tadap ke mar gaye hote............

by sidra04 on October 29, 2013, 09:40:43 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2305 times)
sidra04
Guest
Reply with quote
Mehfil ko hamaara aadaab...
Ek tarhi ghazal pesh karne ki gustaakhi kar rahi hoon.. ummeed hai pasand aayegee..



ye aarzoo thi tujhe gul ke roobaroo karte,
tere jamaal ki khushbuu ko chaar soo karte.

kisi Gulaab ka bosaa bhi le na paaye haiN,
Khud apne aap ko kaise lahoo lahoo karte.

parastish meiN agar terii hame miltii maafi,
tahajjud meiN tujhe hum yaad baa-wuzoo karte.

Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,

ijaazat mil gayii hotii jo baat kahne ki,
to shamma se hi saari raat guftgoo karte.

Anaa ke waaste hum kuch na keh sake jaanaa,
tadap ke marr gaye hote jo aarzoo karte


sidra..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
......gaye hote...... by dead heart in Ghazals
Aap Jo Mil Gaye Hote by FIROZ IQBAL in Ghazals
Tadap kar rah gaye... by Pooja in Shayri-E-Dard
Tasveer E Zindagi Ke Rang Nikhar Gaye Hote,Kash Mere Dil Ke Khwaab Sawar Gaye Hote. by Rajnish.raaj in Shayri-E-Dard
Tum Jo Mil Gaye Hote...!! by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
FARE
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2013, 10:05:28 PM »
Reply with quote
bhut accha likha hai api ji
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2013, 10:22:44 PM »
Reply with quote
Applause
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2013, 10:25:46 PM »
Reply with quote
Bahot hii achha likha hai aapne Sidra jii... Usual Smile
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #4 on: October 29, 2013, 10:41:43 PM »
Reply with quote
bahot khooob...
Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: October 29, 2013, 10:42:46 PM »
Reply with quote
ab ek rau is kalaam par n doon to naainsaafee hogee ji
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #6 on: October 30, 2013, 12:09:10 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob  Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: October 30, 2013, 12:52:11 AM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaah, behtareeeeeeeeeeen, khoobsoorat andaaze bayaaN, shururu ke teenoN sher bahut pasand aaye aur khaas taur se matla, dheroN daad aur ek Rau meri taraf se, per Rau baad meN de paauNga.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: October 30, 2013, 01:01:55 AM »
Reply with quote
Mehfil ko hamaara aadaab...
Ek tarhi ghazal pesh karne ki gustaakhi kar rahi hoon.. ummeed hai pasand aayegee..



ye aarzoo thi tujhe gul ke roobaroo karte,
tere jamaal ki khushbuu ko chaar soo karte.

kisi Gulaab ka bosaa bhi le na paaye haiN,
Khud apne aap ko kaise lahoo lahoo karte.

parastish meiN agar terii hame miltii maafi,
tahajjud meiN tujhe hum yaad baa-wuzoo karte.

Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,

ijaazat mil gayii hotii jo baat kahne ki,
to shamma se hi saari raat guftgoo karte.

Anaa ke waaste hum kuch na keh sake jaanaa,
tadap ke marr gaye hote jo aarzoo karte


sidra..
Bahut achhi ghazal hai . magar 3rd aur 5th sher shayed ghalti se bahr se khaarij ho gaye hain . Nazr e saani kar lijye . achhi ghazal k liye bahut mubarakbaad .  
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 30, 2013, 01:39:33 AM »
Reply with quote
Main Bolunga To Bologe Bolta Hai


ALLAH Reham Kare


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: October 30, 2013, 01:51:34 AM »
Reply with quote
Wwwwwaaaaahhhhhhhhhh .....Beintehaayee khoobsurat qalaam ..... Aap ko beshumaar daad Sidra ji ...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: October 30, 2013, 02:47:25 AM »
Reply with quote
ye aarzoo thi tujhe gul ke roobaroo karte,
tere jamaal ki khushbuu ko chaar soo karte.

kisi Gulaab ka bosaa bhi le na paaye haiN,
Khud apne aap ko kaise lahoo lahoo karte.

Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,

Anaa ke waaste hum kuch na keh sake jaanaa,
tadap ke marr gaye hote jo aarzoo karte

Aadaab sidra jee
mujhe lagta hai bazm ko ek sitara mil gaya hai..
tarhi ghazal pesh akrne ka andaaz pyara raha..aapki is koshish ko kaafi hadd tak kaamyaab kahunga..
bahut pyari bahr hai..mere naye takhallush ka aaghaz isi bahr me likhi ghazal se hua tha.
likhti rahiye..best of luck
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: October 30, 2013, 03:42:04 AM »
Reply with quote
Mehfil ko hamaara aadaab...
Ek tarhi ghazal pesh karne ki gustaakhi kar rahi hoon.. ummeed hai pasand aayegee..



ye aarzoo thi tujhe gul ke roobaroo karte,
tere jamaal ki khushbuu ko chaar soo karte.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
kisi Gulaab ka bosaa bhi le na paaye haiN,
Khud apne aap ko kaise lahoo lahoo karte.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
parastish meiN agar terii hame miltii maafi,
tahajjud meiN tujhe hum yaad baa-wuzoo karte.
farz namaaz achi tarah se padho pahle to usi mein muafi hai. tahajjud to bada taqwa wala kaam hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hardaisa jaadoo chala sanam ka ki qaid se riha hona na hona baraabar hai
ijaazat mil gayii hotii jo baat kahne ki,
to shamma se hi saari raat guftgoo karte.
main confuse hoo.n tumhara charecter yahaan parwaane ka hai kya
icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch
Anaa ke waaste hum kuch na keh sake jaanaa,
tadap ke marr gaye hote jo aarzoo karte

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

sidra..


acha likha hai sidra icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #13 on: October 30, 2013, 08:51:16 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sidra04
Guest
«Reply #14 on: October 30, 2013, 03:56:24 PM »
Reply with quote
aap sabhi hzraat ka tahe dil se istaqbaal karti hoon aur dil se shukrguzaar hoon jo aap sab ne is koshish ko apna keemti waqt dyaa....

sudhaar ki koshsih karti rahungee.. basharte aap sab ka saath milta rahe....

thankss again all  of you...

Sidra..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:15:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer