Taish- aansu KHAREED laaya hooN...!!

by ghayal_shayar on July 16, 2013, 06:52:44 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2224 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Ek alag aur mushkil qaafiya ko nibhaate hue ahl-e-bazm ke saamne ek taaza ghazal pesh kar raha huN... Umeed karta huN jyada niraash nahiN kiya hoga...!!



main bure ahche deed* laaya hooN,
aaj fir kuch umeed laaya hooN...

*Karam

tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...

qatl kar dena aaj sabka tum,
apne saare mureed* laaya hooN...

*prashanshak

ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...

ab to ehsaash bhi naye nahiN haiN,
ho chuke jo shaheed laaya hooN...

todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...

'taish' ka ishq haarne se haiN khush,
jinki khaatir maiN eid laaya hooN...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Taish- sulagti chasm ki mitti pe MAATAM karke nikla hooN...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Taish- marasim EHTIYAATAN torr dena chaahta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- humne aansu bhi na poNche, tum RULAANE aa gaye...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- bachi-khuchi TAMEEZ dhundta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Taish- rotiyaaN SOCH kar so jata hooN...!! by ghayal_shayar in Ghazals
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 16, 2013, 06:56:45 PM »
Reply with quote
very nice
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #2 on: July 16, 2013, 07:22:36 PM »
Reply with quote
Wooooooow
ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...
 Applause Clapping Smiley Applause
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2013, 08:39:27 PM »
Reply with quote
Good One Taish Jee.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #4 on: July 16, 2013, 10:04:26 PM »
Reply with quote
Ek alag aur mushkil qaafiya ko nibhaate hue ahl-e-bazm ke saamne ek taaza ghazal pesh kar raha huN... Umeed karta huN jyada niraash nahiN kiya hoga...!!



main bure ahche deed* laaya hooN,
aaj fir kuch umeed laaya hooN...

*Karam

tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...

qatl kar dena aaj sabka tum,
apne saare mureed* laaya hooN...

*prashanshak

ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...

ab to ehsaash bhi naye nahiN haiN,
ho chuke jo shaheed laaya hooN...

todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...

'taish' ka ishq haarne se haiN khush,
jinki khaatir maiN eid laaya hooN...

waaaaaaaaaaaah 3rd sher khaas raha janab Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #5 on: July 16, 2013, 10:22:29 PM »
Reply with quote
tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...

[/quote]
Waah Bahut Khoob
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #6 on: July 16, 2013, 10:56:50 PM »
Reply with quote
waah waah bahut hi khoob Bhushan jee, kaafi achhi lagi ye ghazal.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: July 16, 2013, 11:29:31 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah Taish ji, kyaa kehne , bahut bahut khoob likha hai aapne... mazaa aa gayaa padh ke....!!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 16, 2013, 11:51:47 PM »
Reply with quote
very nice

bahukhandi saaheb hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya janaab...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #9 on: July 17, 2013, 01:01:39 AM »
Reply with quote
Wooooooow
ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...
 Applause Clapping Smiley Applause

iqtedaar saaheb hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya janaab...!!
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #10 on: July 17, 2013, 01:05:07 AM »
Reply with quote
ultimate.. superb taish ji Usual Smile definitely awesome.. plus rau Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: July 17, 2013, 01:48:55 AM »
Reply with quote
Good One Taish Jee.

pasand karne ka shukriya janaab....!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: July 17, 2013, 02:57:14 AM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaah 3rd sher khaas raha janab Applause Applause Applause Applause Applause Applause

adil saaheb hausla afzaayi ka shukriya janaab, jaan kar khushi hui ki aapko kosish pasand aayi, bas aage bhi aap yuNhi saath dete raheN...!! Usual Smile
Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: July 17, 2013, 03:00:38 AM »
Reply with quote
Ek alag aur mushkil qaafiya ko nibhaate hue ahl-e-bazm ke saamne ek taaza ghazal pesh kar raha huN... Umeed karta huN jyada niraash nahiN kiya hoga...!!



main bure ahche deed* laaya hooN,
aaj fir kuch umeed laaya hooN...

insaan gunah ka putla hai per jab bhi khuda se muafi mage ga khuda muaaf kar de ga ye ek sachchai hai aur sabhi jante hain icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

*Karam

tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))aaj kal ghum jamaa karne ka shauq chad gaya hai janab ko acha hi hai. ghum se khogar hua insaan to jaata raha ghum aur mushkilein itna padi mujh pe ki asaan ho gai
qatl kar dena aaj sabka tum,
apne saare mureed* laaya hooN...
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hardmere liye yahi kafi hai tum mere mureed ban jaao
*prashanshak

ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...
ishq ko bhi aaj-kal bade official tariqe se deal kar rahe ho mere modern ashiq Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
ab to ehsaash bhi naye nahiN haiN,
ho chuke jo shaheed laaya hooN...
kya kahne ji bahut khoob is sher pe ek rau deti hoon Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...
kya market mein dil bikna shuru ho gaya hai ...haan bahi naya zamaana hai aage aage deko kya kay hota hai icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
'taish' ka ishq haarne se haiN khush,
jinki khaatir maiN eid laaya hooN...

kya kahne haan ji ishaq mein haarne mein zayada maza hai banisbat ke jeetne ke aisa main ne suna hai mujhe tajurba nahin hai aap khate ho to sahi hoga. icon_flower icon_flower icon_flower

khoobsoorat ghazal hai janaab tumhaari aur maine ek rau ek sher pe diya hai....!jo ki aisa sher padhne mein bahut kamm milta hai......... icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: July 17, 2013, 04:24:29 AM »
Reply with quote
tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...


Waah Bahut Khoob

saraswat saaheb humari khushnaseebi ki aapko kosish pasand aayi, umeed karta hun aage bhi aapka saath yunhi milta rahegaa...!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:19:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer