Saya-ae-zulf se daaman ko bachatey chaliye .... Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on December 22, 2011, 12:27:34 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 967 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote

Sitam-o-jaur ki roodaad sunaatey chaliye
Apne kandho'n pe saleeb apni uthatey chaliye

Doosro'n ke liye aasaa'n ho guzargahay-hayaat
Raah per naqsh-e-qadam aise banatey chaliye

Uljhanein sarey zamane ki jo hal karna ho                    
Saya-ae-zulf se daaman ko bachatey chaliye  

Taakay deewana banaye na yeh duniya ki nazar
Dil ke armano'n ko dil hi mein sulatey chaliye
 
Chandni raat hai baheki huyee chalti hai hawa
Dil ke soyay huay jazbaat jagatey chaliye  

Zindagi mein jo bichatey rahe kaantey sar-e-raah
Unki bhi qabr ko phoolo'n se sajatey chaliye

Bazm-e-jaana'n kabhi berhum na thi itni 'Sadiq'
Aaj ke rung pe do ashq bahaatey chaliye

                                   Sadiq Rizvi
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2011, 12:49:03 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sadiq ji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: January 10, 2012, 02:17:27 PM »
Reply with quote

Sitam-o-jaur ki roodaad sunaatey chaliye
Apne kandho'n pe saleeb apni uthatey chaliye

Doosro'n ke liye aasaa'n ho guzargahay-hayaat
Raah per naqsh-e-qadam aise banatey chaliye

Uljhanein sarey zamane ki jo hal karna ho                   
Saya-ae-zulf se daaman ko bachatey chaliye 

Taakay deewana banaye na yeh duniya ki nazar
Dil ke armano'n ko dil hi mein sulatey chaliye
 
Chandni raat hai baheki huyee chalti hai hawa
Dil ke soyay huay jazbaat jagatey chaliye 

Zindagi mein jo bichatey rahe kaantey sar-e-raah
Unki bhi qabr ko phoolo'n se sajatey chaliye

Bazm-e-jaana'n kabhi berhum na thi itni 'Sadiq'
Aaj ke rung pe do ashq bahaatey chaliye

                                   Sadiq Rizvi


kya khoob .alaaaaaaaaaaaaatareeeeeeeeeeen ghazal. SR SB TAHE DIL SE DAAAAAAAAAAAD QABOOOL KAREIN. ZABARDAT ASHAAR SE PIROYAA HUA BEHTREEN GHAZAL . KYA KAHNE


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #3 on: January 14, 2012, 09:38:06 AM »
Reply with quote
Mahutram Sadiq Rizvi Sahab assalamwalekum ,,


Apki Ghazal parhi kaafi Mustafeed howa ,,Ache sher kahe hain Apne ,,,Meri dad khubool Kare.N ,,

MAtle ke misra-e-oola me Lafz sitam ki bandish pe nazar ruk gaai suncha apse puch lo.N ,,Umid hai rahenumai farhm kar sikhne ka mauqa denge ..Allah Apko khush rakhe ..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #4 on: February 16, 2012, 11:17:35 AM »
Reply with quote
Qadeer saheb purane zamane meiN jiss ko saza hoti thi usey apni saleeb khud bana kar uthani padti thi usi ki akkasi ki hai agar maneiN to yeh kisi sitam se kam nahin tha anyway bahut bahut shukria
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #5 on: February 16, 2012, 11:36:10 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #6 on: February 16, 2012, 12:32:50 PM »
Reply with quote
shikwa e aaiyyam bahut khoob kiya
shayar ne apna kaam bahut khoob kiya
kalam ghiste ghiste fanaa ho gaye
bada mushkil tha kaam, bahut khoob kiya
jo the bismil unhe yuun satate rahe...
kore lafzon ke marham lagate rahe...
roodade wafa ye sunnate rahe...
din raat subah shaam...bahut khoob kiya
bazme jaana nahi hai yeh sansaar
zindagi jung hai..jeet ya haar hai
saayari bakbaki bakbaki saayari
bekaar ke ye kaam...bahut khoob kiya







Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:23:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer