Mujhe afoas he ke mein ne nahaq aapki ghazal ka tanqeedi jaiza le kar ghalati kee....
Janab! abhi tak k comments k tabadlay say hum yehi nateeja nikaal sakay hen, k aap k ehsaasaat hamaray comments k muhtaaj nahi.. yaani aap kuch bhe, kabhi bhe mehsoos kar saktay hen... aur raaqim-ul-haroof ko is par koi qudrat nahi...
agar aap taqte'e aur behar o urooz me dilchaspi rakhte hein
hum samajhtay hen k shayari seekhnay k tamam khawahish-mandon ko is men dil-chaspi honi chahiyay...
aapk0
Altaf Hussain Hali ki tasneef MUQADDAMA SHER O SHAIRY zaroor parhni chahye...aapko her baat ka jawab mil jaye ga.
buhat shukriya aap ne book suggest ki.. is book ko samajhna nisbatan mushkil hay.... is gharaz say hum ne isay 7th number pr study karnay k liyay rakha hay.. baaki 6 books kuch aasaan andaaz men baat karti hen...
afsoas he ke aap ka ye shair bhi wazan se gira hua nikla...
''Chaar din bus guzaar len yaaN par''
Cha Rdin bus Guzar Len Yaan per....ye apki taqtee he
is par hum zyada baat nahi karen gay ku k ye misra zer-e-behes nahi..... ilawa azeeN ake naya silsila chal niklay ga... jo munasib maaloom nahi ho raha... haan ye zaroor kahen gay... k is ki taqtee aap ne ba-shamool-e-saakinaat he kar di hay... may be aap ne aisa hamari samajh k liyay kiya ho... lekin agar aisa nahi.. tu hamaray ilm men izaafa hua k taqtee ka ye tareeqa bhe kahin murrawaj hay...
doosray ashaar kee taqtee ye he ..
Chaa rdin bus guzaar lenyaaN par
Hum nekya see khna, sikhaa na hay
Kar rahay hen kisi saybaa ten hum
Sha yari tu faqat bahaa na hay
yahan aap ne usi misray ki taqtee different tareekay say kar di hay... jisay pehlay aap aur tarah kar chukay hen... lekin aap k ilm k havalay say hamen yaqeen hay k ye faqat chhoti say ghalti hay jo kisi say bhe ho sakti hay... mazeed nahi kahen gay kuchh k ye bhe hamaray subject ka hisaa nahi..
aur zara is per bhi ghor farmaiye!!
'Chho rdo in ''ko naseehat'' karna
Raa staa khud inhen banaa na hay''
yahan aa kar baat nikalti hay... k aakhir kaar aap ne ye tu wazeh kiya k aap ko kahan ghalat mehsoos ho raha hay... yehi aap ko buhat shuru men he kar jana chahiyay tha... hum aap k nuqtay ko ab samjhay hen.. sahi kaha hay aap ne... k is men problem hay... jisay hum ne is liyay khaatir men nahi rakha k Meer-o-Ghalib ka muqaabla karnay say tu hum rahay... lekin hamarai na-qas aqal k mutabiq hamara mudd'aa kuchh aisay hay...
sub say pehlay prolem...
cho-R-do in-ko-na sihat-ka-na
FAA-E-LUN FA-E-LUN MAFA-EE-LUN
(is men "cho-R-do" or "in-ko-na" hum-wazan ho gayay hen... aur "seehat-ka-na" agarch hamaray hisaab say qaabil-e-qabool hay lekin "eehat-ka-na" shayad zyada durust)
is misray ko pehlay kuchh is tarah parh kar dekhen... shayad kuch tarteeb mehsoos ho..
chore do in ko nseehat karna (naseehat k noon ki zabar hazaf hay)
ab Meer ki example ka ye misra... "main jo bola, kaha k ye aawaaz" saakinaat hazaf kar k
may-jo-bo la-k-ha k'ye-aa-waz
FAA-E-LUN FA-E-LUN MAFA-EE-LUN
(is men agar Meer sahab hamari tarah "la-ka-ha" kehtay tu "may-jo-bo" k baraber ho jata.. so "la-k-ha" ka zaber hazaf hay)
ab aap ka jaana pehchana misra... beher or sahi...
tere teer e nazar ka maara jaan se kion na jaye?
(yahan aap aakhir men, "jaye" men hamza k saath pooray ake harf "ya" ko sahi samajhtay hen... is ka matlab ye nahi k hum isay ghalat samajhtay hen.. aap hamaray comments wahan parh saktay hen... sirf misaal dena maqsad hay...)
so janab ghalati waqai sher men maujood hay is zabar ko saakin karnay par dar-guzar farmaain...
hamen jitni samajh hay wo itni he hay, agar ab bhe is men hum kuchh ghalti ya mukamaal taur par ghalat keh rahay hen tu bhe maazoor hen k mazeed kuchh keh saken... ku k is say barh kar hamaari samajh/ilm nahi...
-----
agar is ghazal ka mazmoon dekhen tu aap jaan len gay k ye ghazal wohi kehna chaah rahi hay... jo in comments k tabadlay ki waja say yahan hua hay... ye ghazal yahan saboot k saath rahay gee.. ye achhi baat hay... likhi is liyay thi... k hamen pehlay bhe kuchh tajurbay yahan huay...
guzaarish karen gay.. k aap ghazals par tabsira kartay waqt, sirf ashaar k giray honay ka certificate na day jaya karen.. balkay.. thora sa define kar jaya karen.. taakay hamaari or logon ki tas'hee ho sakay..
maazrat k saath... aap ka buhat waqt liya...
dua-go
vb