sochta hoon........kabhi samajhta hoon

by Syed Mohd Mahzar on May 12, 2015, 06:21:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1898 times)
Syed Mohd Mahzar
Guest
Reply with quote
Aaye muflis ke bhi.. ……jo chehre per
Hai wo asli ……khushi samajhta hoon

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe
Sochta hoon …..kabhi samajhta hoon

Maine sadyo’n ki ……..pyaas jheli hai
Shiddat e tasnagi …….samajhta hoon

Ho na takleef ………...rab ki khilqat ko
Hai yahi ……..bandagi samajhta hoon

Is me tera …………….koi qussor nahi
Kuch thi meri …..kami samajhta hoon
 
meri ghazlein ko …..daad kayse mile
Mukhtasar ……..shayri samajhta hoon

             ......Syed Mohd Mahzar
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2015, 03:56:59 PM »
Reply with quote
Aaye muflis ke bhi.. ……jo chehre per
Hai wo asli ……khushi samajhta hoon

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe
Sochta hoon …..kabhi samajhta hoon

Maine sadyo’n ki ……..pyaas jheli hai
Shiddat e tasnagi …….samajhta hoon

Ho na takleef ………...rab ki khilqat ko
Hai yahi ……..bandagi samajhta hoon

Is me tera …………….koi qussor nahi
Kuch thi meri …..kami samajhta hoon
 
meri ghazlein ko …..daad kayse mile
Mukhtasar ……..shayri samajhta hoon

             ......Syed Mohd Mahzar


gud
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2015, 05:02:04 PM »
Reply with quote
Mohtaram janab Syed Mohd Mazhar Sahab! salam

aap ka kalaam hamesha wazan men hota hay.. ye ghazal bhi halki phulki, likn buhat khoob hay... daad qabool kijay..

pehli bar ek misra pr hamen, khwah ma khwah ka taradud sa mehsoos hua. is misra ko aisay parh ker dikhiyay.. shayad kuch farq mehsoos ho..

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe

tumne aawaaz di hai phir mujhko ..

dua-go
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: May 12, 2015, 05:20:40 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kya kehne bahut bahut khoob.. Usual Smile
Logged
uzma waqar
Guest
«Reply #4 on: May 12, 2015, 07:47:11 PM »
Reply with quote
Wah Wah, Bhut Khub...... Vb shab ap ka Misrah zaida behter hy.....
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #5 on: May 12, 2015, 07:54:51 PM »
Reply with quote
waah kyaa baat hai, bahut bahut khoob.
    icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vinery
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 days, 17 hours and 17 minutes.
Posts: 1157
Member Since: May 2015


View Profile
«Reply #6 on: May 13, 2015, 01:55:59 AM »
Reply with quote
Really good!  Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: May 13, 2015, 08:01:40 AM »
Reply with quote
Wah Wah, Bhut Khub...... Vb shab ap ka Misrah zaida behter hy.....

Mohtarma Uzma Waqar Sahiba! salam

aap ko buhat arsay baad yahaN dekh kr khushi hui...

hum ne sirf wazan ko nazar main rakh kar tajveez di hay... misra tu sahab-e-ghazal ka hi behter hay... farq sirf ye ko un ka misra kisi aur beher say hay, jo yahaN mozooN nahi..

aap ki tavaju ka shukria...

dua-go
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #8 on: May 13, 2015, 11:36:03 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahut khub syedji
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2015, 01:29:50 PM »
Reply with quote
waaah waaah bahoot khoob
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: May 13, 2015, 06:01:54 PM »
Reply with quote
Aaye muflis ke bhi.. ……jo chehre per
Hai wo asli ……khushi samajhta hoon

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe
Sochta hoon …..kabhi samajhta hoon

Maine sadyo’n ki ……..pyaas jheli hai
Shiddat e tasnagi …….samajhta hoon

Ho na takleef ………...rab ki khilqat ko
Hai yahi ……..bandagi samajhta hoon

Is me tera …………….koi qussor nahi
Kuch thi meri …..kami samajhta hoon
 
meri ghazlein ko …..daad kayse mile
Mukhtasar ……..shayri samajhta hoon

             ......Syed Mohd Mahzar



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaah behteeeeeeeeeeeen Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2015, 05:39:12 PM »
Reply with quote
Mohtaram janab Syed Mohd Mazhar Sahab! salam

aap ka kalaam hamesha wazan men hota hay.. ye ghazal bhi halki phulki, likn buhat khoob hay... daad qabool kijay..

pehli bar ek misra pr hamen, khwah ma khwah ka taradud sa mehsoos hua. is misra ko aisay parh ker dikhiyay.. shayad kuch farq mehsoos ho..

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe

tumne aawaaz di hai phir mujhko ..

dua-go


Mohtaram vb saheb,
                bahut bahut shukriyaaaaaa. aapki islaah ne sher me maujood khami bhi door ki hai aur sher ko mazeed behtar bana diya hai............


khairandesh
Syed Mohd Mahzar

Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: May 14, 2015, 08:06:41 PM »
Reply with quote
Aaye muflis ke bhi.. ……jo chehre per
Hai wo asli ……khushi samajhta hoon

apni shakhsiyat hi kuch aisi hai ji ke halaat ka maraa bhi mujhe dekh ke khush ho jataa hai .....aap bhi khush ho jaao ge jab mujh se milo ge  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Aaj phir……. tumne pukara hai mujhe
Sochta hoon …..kabhi samajhta hoon

mat socho zayadaa ...kuch haasil nahin hota aur dimaag bhi kamzor ho jataa hai main bahut khudgarz hoon ji sirf apne mufaad ke sabab hi aawaaz deti hoon bus aur kuch nahin icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Maine sadyo’n ki ……..pyaas jheli hai
Shiddat e tasnagi …….samajhta hoon

sehra mein bhi main dig kar ke pepsi nikaal leti hoon isliye main pyaas ke hawaale se kabhi nahin sochti hoon .....per aap kis tarah ki pyaas ki baat karte ho ye to ALLAH hi jaane khair ....rozaa rakh kar hi ghareeb ke bhook ka ehsaas hotaa hai  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flowericon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Ho na takleef ………...rab ki khilqat ko
Hai yahi ……..bandagi samajhta hoon

haan ji ALLAH ne hum sab ko jis maqsad ke tahat paidaa kiya hai aur mokhtalif hawaale se bataayaa hai wahi haq hai jise humein pooraa karna hai waraa wo to beneyaaz hai ...humein apni karni kaa khud hi bhoogatna hogaa icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Is me tera …………….koi qussor nahi
Kuch thi meri …..kami samajhta hoon

nahin ji kisi ka qasoor nahin ye to bus qismat ki baat thi aap kashti se gir gaye main bachh gayi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

meri ghazlein ko …..daad kayse mile
Mukhtasar ……..shayri samajhta hoon

mujhe samjh lo phir to daad hi daad mile ge Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

             ......Syed Mohd Mahzar



waah waah ek -ek sher paaye ka sher hai alag hi andaaz-e-bayaa.n nazar aayaa to rau inshaallah due rahaa is khoob kalaam ko icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #13 on: May 15, 2015, 05:12:23 PM »
Reply with quote

waah waah ek -ek sher paaye ka sher hai alag hi andaaz-e-bayaa.n nazar aayaa to rau inshaallah due rahaa is khoob kalaam ko icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Sheba ji,
         aapka her eyk sher per sher ki munasbat se comment karne ka andaaz mujhe hamesha pasand aata hai.......darasl eyk feelbadi on line mushaire ke dauran ye chand ashaar kahe the, baharhaal behad shukguzar hoon ki aapko pasand aaye, kuch arse se aapka koi kalaam shayad post nahi hua, mujhe intezar hai, "rau" se kahi'n zyada  aapki daad ahamiyat rakhti hai......
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2015, 01:30:21 AM »
Reply with quote

waah waah ek -ek sher paaye ka sher hai alag hi andaaz-e-bayaa.n nazar aayaa to rau inshaallah due rahaa is khoob kalaam ko icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!


rau de diya maine icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:52:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer