Taish- naam meN mera NAAM rakhte haiN...!!

by ghayal_shayar on July 22, 2013, 01:58:20 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3206 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Abhi do din pehle hiN yahaaN mujhe 8 saal poore hue haiN, to haazir huN Ek aur ghazal ke saath bazm meN, ummeed hai aap apni raaye se jarur nawaazeNge...


naam meN mera naam rakhte haiN,
ishq mujhse tamaam rakhte hain...

unke lab khusbu ke hain saudagar,
lafzoN meN vo kimaam rakhte hain...

jo tamancha, churi, kataari rakheN,
ab vahi muNh meN raam rakhte haiN...

humko khudgarz kehti hai duniya,
kaam se bas jo kaam rakhte haiN...

ab mohabbat humare bas ki nahi,
vo bahut ooNcha daam rakhte haiN...

har jagah bewafa kahe tu hume,
hum bhi khabreN tamaam rakhte haiN...

dekhte ladkiyoN ko log yuN yahaaN,
ke nazar meN hazaam rakhte haiN...

roti, kapda, makaan chaahiye bas,
chaahateN hum bhi aam rakhte hain...

zindagi meN hai koi ab na raha,
aaine ka salaam rakhte hain...

paani ko kya pata nahiN tha 'taish',
hum vahaaN chaar dhaam rakhte haiN...

Maqta Uttrakhand ko dedicated hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JUDA HAI JAB SE MERA NAAM TERE NAAM KE SAATH...........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Apne Naam Se Mera Naam Mila Ke To Dekh. by kumarabhishek8oct in Share:Love Poetry
Taish- Ek geet saawan ki AASHIQUI ke naam...!! by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mit gaya naam mera naam se pehle pehle....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Taish- naam ka naam hai tanhaayi ke TANHAAYI hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
pawan16
Guest
«Reply #1 on: July 22, 2013, 02:17:26 AM »
Reply with quote
Bhut Bhut Bhut Khobsoroot hai Taish bhai!!!!!.......Har ek Sher Kuch Na kuch Khass Khata hai....Yu hI Likhte Rahyie.....
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2013, 02:34:08 AM »
Reply with quote
So Nice.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2013, 02:53:16 AM »
Reply with quote
Bhut Bhut Bhut Khobsoroot hai Taish bhai!!!!!.......Har ek Sher Kuch Na kuch Khass Khata hai....Yu hI Likhte Rahyie.....

pawan bhai is tareef aur izzat afzaayi ke liye aapka bahut bahut shukraguzaar hun, bas aage bhi aap yuNhi saath nibhaate raheN...!!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2013, 03:04:03 AM »
Reply with quote
Abhi do din pehle hiN yahaaN mujhe 8 saal poore hue haiN, to haazir huN Ek aur ghazal ke saath bazm meN, ummeed hai aap apni raaye se jarur nawaazeNge...


naam meN mera naam rakhte haiN,
ishq humse tamaam rakhte hain...

unke lab khusbu ke hain saudagar,
lafzoN meN vo kimaam rakhte hain...

jo tamancha, churi, kataari rakheN,
ab vahi muNh meN raam rakhte haiN...

humko khudgarz kehti hai duniya,
kaam se bas jo kaam rakhte haiN...

ab mohabbat humare bas ki nahi,
vo bahut ooNcha daam rakhte haiN...

har jagah bewafa kahe tu hume,
hum bhi khabreN tamaam rakhte haiN...

dekhte ladkiyoN ko log yuN yahaaN,
ke nazar meN hazaam rakhte haiN...

roti, kapda, makaan chaahiye bas,
chaahateN hum bhi aam rakhte hain...

zindagi meN hai koi ab na raha,
aaine ka salaam rakhte hain...

paani ko kya pata nahiN tha 'taish',
hum vahaaN chaar dhaam rakhte haiN...

Maqta Uttrakhand ko dedicated hai...

i extend big hand being your presence and services with YOINDIA this much of years and my wishes to continue in similar passions years by years and your children to be a part of our YOINDIA in future. and you poem is nice taish....! hello2 hello2 hello2 hello2 hello2
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: July 22, 2013, 03:11:17 AM »
Reply with quote
Abhi do din pehle hiN yahaaN mujhe 8 saal poore hue haiN, to haazir huN Ek aur ghazal ke saath bazm meN, ummeed hai aap apni raaye se jarur nawaazeNge...


naam meN mera naam rakhte haiN,
ishq humse tamaam rakhte hain...

unke lab khusbu ke hain saudagar,
lafzoN meN vo kimaam rakhte hain...

jo tamancha, churi, kataari rakheN,
ab vahi muNh meN raam rakhte haiN...

humko khudgarz kehti hai duniya,
kaam se bas jo kaam rakhte haiN...

ab mohabbat humare bas ki nahi,
vo bahut ooNcha daam rakhte haiN...

har jagah bewafa kahe tu hume,
hum bhi khabreN tamaam rakhte haiN...

dekhte ladkiyoN ko log yuN yahaaN,
ke nazar meN hazaam rakhte haiN...

roti, kapda, makaan chaahiye bas,
chaahateN hum bhi aam rakhte hain...

zindagi meN hai koi ab na raha,
aaine ka salaam rakhte hain...


Bahut Khub Taish Saheb
Ye Ashaar Bahut Pasand Aaye
Dili Dad Kabul Farmaaye Janaab


Shad o Aabaad Rahiye


shihab
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 22, 2013, 03:30:12 AM »
Reply with quote
i extend big hand being your presence and services with YOINDIA this much of years and my wishes to continue in similar passions years by years and your children to be a part of our YOINDIA in future. and you poem is nice taish....! hello2 hello2 hello2 hello2 hello2

mohtarma abhi tak to shaadi bhi nahin hui aur aap haiN ki, bachhon ko bhi yahaaN ye shayri ki buri aadat lagaane pe tuli hui haiN... are shaadi hon bachhe hon fi socheNge, abhi to bharosha nahin hai... waise itni jaldi hume budha karne ki taiyaar hai aapki... tongue3
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #7 on: July 22, 2013, 03:38:28 AM »
Reply with quote
behad umdaa ar lajawaab ghazal se nawaza h bazm ko aapne Taish ji
itni gehraai hai ghazal me aapki bas kho se gye hum

dher saari daad aur duayen aapko
khush rahie

shukriya
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: July 22, 2013, 08:43:39 AM »
Reply with quote
wonderful
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: July 22, 2013, 09:41:36 AM »
Reply with quote
wah wah and also thanks for dedicating lines to my native place Uttrakhand Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: July 22, 2013, 11:55:55 AM »
Reply with quote
So Nice.

thanks mate...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: July 22, 2013, 01:52:58 PM »
Reply with quote
bahut khubsurat kalaam se nawaza hai taish saheb.dheron daad aur mubarakbad
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: July 22, 2013, 03:52:53 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Hmmmmmmmmmm ek aur dhamaka taishji. waah waah kya kehne bahut hi umdaaaaa kalaaaaaaam se nawaza hai aapne. mujhe toh ek saal bhi poore nahi hue. mashaallah aapne 8 saal poore kiye. phir toh aap humse bahut senior ho gaye. isiliye toh kehti hoon aapke kalaamon se bahut kuch seekhne ko milta hai. ab toh yakeen ho gaya hoga na aapko.
aaj ki ghazal mein kuch sher bahut achche hai. waise har sher mein alag baat hai par yeh sher dil ke qareeb rahe.

jo tamancha, churi, kataari rakheN,
ab vahi muNh meN raam rakhte haiN...

humko khudgarz kehti hai duniya,
kaam se bas jo kaam rakhte haiN...

ab mohabbat humare bas ki nahi,
vo bahut ooNcha daam rakhte haiN...

dekhte ladkiyoN ko log yuN yahaaN,
ke nazar meN hazaam rakhte haiN.
Kitna sach kaha hai aapne.

hazaron dili daad ji is khoobsurat kalaam par. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: July 22, 2013, 05:37:03 PM »
Reply with quote

Bahut Khub Taish Saheb
Ye Ashaar Bahut Pasand Aaye
Dili Dad Kabul Farmaaye Janaab


Shad o Aabaad Rahiye


shihab

aapki daad humare sar aaNkhoN pe saaheb, jan kar khushi hui ki aapko kosish pasand aayi....
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #14 on: July 22, 2013, 06:07:09 PM »
Reply with quote
Bahot khooob - waaaah waaah waaah  Applause Clapping Smiley Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:11:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer