sar pe teri yaadon ka baadal to hai( taasir siddiqui..8th june'10)

by Taasir siddiqui on June 08, 2010, 09:54:15 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 964 times)
Taasir siddiqui
Guest
Reply with quote
Yun  to tanha hun magar phir bhi tanha nahin;
Tere saath guzaare hue woh pal to hai;

Dil ko behlaane ko koi teri tasvir na sahi,
Tere husn pe likhi hui meri ghazal to hai;

main gham ko apne seene  se lagaa leta hun,
Yeh soch kar mera phi koi paagal to hai;

Kitni dhoop hai zindagi ki viraan raahon me,
Shukr  teri  yaadon ka sar pe baadal to hai;

Mere chehre par udaasi  adhuri hai to kya,
Meri aankh ka har aansu mukammal to hai;

Maine yeh soch kar apne qaatil ko baksh diya,
Hisaab ke waste qayaamat ka kal to hai;



Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2010, 10:29:13 AM »
Reply with quote
Wah wah wah,bahut pasand aayi aapke gazal Taadir ji,great creation.excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2010, 12:06:13 PM »
Reply with quote
wahhhhhh taasir bhai bahot khoob ,,khass kar yeh ashaar to bahut pasand aae daad qubool karein janab ,,wah

Dil ko behlaane ko koi teri tasvir na sahi,
Tere husn pe likhi hui meri ghazal to hai;

Kitni dhoop hai zindagi ki viraan raahon me,
Shukr  teri  yaadon ka sar pe baadal to hai;

Mere chehre par udaasi  adhuri hai to kya,
Meri aankh ka har aansu mukammal to hai;




Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 08, 2010, 12:29:21 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Taasir Bhai..

Bhaut Hi khoobsurat jazbaaton Ko pesh kiya haia apne iss ghazal Mein

Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2010, 03:34:06 PM »
Reply with quote


    Taasir ji bahut achha likha hai aapne. hello2 hello2
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2010, 08:00:31 AM »
Reply with quote
Mr Taasir Siddiqui Saheb! Adaab!
Aap ki tehreer achchhi hai, masq-e-sukhan jaari rakheN.

Yun  to tanha hun magar phir bhi tanha nahin;
Tere saath guzaare hue woh pal to hai;

Dil ko behlaane ko koi teri tasvir na sahi,
Tere husn pe likhi hui meri ghazal to hai;

main gham ko apne seene  se lagaa leta hun,
Yeh soch kar mera phi koi paagal to hai;

Kitni dhoop hai zindagi ki viraan raahon me,
Shukr  teri  yaadon ka sar pe baadal to hai;

Mere chehre par udaasi  adhuri hai to kya,
Meri aankh ka har aansu mukammal to hai;

Maine yeh soch kar apne qaatil ko baksh diya,
Hisaab ke waste qayaamat ka kal to hai;




Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:33:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer