Shaitaan Ka Khatra

by mazHur on August 02, 2012, 09:01:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1175 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
Ulfat na kare woh jisse ho jaan ka khatra
Shaitan ka khatra ho ya imaan ka khatra


khaata hoon gham e ishq bhi aftaar ta sehri
mujh ko nahi rozay ka na ramzaan ka khatra


Tanhai mein milne se unhein he ye qabahat
kehte hein ke is mein he shaitaan ka khatra


Jinn bhootoan se hamko tu zara dar nahi lagta
insaan ko faqat rehta he Insaan ka khatra


phir koi khabar laya he  qasid tere haan se
lagta he mere sar pe  he Toofan ka khatra



na kaali ghata chaee he na abr na bijli
kam kam he teri zulf e pareshaan ka khatra


Janey du agar jati he ye Ishq mein un ke
mana ke bahut  ishq mein he   jaan ka khatra.











Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 02, 2012, 10:41:40 PM »
Reply with quote
nice
Logged
soudagar
Guest
«Reply #2 on: August 03, 2012, 01:07:19 AM »
Reply with quote
bahut khub mazhur ji bahut hi khub.........

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: August 03, 2012, 01:08:02 AM »
Reply with quote
Mazhur jee lajwab ghazal hai, dheerrrooon Daaad qubool kareN..... Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: August 03, 2012, 04:34:13 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: August 03, 2012, 06:37:57 AM »
Reply with quote
bahot khoob
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #6 on: August 03, 2012, 04:46:17 PM »
Reply with quote
waah waah, shaandaar
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: August 03, 2012, 05:06:21 PM »
Reply with quote
Bahut hi shaandaar ghajal pesh kee hai aapne.
sabhi ashaar khoob rahe.
jitni taareef ki jaaye kam hai.
Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: August 05, 2012, 10:10:57 PM »
Reply with quote
Ulfat na kare woh jisse ho jaan ka khatra
Shaitan ka khatra ho ya imaan ka khatra


khaata hoon gham e ishq bhi aftaar ta sehri
mujh ko nahi rozay ka na ramzaan ka khatra  mazhur sb iss sher pe mujhe aitraaz hai. wajh ye kii rozey aur namaaz ko mazaak ke taur pe na lein ye bahut hii naagwari wali baat hai Shocked Even More Shocked Even More


Tanhai mein milne se unhein he ye qabahat
kehte hein ke is mein he shaitaan ka khatra


Jinn bhootoan se hamko tu zara dar nahi lagta
insaan ko faqat rehta he Insaan ka khatra


phir koi khabar laya he  qasid tere haan se
lagta he mere sar pe  he Toofan ka khatra



na kaali ghata chaee he na abr na bijli
kam kam he teri zulf e pareshaan ka khatra


Janey du agar jati he ye Ishq mein un ke
mana ke bahut  ishq mein he   jaan ka khatra.














baaqi ashaar khoob hain
Logged
mazHur
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2012, 11:05:07 PM »
Reply with quote
dost, apka aitaraz durust maan leta agar asaatiza ne is qism kee taba azmaaee na kee  hoti, maslan Ghalib hee ka ye shair mulahiza farmayiye...

SAQI SHARAB PEENAY DE MASJID MEIN BETH KAR
YA WOH JAGAH BATA KE JAHAN PER KHUDA NO HO!!

more of such poetical gestures can be found in poetry and they in no way intend to harm the ehtaraam of masjid, mandir, namaz or roza!!:)
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:58:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer