Taish- mujhe vo LAFZ laa do...!!

by ghayal_shayar on May 17, 2013, 03:00:55 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1629 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Bade dinoN baad ek halki si ghazal likhi hai, to bazm ke nazar kar raha huN, umeed hai jyada niraash nahiN karuNga.... Usual Smile

Tere is shahr ka ab ishq hi dastoor ho jaaye,
Ke nafrat jis kisi meN ho yahaaN kaafoor ho jaaye...

Main jiske paas jata huN vo mujhse door ho jaaye,
Mujhe vo lafz laa do ke razaa manjoor ho jaaye...

Dilon ka tootna jo ishq ka dastoor ho jaaye,
Khuda kuch aisa kar ki dil mera taimoor* ho jaaye...

*Made of steel

Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...

bahaane dhooNdta huN raat din jisko manaane ke,
Kabhi vo door hoti hai, kabhi maghroor ho jaaye...

Tera insaaf bhi kya khoob hota hai mere maulaa,
Ke likhta huN main ghazaleN aur tu mashoor ho jaaye...

Sharafat 'taish' ki aadat nahi bas itna samajh lo tum,
To mujhko dosh mat dena vo gar makhmoor* ho jaaye...

*Drunk
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tu Taish Ya Khuda Ki Hai....!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
lafz lafz dard kaa samandar hai...............Mamta Bajpai by mamta bajpai in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
Taish- He Was a Lover...!! by ghayal_shayar in English
Taish- how to say GOOD-BYE...!! by ghayal_shayar in English
Taish- mujhe ishq hi BEWAFA se hua hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
mkv
Guest
«Reply #1 on: May 17, 2013, 04:31:53 PM »
Reply with quote
Good one Taish jee
ek muqammal kalaam..
Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...
Ye sher khoob raha  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013

View Profile WWW
«Reply #2 on: May 17, 2013, 04:57:53 PM »
Reply with quote
Tere is shahr ka ab ishq hi dastoor ho jaaye,
Ke nafrat jis kisi meN ho yahaaN kaafoor ho jaaye...
Main jiske paas jata huN vo mujhse door ho jaaye,
Mujhe vo lafz laa do ke razaa manjoor ho jaaye...
Dilon ka tootna jo ishq ka dastoor ho jaaye,
Khuda kuch aisa kar ki dil mera taimoor* ho jaaye...
*Made of steel
Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...
bahaane dhooNdta huN raat din jisko manaane ke,
Kabhi vo door hoti hai, kabhi maghroor ho jaaye...
Tera insaaf bhi kya khoob hota hai mere maulaa,
Ke likhta huN main ghazaleN aur tu mashoor ho jaaye...
Sharafat 'taish' ki aadat nahi bas itna samajh lo tum,
To mujhko dosh mat dena vo gar makhmoor* ho jaaye...       
*Drunk

Wah,Wah,Wah Taish Bhai,Really kamaal kar diya aapne.Bilkul mukkammal ghazal kahi hai aapne.Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.
Logged
NeelamJ
Guest
«Reply #3 on: May 17, 2013, 05:06:28 PM »
Reply with quote
Very nice
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: May 17, 2013, 05:50:34 PM »
Reply with quote
Bade dinoN baad ek halki si ghazal likhi hai, to bazm ke nazar kar raha huN, umeed hai jyada niraash nahiN karuNga.... Usual Smile

Tere is shahr ka ab ishq hi dastoor ho jaaye,
Ke nafrat jis kisi meN ho yahaaN kaafoor ho jaaye...

Main jiske paas jata huN vo mujhse door ho jaaye,
Mujhe vo lafz laa do ke razaa manjoor ho jaaye...

Dilon ka tootna jo ishq ka dastoor ho jaaye,
Khuda kuch aisa kar ki dil mera taimoor* ho jaaye...

*Made of steel

Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...

bahaane dhooNdta huN raat din jisko manaane ke,
Kabhi vo door hoti hai, kabhi maghroor ho jaaye...

Tera insaaf bhi kya khoob hota hai mere maulaa,
Ke likhta huN main ghazaleN aur tu mashoor ho jaaye...

Sharafat 'taish' ki aadat nahi bas itna samajh lo tum,
To mujhko dosh mat dena vo gar makhmoor* ho jaaye...

*Drunk

nice,sir
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2013, 06:37:35 PM »
Reply with quote
Good one Taish jee
ek muqammal kalaam..
Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...
Ye sher khoob raha  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

bahut bahut shukriya mukesh ji, jaan kar khushi hui ki aapko kosish pasand aayi, umeed karta huN aage v aapka saath yuNhi milta rahegaa hume... Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2013, 06:39:47 PM »
Reply with quote
ache qafiya ou.r radeef ke sath bohat achee ghazal,......bohat c daad,.......
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #7 on: May 17, 2013, 07:29:12 PM »
Reply with quote
Bade dinoN baad ek halki si ghazal likhi hai, to bazm ke nazar kar raha huN, umeed hai jyada niraash nahiN karuNga.... Usual Smile

Tere is shahr ka ab ishq hi dastoor ho jaaye,
Ke nafrat jis kisi meN ho yahaaN kaafoor ho jaaye...

Main jiske paas jata huN vo mujhse door ho jaaye,
Mujhe vo lafz laa do ke razaa manjoor ho jaaye...

Dilon ka tootna jo ishq ka dastoor ho jaaye,
Khuda kuch aisa kar ki dil mera taimoor* ho jaaye...

*Made of steel

Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...

bahaane dhooNdta huN raat din jisko manaane ke,
Kabhi vo door hoti hai, kabhi maghroor ho jaaye...

Tera insaaf bhi kya khoob hota hai mere maulaa,
Ke likhta huN main ghazaleN aur tu mashoor ho jaaye...

Sharafat 'taish' ki aadat nahi bas itna samajh lo tum,
To mujhko dosh mat dena vo gar makhmoor* ho jaaye...

*Drunk

Bahut Bahut Khoooob Taish Ji...

Khoobsurat Peshkash...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #8 on: May 17, 2013, 07:47:12 PM »
Reply with quote
Good One!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

sarfira
Guest
«Reply #9 on: May 17, 2013, 09:04:08 PM »
Reply with quote
waahhhh
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2013, 02:54:53 AM »
Reply with quote
Tere is shahr ka ab ishq hi dastoor ho jaaye,
Ke nafrat jis kisi meN ho yahaaN kaafoor ho jaaye...
Main jiske paas jata huN vo mujhse door ho jaaye,
Mujhe vo lafz laa do ke razaa manjoor ho jaaye...
Dilon ka tootna jo ishq ka dastoor ho jaaye,
Khuda kuch aisa kar ki dil mera taimoor* ho jaaye...
*Made of steel
Shikayat to nahi karta magar ye sochta hooN maiN,
Vo aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaaye...
bahaane dhooNdta huN raat din jisko manaane ke,
Kabhi vo door hoti hai, kabhi maghroor ho jaaye...
Tera insaaf bhi kya khoob hota hai mere maulaa,
Ke likhta huN main ghazaleN aur tu mashoor ho jaaye...
Sharafat 'taish' ki aadat nahi bas itna samajh lo tum,
To mujhko dosh mat dena vo gar makhmoor* ho jaaye...       
*Drunk

Wah,Wah,Wah Taish Bhai,Really kamaal kar diya aapne.Bilkul mukkammal ghazal kahi hai aapne.Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.

sudhir saaheb ye humari khushnaseebi ki aapko humari kosish pasand aayi, bas yahi dua rahegi ki aage bhi aapka saaath hume yuNhi milta rahe...!! Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2013, 02:32:32 PM »
Reply with quote
Very nice

neelam ji padhne aur paand karne ka shukriya, umeed karta hun aapka saath aage v yunhi milta rahegaa...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2013, 07:09:11 PM »
Reply with quote
nice,sir

thanks for the appreciation mate...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2013, 09:11:20 AM »
Reply with quote
ache qafiya ou.r radeef ke sath bohat achee ghazal,......bohat c daad,.......

tareef ka bahut bahut shukraguzaar huN laaiba ji, bas yahi darkhwast rahegi ki apna saath aap aage bhi yuNhi deti raheN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2013, 05:15:55 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooob Taish Ji...

Khoobsurat Peshkash...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut shukriya khwaish saaheb, jaan kar behad khushi hui ki aapko kosish pasand aayi, umeed karta hun aapka saath aage v hume yuNhi milta rahe...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:38:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer