TAKRAANAA PADTAA HAI..........................SAINI

by sksaini4 on January 19, 2017, 08:42:07 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 898 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
Jab-jab koi bojh uthaanaa padtaa hai.
Sar ko to har baar jhukaanaa padtaa hai.

Qasme, waade,pyaar,wafaa koi khel naheeN.
In meN ik din to mit jaanaa padtaa hai.

Furqat kee naagin jab dil ko dastee hai.

“DeewaaroN se sar takraanaa padtaa hai.”

Ghar ke bachhe jab naalaayaq ho jaayeN.
Bhaaree man se saath nibhaanaa padtaa hai.

Aap usooloN par tab parkhe jaate haiN.
ApnoN par jab teer chalaanaa padtaa hai.

Khaanaa , peenaa aur pahnnaa marzee kaa.
Had ke ander hee apnaanaa padtaa hai.

Is dunyaa meN yooN rahnaa aasaan naheeN.
Hotaa kuchh hai kuchh dihlaanaa padtaa hai.

Samjhaute ke beech anaa jab aatee hai.
Dil patthar kaa yaar banaanaa padtaa hai.

Bhookhe pet ghazal ‘saini’kah kar dekhaa.
Har misre meN aansoo laanaa padtaa hai.

Dr Surendra Saini

जब-जब कोई बोझ उठाना पड़ता है |
सर को तो हर बार झुकाना पड़ता है ||

क़समे,वादे,प्यार ,वफ़ा कोई खेल नहीं |
इन में इक दिन तो मिट जाना पड़ता है ||

फ़ुरक़त की नागिन जब दिल को डसती है |
“दीवारों से सर टकराना पड़ता है “||

घर के बच्चे जब नालायक़ हो जाएँ |
भारी मन से साथ निभाना पड़ता है ||

आप उसूलों पर तब परखे जाते हैं |
अपनों पर जब तीर चलाना पड़ता है ||

खाना,पीना,और पहनना मर्ज़ी का |
हद के अंदर ही अपनाना पड़ता है ||

इस दुन्या में यूँ रहना आसान नहीं |
होता कुछ है कुछ दिखलाना पड़ता है ||

समझौते के बीच अना जब आती है |
दिल पत्थर का यार बनाना पड़ता है ||

भूखे पेट ग़ज़ल ‘सैनी’ कह कर देखा |
हर मिसरे में आँसू लाना पड़ता है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी  

Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 19, 2017, 03:03:29 PM »
Reply with quote



क़समे,वादे,प्यार ,वफ़ा कोई खेल नहीं |
इन में इक दिन तो मिट जाना पड़ता है ||

फ़ुरक़त की नागिन जब दिल को डसती है |
“दीवारों से सर टकराना पड़ता है “||

घर के बच्चे जब नालायक़ हो जाएँ |
भारी मन से साथ निभाना पड़ता है ||

आप उसूलों पर तब परखे जाते हैं |
अपनों पर जब तीर चलाना पड़ता है ||

खाना,पीना,और पहनना मर्ज़ी का |
हद के अंदर ही अपनाना पड़ता है ||

समझौते के बीच अना जब आती है |
दिल पत्थर का यार बनाना पड़ता है ||

भूखे पेट ग़ज़ल ‘सैनी’ कह कर देखा |
हर मिसरे में आँसू लाना पड़ता है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी 



Wah kya Hi Khoobsurti .Aur Sadgi Se
LafzoN Ko Piroya Hai. Ki Bas Maza Hii
Aa Gaya Parhkar. Bahut Hi Khub Sir Ji.
Is Khoobsurt Peshkash Par. Dil Ki.
GehraaiyoN Se Dad Qabul FarmaayeN.
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: January 19, 2017, 09:36:57 PM »
Reply with quote
Jab-jab koi bojh uthaanaa padtaa hai.
Sar ko to har baar jhukaanaa padtaa hai.

Qasme, waade,pyaar,wafaa koi khel naheeN.
In meN ik din to mit jaanaa padtaa hai.

Furqat kee naagin jab dil ko dastee hai.
“DeewaaroN se sar takraanaa padtaa hai.”

Ghar ke bachhe jab naalaayaq ho jaayeN.
Bhaaree man se saath nibhaanaa padtaa hai.

Aap usooloN par tab parkhe jaate haiN.
ApnoN par jab teer chalaanaa padtaa hai.

Khaanaa , peenaa aur pahnnaa marzee kaa.
Had ke ander hee apnaanaa padtaa hai.

Is dunyaa meN yooN rahnaa aasaan naheeN.
Hotaa kuchh hai kuchh dihlaanaa padtaa hai.

Samjhaute ke beech anaa jab aatee hai.
Dil patthar kaa yaar banaanaa padtaa hai.

Bhookhe pet ghazal ‘saini’kah kar dekhaa.
Har misre meN aansoo laanaa padtaa hai.



Waah kyaa baat hai janaab, bahut bahut umda pehkash hai bas mazaa aagayaa, dheron daad with RAU.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #3 on: January 21, 2017, 06:52:45 PM »
Reply with quote
Jab-jab koi bojh uthaanaa padtaa hai.
Sar ko to har baar jhukaanaa padtaa hai.

Qasme, waade,pyaar,wafaa koi khel naheeN.
In meN ik din to mit jaanaa padtaa hai.

Furqat kee naagin jab dil ko dastee hai.

“DeewaaroN se sar takraanaa padtaa hai.”

Ghar ke bachhe jab naalaayaq ho jaayeN.
Bhaaree man se saath nibhaanaa padtaa hai.

Aap usooloN par tab parkhe jaate haiN.
ApnoN par jab teer chalaanaa padtaa hai.

Khaanaa , peenaa aur pahnnaa marzee kaa.
Had ke ander hee apnaanaa padtaa hai.

Is dunyaa meN yooN rahnaa aasaan naheeN.
Hotaa kuchh hai kuchh dihlaanaa padtaa hai.

Samjhaute ke beech anaa jab aatee hai.
Dil patthar kaa yaar banaanaa padtaa hai.

Bhookhe pet ghazal ‘saini’kah kar dekhaa.
Har misre meN aansoo laanaa padtaa hai.

Dr Surendra Saini

जब-जब कोई बोझ उठाना पड़ता है |
सर को तो हर बार झुकाना पड़ता है ||

क़समे,वादे,प्यार ,वफ़ा कोई खेल नहीं |
इन में इक दिन तो मिट जाना पड़ता है ||

फ़ुरक़त की नागिन जब दिल को डसती है |
“दीवारों से सर टकराना पड़ता है “||

घर के बच्चे जब नालायक़ हो जाएँ |
भारी मन से साथ निभाना पड़ता है ||

आप उसूलों पर तब परखे जाते हैं |
अपनों पर जब तीर चलाना पड़ता है ||

खाना,पीना,और पहनना मर्ज़ी का |
हद के अंदर ही अपनाना पड़ता है ||

इस दुन्या में यूँ रहना आसान नहीं |
होता कुछ है कुछ दिखलाना पड़ता है ||

समझौते के बीच अना जब आती है |
दिल पत्थर का यार बनाना पड़ता है ||

भूखे पेट ग़ज़ल ‘सैनी’ कह कर देखा |
हर मिसरे में आँसू लाना पड़ता है ||

डा० सुरेन्द्र सैनी 



Wah waaaaaaaah waaaaah bahoot umda saini sir rau ap ke liye kabul kare aur dil daad bhi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 22, 2017, 02:39:43 AM »
Reply with quote
shukriya mazid bhai
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: January 23, 2017, 09:51:46 AM »
Reply with quote
shukriya surindraN ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: January 24, 2017, 11:52:17 AM »
Reply with quote
shukriya rajan ji
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #7 on: January 28, 2017, 06:09:10 AM »
Reply with quote
very beautiful sir
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:20:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer