socha nahi achha bura

by nishita on July 23, 2004, 06:56:12 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3654 times)
nishita
Guest
«Reply #15 on: September 08, 2004, 10:02:25 AM »
Reply with quote
Kaheen chaand rahon mein kho gaya
Kaheen chandni bhi bhatak gai
Main charagh woh bhi bujha huwa
Meri raat kaisey chamak gai

Meri dastaan ka urooj tha
Teri naram palkon ki chaun mein
Mere sath tha tjuhe jaagna
Teri aankh kaisey jhapak

Kabhi hum mile tau bhi kya mile
Wohi dooriyan, wohi faasley
Na kabhi hamare qadam barhe
Na kabhi tumhari jhijhak gai

Tujhe bhool jane ki koshishein
Kabhi kayaab na ho sakeen
Teri yaad shakh-e-gulaab hai
Jo hawa chali, tau lachak gai

(not mine)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bura wo nahi hai by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
achha nahi lagta by bharary in Shayri for Khumar -e- Ishq
SOCHA NAHI ACCHA BURA.. by pandit in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
HAR BAAT PE HO CHARCHA ,ACHHA NAHI LAGTA by nazar ghouri in Ghazals « 1 2  All »
achha lagta he ya bura lagta he~ by AbhiTamrakar in Shayri for Dard -e- Judai
mateen govindvi
Guest
«Reply #16 on: September 08, 2004, 11:40:23 AM »
Reply with quote
good one
Logged
nishita
Guest
«Reply #17 on: September 09, 2004, 10:03:59 AM »
Reply with quote
thanks
Logged
waheed
Guest
«Reply #18 on: September 18, 2004, 02:09:37 PM »
Reply with quote
nice nishita ji

Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein
Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein
Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya
chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #19 on: September 20, 2004, 06:07:49 AM »
Reply with quote
nice nishita ji n waheed ji
Logged
nishita
Guest
«Reply #20 on: September 20, 2004, 08:19:18 AM »
Reply with quote
thanks both
Logged
waheed
Guest
«Reply #21 on: September 24, 2004, 02:22:51 PM »
Reply with quote
nice work all

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
        jaanega  ab bhee too na  mera ghar  kahe baGHair

2.      kehte  haiN, jab  rahee na mujhe  taaqat-e-suKHan
        jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair

        [ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]

3.      kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
        lewe na koee naam 'sitamgar'  kahe  baGHair

        [ sitamgar = oppressor ]

4.      jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
        sar jaaye  ya rahe,  na  rahaiN  par  kahe  baGHair

5.      choDooNga maiN na us  but-e-kaafir ka poojna
        choDe na  KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair

        [ but = idol/lover, KHalq = world ]

6.      maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
        chalta  naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair

        [ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]

7.      har  chand  ho  mushaahit-e-haq   ki  guftagoo
        bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair

        [ mushaahit = God, baada = wine ]

8.      behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
        sunta naheeN hooN  baat muqarrar kahe baGHair

        [ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]

9.      'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
        zaahir hai tera haal  sab un par kahe  baGHair
(gg)
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #22 on: July 25, 2011, 11:25:35 AM »
Reply with quote
Socha nahi achha bura dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis par humari ankh ne moti bichaye the raat bhar
bheja wahi kagaz unhe likha magar kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi

ek shaam ki dehleej par baithe rahe wo der tak
ankhon se ki baatein bohat muh se kaha kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din tere siwa aur kuch bhi nahi
socha nahi achha bura dekha suna aur kuch bhi nahi... !!


this is my fav.... Usual Smile



verii naaaaaaaaaaice


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:03:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer