socha nahi achha bura

by nishita on July 23, 2004, 06:56:12 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3608 times)
nishita
Guest
Reply with quote
Socha nahi achha bura dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis par humari ankh ne moti bichaye the raat bhar
bheja wahi kagaz unhe likha magar kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi

ek shaam ki dehleej par baithe rahe wo der tak
ankhon se ki baatein bohat muh se kaha kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
socha nahi achha bura dekha suna aur kuch bhi nahi... !!


this is my fav.... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bura wo nahi hai by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
achha nahi lagta by bharary in Shayri for Khumar -e- Ishq
SOCHA NAHI ACCHA BURA.. by pandit in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
HAR BAAT PE HO CHARCHA ,ACHHA NAHI LAGTA by nazar ghouri in Ghazals « 1 2  All »
achha lagta he ya bura lagta he~ by AbhiTamrakar in Shayri for Dard -e- Judai
ashwin29j2000
Guest
«Reply #1 on: July 24, 2004, 07:20:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
Socha nahi achha bura dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis par humari ankh ne moti bichaye the raat bhar
bheja wahi kagaz unhe likha magar kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi

ek shaam ki dehleej par baithe rahe wo der tak
ankhon se ki baatein bohat muh se kaha kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
socha nahi achha bura dekha suna aur kuch bhi nahi... !!

Hi, i m ashwin.ur ghazal is wonderful.Just,wat's the meaning of the word 'Dahleej'?
this is my fav.... :)
Logged
nishita
Guest
«Reply #2 on: July 24, 2004, 10:15:36 AM »
Reply with quote
dahleez... means door
Logged
yammy
Guest
«Reply #3 on: July 27, 2004, 10:25:24 AM »
Reply with quote
its really great dear,
maine tumhe chaha shiwaalon ki tarah
tum door hi rahi khayalon ki tarah,
hum to tumhare ho gaye hote "nishita" kabse,
aapne chaha hi nahi chahne walon ki tarah
. :wink:
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: July 27, 2004, 12:56:02 PM »
Reply with quote
my my... ye kya hua , tum to serious hogaye,
humne to ghazal ksii aur ka likha ..aur aap hai ki khayalon mein kho gaye...!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #5 on: July 27, 2004, 04:08:00 PM »
Reply with quote
Btw.. that ghazal was vey good..

@ashwin29j2000

yaar 3-3 baar quote karney ki zaroorat kya.. ? If you like that then tell .. otherwise it was not good.. just was disturbance..
Logged
nishita
Guest
«Reply #6 on: July 28, 2004, 01:55:12 PM »
Reply with quote
yup its a wonderful ghazal..
Logged
tanha_dil
Guest
«Reply #7 on: July 28, 2004, 08:13:48 PM »
Reply with quote
socha nahi accha bura. dekha  suna kuch bhi nahi.........
 well nishita ji .......... gr8 1 .......keep it up...
 with love tanha dil
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: July 30, 2004, 09:01:51 PM »
Reply with quote
Bahoot khub nishita ji,


Tum ney apni chahatoon ka Iqrar manga hai to suno.
dil ke sachchey jazbey izhar ke mohtaj nahi hotey
yeh to woh jazbey hain jo jugnu ban ker aankhon main chamaktey hain.
honton keh narm gosho main reh ker dil main bastey hain
tum mujh main is terhan samaee ho keh jesey.
phool main khushboo taroon main chamak
mera tumhara rishta atoot hai jism-o-jaan ka hai
jo jura rahey to zindagi jo toot jae to mout. (not mine)
Logged
Neelam
Guest
«Reply #9 on: July 31, 2004, 04:31:45 PM »
Reply with quote
very touching nishita :lol:
Logged
nishita
Guest
«Reply #10 on: August 01, 2004, 08:11:27 AM »
Reply with quote
thank u tanha
Logged
it_waaznt_me
Guest
«Reply #11 on: August 01, 2004, 08:21:38 AM »
Reply with quote
Hmmm...At least I found one Chitra Singh's fan here ...
How about Mera Dil bhi shauk se toro ..
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: August 01, 2004, 08:40:27 AM »
Reply with quote
thank u pooja, neelam and wasnt me
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 02, 2004, 10:28:48 PM »
Reply with quote
achi gazal hai "mera dil bhi shok se toro" I like jagjit and chitra both.
Logged
mateen govindvi
Guest
«Reply #14 on: August 09, 2004, 05:50:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Bahoot khub nishita ji,
Tum ney apni chahatoon ka Iqrar manga hai to suno.
dil ke sachchey jazbey izhar ke mohtaj nahi hotey
yeh to woh jazbey hain jo jugnu ban ker aankhon main chamaktey hain.
honton keh narm gosho main reh ker dil main bastey hain
tum mujh main is terhan samaee ho keh jesey.
phool main khushboo taroon main chamak
mera tumhara rishta atoot hai jism-o-jaan ka hai
jo jura rahey to zindagi jo toot jae to mout. (not mine)


chahat ko duniya ki parwah nahi hoti
aur ishq kabhi duniya ka mohtaz nahi hota
aur ishq ke liye duniya ko ai chodne wale
bewkoofo  ke sir pe koi taz nahi hota
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:43:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer