Sheesha na sahi pathar bhi na tha

by Pooja on September 06, 2004, 04:39:29 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5362 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #15 on: October 13, 2005, 09:53:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai AKS JI!!!!


Thanks Pooja ji!!! :lol:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SHEESHA HOON TOOTKAR BHI by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
sheeshe ko sheesha..... by mili_genie in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
dil SHEESHA......... by ali_blues in SMS , mobile & JOKES
sheesha....A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Tod dun sheesha jahan.....Premdeep by premdeep in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 26, 2007, 09:02:15 PM »
Reply with quote
bheed mein ek ajanabi ka saamana achchha laga
sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achchha laga

suramaai aankhon ke neeche phool se khilane lage
kahate kahate kuch kisi ka sochana achchha laga

dil mein kitane ahad baandhe the bhulaane ke liye
wo mila to sab iraade todana achchha laga

dushman-e-jaan hai par 'amajad' main bura kaise kahu
jab bhi aaya saamane wo bewafa achchha laga(nm)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #17 on: March 27, 2007, 10:37:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bheed mein ek ajanabi ka saamana achchha laga
sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achchha laga

suramaai aankhon ke neeche phool se khilane lage
kahate kahate kuch kisi ka sochana achchha laga

dil mein kitane ahad baandhe the bhulaane ke liye
wo mila to sab iraade todana achchha laga

dushman-e-jaan hai par 'amajad' main bura kaise kahu
jab bhi aaya saamane wo bewafa achchha laga(nm)


Waah bahut achchhe !!! very Fine pooja ji!!! :D



Badalon ka kaafilaa aataa hua achchha laga!
Pyas ki Dharti ko har sawan bada achchha laga!

Us Bhari Mehfil mein uska chund lamhon ke liye,
Mujh se milna baat karna, Dekhna achchha laga!

Jin ka sach hona kisi soorat mein bhi mumkin na tha,
aisi aisi baatein aksar sochna achchha laga!

Woh to kya aata magar Khushfahemiyon ke saath-sath,
Saari-Saari raat hum ko jaagna achchha laga!

Pahale-pahale to Nigahon mein koi janchta na tha,
rafta-rafta doosra phir teesra achchha laga!
[/color]


(NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: March 27, 2007, 01:17:15 PM »
Reply with quote
bahoot khoob.... App gaye Ronak aa gai hai Yoindia per Usual Smile

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-ba-dast aate hain aur kwaabaa-rasan jaate hain

jaise tazabeez-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi a jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain (nm)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #19 on: March 28, 2007, 02:45:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob.... App gaye Ronak aa gai hai Yoindia per Usual Smile

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-ba-dast aate hain aur kwaabaa-rasan jaate hain

jaise tazabeez-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi a jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain (nm)


Waah kya baat hai !!!bahut Khoob!!Pooja ji!! :lol:  :razz:

Raunak-e-mehfil  humse kahti hai ki hamare aane se woh aayee kya baat hai!! Jawaab nahin aapka!!!! :D


Jaan aise Khwabon se kis tarah chhudaun main!
Shahar so gaya sara ab kise jagaun main!

In akeli raaton mein, In akele raston par,
Kiske saath aaun main, kiske saath jaaun main!

Dekh!! kaise Din aaye! Dekh! main na kahta tha,
Tu Kareeb bhi aaye aur tujhe bulaaun main!

Paymaal-sabze par dekh kar gire patte,
Ab zameen se khud ko kis tarah uthaun main!

Ek hi si Tanhai, Ek hi sa sannaata,
Dasht kya hai, Dil kya hai, Kya tujhe bataun main!

Aaj sab mein ghul jaaun  Mujhko kya khabar kal tak,
Kisko yaad aaun main, Kisko bhool jaaun main!

Kitne kaam duniya ne de diye mujhe  yahan par,
ashk-e-gham giraaun mein, baar-e-gham uthaun main!
[/color]


{Paymaal-sabze : Hare bhare paudhe ; ashk-e-gham : Dukh ke aansu ; Baar-e-gham : Dukhon ka Bojh}


(nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: March 28, 2007, 03:17:30 AM »
Reply with quote
wah kamal hai.... jawab likhne phir se augi....  bahoot hi acha likha hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 28, 2007, 10:22:40 PM »
Reply with quote
yAH Sirf app likhe is liye share ki hai.. apki poem ka jawab abhi likh rahi hu Usual Smile

ajeeb saaneha mujh par guzar gaya yaaro
main apne saaye se kal raat dar gaya yaaro

har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundhala
har ek zakm mere dil ka bhar gaya yaaro

bhatak rahi thi jo kashti vo gaqr-e-aab hui
chadha hua tha jo dariya utar gaya yaaro

vo kaun tha vo kaha ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koi shaks mar gaya yaaro  (NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: May 22, 2007, 03:26:11 AM »
Reply with quote
Zindagi mere liye keemati nemat teri
Mujh ko paida kiya tuney yeh hai kudrat teri
Imtahaan loonga main do chaar baras karke gunaah
Jurm mere hain zyada ke hai rehamt teri

Khalik hai har ek shai ka, bata tu hi bata
Main banda hun aur tu hai khuda, tu hi bata
Karta hoon bura main to sazaa deta hai
Hum dono mein kya phark raha tu hi bata"

Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Ab elahi mere pairon mein ujaala de de Sabr de ya mere zakhmon ko

Umar bhar jisne kadi dhoop mein rahat dee hai
Umar bhar jisne kadi dhoop mein rahat dee hai
Us sulagti hui deewar ko saaya de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Mere haathon mein koi aisa khilona de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko (nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: June 04, 2007, 05:23:52 PM »
Reply with quote
hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle

ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle

ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle

kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle

hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle

ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle

ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle

bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha hi rawaan thay pehle

dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle (nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: June 04, 2007, 05:26:40 PM »
Reply with quote
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho

kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho

kahin taar daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho

yeh udaas udaas se baam-o dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin na sahi magar sir-e ku'a yaar koi tau ho

yeh sakoon-e jaan ki ghari dhale tau chiragh-e dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e ishq ya ghum-e rozgaar koi tau ho

sir-e muqtil-e shub-e aarzoo hai kuch tau ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e daar koi tau ho
(nm)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: June 19, 2007, 06:23:04 AM »
Reply with quote
Bahoot Acchi Gazal Post Ki Aapne,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: February 12, 2008, 06:42:32 PM »
Reply with quote
thanks LIL BRO
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: February 13, 2008, 09:30:09 AM »
Reply with quote
Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai
mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete

ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai
ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete

rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii
rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete

kyaa biit ga_ii ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

Ahemd Faraaz Ji Ki Ghazal Hope You Lie It
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: February 13, 2008, 04:04:09 PM »
Reply with quote
wah kay abaat hai.. good sharing lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: February 20, 2008, 08:59:05 AM »
Reply with quote
Shukriya Didi,.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:51:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer