Taish- teri AAG hai, teri AAB hai...!!

by ghayal_shayar on April 18, 2013, 09:04:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1607 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Meri pichli ghazal meN do sher Aitbaar saaheb ke daal diye the maine without giving proper credit, uske liya maafi chaahta hun, darasal diary se uthaaye sher likhe to ye socha bhi nahin tha ki kisi aur ke honge, shukriya mere ek dost ka jisne mujhe iski jaankaari di, aage se aisa na ho, iska poora khayaal rakhuNga... Maafi ka talabgara huN...


Ek taaza ghazal ke saath haazir huN, do din ki chutti kaam aa gayi...Umeed hai jyada niraash nahiN karuNgaa... Usual Smile




Mere haal par yun na muskura, tere hisse ka ye azaab hai,,
MaiN varaq huN jiska fataa huaa vo khuli hui tu kitaab hai...

mere ishq ko tere nain-o-naqsh hue tillismi paheliyaaN,
jo ye poochte hain sawaal koi, na unka koi jawaab hai...

mera dard-e-ishq chidha raha tere naam se mujhe raat din,
hai jalaa diya ke bujha diya teri aag hai, teri aab hai...

tera shahr kaisa jo dil jalaa ke bhi roshani na hui yahaaN,
vo jo raakh ban ke pada hua meri zindagi ka hisaab hai...

jo gawaah tha mere qatl ka, vo bata chuka huliyaa tera,
kiya qatl usne hai, jiske chehre par hijaab-o-naqaab hai...

yahi kashmakash hai mujhe ke kya meri kashmakash hai rahi yahaaN,
tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai...

ke ye log kaun hain 'taish' mujhko pukaarte tere naam se,
itihaas mera bana diya, kaha naam tera kharaab hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Halat Ne Kaisi Teri Surat Kardi... by Yaash in Share:Miscellaneous Shayari
sachi he bat teri or.pyari he murat Teri. by monamithiya in Other Languages
TERA KHAYAAL TERI YAAD AARZOO TERI ...........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Taish- teri YAAD aati hai...!! by ghayal_shayar in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Taish- aaya huN LIKH KAR ye teri aankheN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 18, 2013, 09:26:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 18, 2013, 10:17:29 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Thanks a tonne saini sir, ur appreciation always matters.... Usual Smile
Logged
janumanu
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2013, 10:56:37 PM »
Reply with quote
Haye....
Chhati peeT lene ka man kiya har misre par..
Khaas kar jab saani ka doosra tukda aaya.
2 saal se isi din ka intzaar kiya..
Phal sabr ka sach hi mein meetha hai
Guru ho gaye shuru
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: April 18, 2013, 11:56:25 PM »
Reply with quote
Meri pichli ghazal meN do sher Aitbaar saaheb ke daal diye the maine without giving proper credit, uske liya maafi chaahta hun, darasal diary se uthaaye sher likhe to ye socha bhi nahin tha ki kisi aur ke honge, shukriya mere ek dost ka jisne mujhe iski jaankaari di, aage se aisa na ho, iska poora khayaal rakhuNga... Maafi ka talabgara huN...


Ek taaza ghazal ke saath haazir huN, do din ki chutti kaam aa gayi...Umeed hai jyada niraash nahiN karuNgaa... Usual Smile




Mere haal par yun na muskura, tere hisse ka ye azaab hai,,
MaiN varaq huN jiska phataa huaa vo khuli hui tu kitaab hai...

mere ishq ko tere nain-o-naqsh hue tillismi paheliyaaN,
jo ye poochte hain sawaal koi, na unka koi jawaab hai...

mera dard-e-ishq chidhata raha tere naam se mujhe raat din,
hai jalaa diya ke bujha diya teri aag hai, teri aab hai...

tera shahr kaisa jo dil jalaa ke bhi roshani na hui yahaaN,
vo jo raakh ban ke pada hua meri zindagi ka hisaab hai...

jo gawaah tha mere qatl ka, vo bata chuka huliyaa tera,
kiya qatl usne hai, jiske chehre par hijaab-o-naqaab hai...
MR TAISH IF YOU COULD WRITE ONLY NAQAAB SOUNDS GR888.

yahi kashmakash hai mujhe ke kya meri kashmakash hai rahi yahaaN,
tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai...

ke ye log kaun hain 'taish' mujhko pukaarte tere naam se,
itihaas mera bana diya, kaha naam tera kharaab hai...



  with rau, gr88888888888888888,sir
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: April 19, 2013, 12:38:27 AM »
Reply with quote
Haye....
Chhati peeT lene ka man kiya har misre par..
Khaas kar jab saani ka doosra tukda aaya.
2 saal se isi din ka intzaar kiya..
Phal sabr ka sach hi mein meetha hai
Guru ho gaye shuru


reply padh ke badi khushi hui, par saaheb seena to log shok manaane meN peet.te haiN na, ya to fir tarzan humesha hi peet.ta rehta hai.... Bahut bahut shukriya Mirza saaheb, ise pasand karne ke liye....!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: April 19, 2013, 01:24:52 AM »
Reply with quote
Lucky Bhai Aadaab..!


Bhai yeH bher humari sab se pasandidaa bher hai.. behad pyaari kalaam kahi hai aapne... aik se badhkar aik ashaar rahe aur behad khoobsurat khayaal... Usual Smile

Kafi rawaaN kalaam kahi hai janab, bus jee chaaH raha hai gungunaate raheN.. Usual Smile Is khoobsurat aur umdaa kalaam par Humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez.. Usual Smile


Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: April 19, 2013, 02:37:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Taish jee
sabhee ashaar khoob rahe..
meri dili mubarakbaad is khoobsurat peshkash par
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #8 on: April 19, 2013, 05:03:58 AM »
Reply with quote
Bhusan Jee, ghazal kaafi achhi hai, khayaalat achhe zaahir kiye haiN aapne, per ghazal mukammal behr meiN nahiN lag rahi. Maqte ke doosre misre aur chand deegar misroN ka ye behr notice kiya maine-

1 1  2  1  2 2  1 2  1 2 1 2  2 1 2  2  1 2 1  2

Lekin kuch misre is behr meiN nahiN lag rahe. example ke liye ye misra-
"tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai".

Aap please check kar leiN.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #9 on: April 19, 2013, 09:18:02 AM »
Reply with quote
Bhusan Jee, ghazal kaafi achhi hai, khayaalat achhe zaahir kiye haiN aapne, per ghazal mukammal behr meiN nahiN lag rahi. Maqte ke doosre misre aur chand deegar misroN ka ye behr notice kiya maine-

1 1  2  1  2 2  1 2  1 2 1 2  2 1 2  2  1 2 1  2

Lekin kuch misre is behr meiN nahiN lag rahe. example ke liye ye misra-
"tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai".

Aap please check kar leiN.

iftakhar saaheb aapka shukriya jo aapne ise itne dhyaan se padha, waise iski beh'r hai...


11212 11212 11212 11212
Kamil Musamman Salim




tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai...


tu-1, jo-1, saa-2 m-1 ne-1, thi-1, me-1 re-2, ye-1, so-2 ch-1, pa-1 lat-2, ga-1 yaa-2, main-1, ke-1 khwa-2 b-1, hai-2...


agar ab bhi koi confusion ho to aap beshaq se poochiye, aap jaise paini nighaahiN waale logoN se baat karne meN maza aata hai...!! Ek baar fir bahut bahut shukriya itna waqt dene ke liye...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: April 19, 2013, 01:49:34 PM »
Reply with quote
Kya kahoon taish ji is khoobsurat se kalaam par. yeh ghazal to dil ko choo gayi. kitne khoobsurat sabhi ashaar hai. aur mujhe yeh do sher bahut pasand aaye

tera shahr kaisa jo dil jalaa ke bhi roshani na hui yahaaN,
vo jo raakh ban ke pada hua meri zindagi ka hisaab hai...

jo gawaah tha mere qatl ka, vo bata chuka huliyaa tera,
kiya qatl usne hai, jiske chehre par hijaab-o-naqaab hai...

bahut bahut khoob. dil se mubarakbad ko qubool kijiyega.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: April 19, 2013, 06:40:33 PM »
Reply with quote


  with rau, gr88888888888888888,sir

bahayaat saaheb maafi chaahuNga us deri ke liye par aaj subah aapka ye gilaa door kar diya tha humne, waise tareef aur rau dono ke liye aapka bahut bahut shukraguzaar huN saaheb...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: April 19, 2013, 11:31:09 PM »
Reply with quote
Lucky Bhai Aadaab..!


Bhai yeH bher humari sab se pasandidaa bher hai.. behad pyaari kalaam kahi hai aapne... aik se badhkar aik ashaar rahe aur behad khoobsurat khayaal... Usual Smile

Kafi rawaaN kalaam kahi hai janab, bus jee chaaH raha hai gungunaate raheN.. Usual Smile Is khoobsurat aur umdaa kalaam par Humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez.. Usual Smile




bhai bahut logoN ki fav hai, aur pehli baar try maarne pe mujhe bhi bahut expressive beh'r lagi, ab kya pata kuch din baad humare bhi fav ki list me aa jaaye, aapke saath aur hausla afzaayi ke liye aapka bahut bahut shukraguzaar huN, Yunhi saath dete rahiye...!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #13 on: April 20, 2013, 02:08:00 AM »
Reply with quote
Superb Taish ji bahut khoob... bahut khoobsurat likha hai aapne...

Intezar !
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #14 on: April 20, 2013, 02:36:19 AM »
Reply with quote
iftakhar saaheb aapka shukriya jo aapne ise itne dhyaan se padha, waise iski beh'r hai...


11212 11212 11212 11212
Kamil Musamman Salim




tu jo saamne thi mere ye soch palat gaya main ke khwaab hai...


tu-1, jo-1, saa-2 m-1 ne-1, thi-1, me-1 re-2, ye-1, so-2 ch-1, pa-1 lat-2, ga-1 yaa-2, main-1, ke-1 khwa-2 b-1, hai-2...


agar ab bhi koi confusion ho to aap beshaq se poochiye, aap jaise paini nighaahiN waale logoN se baat karne meN maza aata hai...!! Ek baar fir bahut bahut shukriya itna waqt dene ke liye...
Bhushan jee bahut bahut shukriya clarify karne ke liye, maiN bhi abhi learning phase meiN huN, seekh raha huN, iss liye jo log behr meiN likhte haiN, unke kalaam maiN kaafi dhyaan se padhta huN. Aaj ek aur learning mili hai. Bahut Bahut shukriya.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:34:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer