sochta tha....

by shafqatullah on November 12, 2008, 08:40:57 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 926 times)
shafqatullah
Guest
Reply with quote
kam ki kuch thakan thi chehre pe
zahan per kuch khayal chayee the
aaj phir roozgar se aa ker
jism ka boojh dahr ke bister pe
rakh ke chashme ko apne meez ke pas
ungliyuuon mani phasa ke cigarette ko
main ne phir
khoona chaha tha aaj dhooin main

sochta tha ke aik arse se
(aik arsa ke goya sadyuuon se)
tum ko dekha na tum se bateen keen
leekin aankheen hain meri ke in main
aisa lgata hey
goya tasweer bas gai teri
aik soorat thehar goi teri

soochta tha ke mujh ko sochti ho
meri tarah mujhey bhi tum shayed
yad kerti ho
kudh main dhoondti ho

soochta tha ke meri tanhai
ka ye aaseb jis tarah her rooz
lash per meri raqs kerta hey
sheyed
us tarah se tumhain bhi
hijar ka naag rooz dasta hey

soochta tha ke jaise sub bateen
tum se kerta hoon main khayaloon main
jis tarah rooz apne her din ki
bateen sari tumhain sunta hoon
shayed
us tarah
tum bhi door kaheen
meri batoon pe aankh ka pani
saf ker ker ke rooz hansti ho

soocha tha ke dhondta hon main
uth ke ratoon main jis tarah tum ko
apni hi zat ke jahanum main
jis tarah se talash kerta hoon
sheyd
us tarah se hi tum mujh ko
dil ke apne kahala main khoojti ho

sochta ta ke jis tarah se main
khali aankhoon se jab samandar ko
dekhta hoon to wo bhi kehta hey
barf ban jaon ga khudara tum
apni aankhoon ko band kerlo ab
shayed
us tarah se tumhian bhi koi
yehi kehta ho ke
sard aaheen nahin bhara kerte

soochta tha ke jistarah se main
zeest ke kale gaar main tanha
moot ki aahatoon ko sunta hoon
rooz jeeta hoon rooz marta hoon
shyaed
us tarah tum bhi jheelti ho
zindigi ko sarab dekhti ho

soochta tha ke dil ke sehra main
aik tumhare sarab ke peeche
rooz hi bhagta hoon jaise main
shayed
us taha se mere peeche
kudh se hi rooz tum bhi bhagti ho

soochta tha ke jis tarah se meri
roh becheen hey tumhare bina
jis tarah mere jism ker ghar main
is ka dil ab kaheen nahin lagta
shayed
us trah se tumhain bhi beecheetni
zindigi se udas rakhti hey

soochta the ke jaise waqt ne
mere kandhe jhuka diye hain ab
meri sanseen ukhar dali hain
mere balon main chand dal dia
meri aankhoon ka noor cheen liya
jis tarah is ne mujh ko toor dia
shayed
us tarah tum ko bhi sataya hey
waqt ne tum ko bhi rulaya hey

leekin aye jan-e-jan galat tha main
aik arse ke bad phir tujh ko
aaj dekha to dil ye shad hoa
aaj dekha to dekhta hi raha

wohi chehra wohi jawani hey
wohi aankhoon main zindigani hey
hath main hath hey imarat ka
tera sathi bhi khubsoorat hey
to tu ab bhi haseen moorat hey

her taraf aik sukoot tari hey
aik aanso hey meri aankh main bus
naqsh pathar banhe hoyee hain mere
sochoon ab kya ke ab to heeran hey
dil to weeran tha zahan weeran hey
yehi kuch soche hoye shayed
yuoon laga tujh main kho gaya hoon main
dil ye samjha ke so gaya hoon main.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sochta hu by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jab sochta hoon... by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
sochta hun............... by JImmy1987 in Shayri-E-Dard
!!!!!!!!!!!.......SochtA HooN..............!!!!!!! by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
SOCHTA HOON by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 12, 2008, 10:47:13 AM »
Reply with quote
shafqatullah tumhari is soch tumhare is ehsas ko lakho salam bohat khoobsurat andaz-e-bayaan tha  Clapping Smiley
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2008, 12:41:56 PM »
Reply with quote
shafqatullah bohat hi khoob likha hai aapne... Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:35:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer