Shaam ko shab sey eik baar sahar kar deykho!!

by abdbundeli on April 02, 2010, 06:27:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1182 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Syaah zulfoun key saath, yaar, lahar kar deykho!
Shaam ko shab sey eik baar sahar kar deykho!!

Subah sey shaam guzarney ki baat kartey ho;
Bas eik baar, meyrey yaar, thhahar kar deykho!

Rooh-e-parcham hai nihaan, teyrey hansin daaman mein:
Khwaab mein hee sahee, mahboob, fahar kar deykho!

Bahaar jaa rahi hai, fir baheygi baad-e-samoom;
Jaa rahey dour ko khushgaam, dahar kar deykho!

Itnaa taya hai, ki, baanhuoun mein lalak jaageygee;
Meyrey aagosh-e-tasawwur mein sihar kar deykho!

Itnee duniya mein abhi bhi muqaam-e-may kam hain;
Shahra dar shahra saaqiyah ka shahar kar deykho!

Zeest-e-dariyaa to fanaa hokey fir rawaan hogee!
Lamhah-e-wasl, 'abd', safar-e-bahar kar, deykho!!

sahar = subah; Rooh-e-parcham = spirit of flag; nihaan = chhupee huyee; baad-e-samoom = khaasee garm hawaa,loo; khushgaam = (gajgaamee) aisee chaal jo deykhneywaaley key man mein khushee bhar dey; dahar = khaasaa lambaa arsaa; aagosh-e-tasawwur = vichaaroun/bhawnaaoun ki god; muqaam-e-may = wah jagah jahaan hameyshaa hi sharaab miltee ho; Shahra dar shahra = eik shahar sey doosarey shahar tak; Zeest-e-dariyaa = nadee ki zindagee; fanaa hokey = mar kar yaanee shookh kar; rawaan hogee = chalney/bahney lageygee; Lamhah-e-wasl = milan kaa pal/kshan; safar-e-bahar = samundar kaa safar.

                                  - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sahar-o-shab pe phir by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
SAHAR by NETRAPAL in Shairy-E-Watan
ye sahar...... by NETRAPAL in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Tum ney har baar shab-e-wasl sataayaa hai hamain! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Subah piyo; shaam piyo; shab-o-roz jaam piyo! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: April 02, 2010, 10:08:54 AM »
Reply with quote
bahut khoob ABD ji. Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: April 02, 2010, 02:08:56 PM »
Reply with quote
bahut khoob ABD ji. Applause Applause Applause

Thanks SURESH SANGWAN ji!

           - abd bundeli
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2010, 09:17:19 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: April 03, 2010, 06:27:53 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Abd Ji

Thanks Rajesh Ji!

    - abd bundeli
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: April 06, 2010, 10:03:43 PM »
Reply with quote
iss haqiqat se inkaar nahi ki ghazal paae ki hai .. lekin kya achha hota jo aap kathhin alfaaz ke maani'e bhi darj kardiye hote ..yehi guzarish hai ki jahaan jahaan kathin lafz hain wahaan unke maani'e likh dein to shair ko samajh ne main asaani hogi .. bhot achhi pesh kash.

Syaah zulfoun key saath, yaar, lahar kar deykho!
Shaam ko shab sey eik baar sahar kar deykho!!

Subah sey shaam guzarney ki baat kartey ho;
Bas eik baar, meyrey yaar, thhahar kar deykho!

Rooh-e-parcham hai nihaan, teyrey hansin daaman mein:
Khwaab mein hee sahee, mahboob, fahar kar deykho!

Bahaar jaa rahi hai, fir baheygi baad-e-samoom;
Jaa rahey dour ko khushgaam, dahar kar deykho!

Itnaa taya hai, ki, baanhuoun mein lalak jaageygee;
Meyrey aagosh-e-tasawwur mein sihar kar deykho!

Itnee duniya mein abhi bhi muqaam-e-may kam hain;
Shahra dar shahra saaqiyah ka shahar kar deykho!

Zeest-e-dariyaa to fanaa hokey fir rawaan hogee!
Lamhah-e-wasl, 'abd', safar-e-bahar kar, deykho!!

sahar = subah; Rooh-e-parcham = spirit of flag; nihaan = chhupee huyee; baad-e-samoom = khaasee garm hawaa,loo; khushgaam = (gajgaamee) aisee chaal jo deykhneywaaley key man mein khushee bhar dey; dahar = khaasaa lambaa arsaa; aagosh-e-tasawwur = vichaaroun/bhawnaaoun ki god; muqaam-e-may = wah jagah jahaan hameyshaa hi sharaab miltee ho; Shahra dar shahra = eik shahar sey doosarey shahar tak; Zeest-e-dariyaa = nadee ki zindagee; fanaa hokey = mar kar yaanee shookh kar; rawaan hogee = chalney/bahney lageygee; Lamhah-e-wasl = milan kaa pal/kshan; safar-e-bahar = samundar kaa safar.
                               

                                  - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2010, 06:50:54 AM »
Reply with quote
iss haqiqat se inkaar nahi ki ghazal paae ki hai .. lekin kya achha hota jo aap kathhin alfaaz ke maani'e bhi darj kardiye hote ..yehi guzarish hai ki jahaan jahaan kathin lafz hain wahaan unke maani'e likh dein to shair ko samajh ne main asaani hogi .. bhot achhi pesh kash.

Thanks nazar ghouri ji! Aapney jo chaahaa thaa, meiney kar diyaa hai, haalaanki, alfaaz itney 'kathin' to naheen they, muhtarim!

                                       - abd bundeli  
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: April 08, 2010, 07:09:39 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne Abd ji.paheli 2 lines bahut pasand aayi .great creation. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2010, 08:00:25 AM »
Reply with quote
wah wah wah bahut hi khoob bundeli ji...

jasbir singh
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: April 08, 2010, 01:28:58 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne Abd ji.paheli 2 lines bahut pasand aayi .great creation. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause

Thanks Madhu!

   - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: April 08, 2010, 01:29:49 PM »
Reply with quote
wah wah wah bahut hi khoob bundeli ji...

jasbir singh

Thanks Jasbir ji!

   - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #11 on: April 08, 2010, 03:25:09 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob
Logged
malli
Guest
«Reply #12 on: April 08, 2010, 03:37:53 PM »
Reply with quote
Mohobbat Ki Aatish Edhar Hi Sahi
Mere Gam Se Vo Bekhaber Hi Sahi

Yu Hi Dil Mein Rehe Tum Hamare Sada
Tera Ghar Hai Hum Dar Badar Hi Sahi

Mohabbat Ke Saye Tumhare Liye
Hume Dhoop Ka Ye shehar i Sahi

Ye Manzil Hamesha Rahe Khwaab Mein
Mere Naam Per Reh Guzer Hi sahi

Marsarat Ki Raatein Mubarak tumhe
Hame Intezare-Sehar Hi Sahi

Mere Sher Un Tak Pahunchte Toh Hai
Ki Pattar Pe Gira, Be-Asar Hi Sahi

Nahi Hai Muqaddar Mein Tum Kya Hua
Tere Justaju Mein Guzar Hi Sahi

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: April 08, 2010, 05:04:59 PM »
Reply with quote
wah wah wah Malli ji.. wah wah

jasbir singh
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: April 09, 2010, 07:01:10 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob


Mohobbat Ki Aatish Edhar Hi Sahi
Mere Gam Se Vo Bekhaber Hi Sahi


Yu Hi Dil Mein Rehe Tum Hamare Sada
Tera Ghar Hai Hum Dar Badar Hi Sahi

Mohabbat Ke Saye Tumhare Liye
Hume Dhoop Ka Ye shehar i Sahi

Ye Manzil Hamesha Rahe Khwaab Mein
Mere Naam Per Reh Guzer Hi sahi

Marsarat Ki Raatein Mubarak tumhe
Hame Intezare-Sehar Hi Sahi

Mere Sher Un Tak Pahunchte Toh Hai
Ki Pattar Pe Gira, Be-Asar Hi Sahi

Nahi Hai Muqaddar Mein Tum Kya Hua
Tere Justaju Mein Guzar Hi Sahi



Thanks malli ji! Khasee achchhee gazal peysh ki hai! Waah!

Asar, asar hai; kabhi beyasar nahin hotaa!
Kuchh to hotaa hai, agar, beej gayaa ho boyaa!
Justajoo keejiye, to, raah nikal aatee hai;
Khwaab aayengey khoob, jab bhi karogey soyaa!!

                              - abd bundeli


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:47:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer