum mein akele mein kai baar
kahi tera naam koi mere chehere per likha pad na jaaye
tere hi pyaar se rango se saja ke rakhi hai maine duniya apni
aa jaa aaj pehlu mein ki yeh raat aaj toh kuch khawabo se behek jaaye
kaate nahi katati hai ab yeh ghadiya tujhse judai ki
ek baar aa ke mil le ki ab yeh safar tanah na hamse kaata jaaye