TamannaayeN Hazaar Rakhte HaiN ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on February 26, 2011, 02:41:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1889 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
TamannaayeN Hazaar Rakhte HaiN
KyoN Hum Dil Biimaar Rakhte HaiN ...

Zaraa bhii Wafaa Ki Ummeed Nahi
Jin Pe Hum Aitabaar Rakhte HaiN ...

Jo ToDkar Rishtaa Aage Nikal Gaye
Unke Liye Dil Beqaraar Rakhte HaiN ...

Jo Chhup Ke KhiDkii Se Dekhte HaiN
Woh Bhii Humse Pyaar Rakhte HaiN ...

Ranjiish Laakh Sahii Shikwaa Koi NahiN
Unke Saath Dostii Barqaraar Rakhte HaiN ...

Laut Kar Aanaa Kabhi Paas "Naresh" Ke
AankhoN MeN Hum Intezaar Rakhte HaiN ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jante Hain Yahan Sabhi Dil Me Akhlaaq Rakhte Hain by @kaash in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Khel YahaaN Muqaddar Ke Niraale HaiN... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Kis HuQ Se ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Yeh ! Nimantran ... !!! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Itnaa Yeh Roz Kamaate HaiN ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: February 26, 2011, 02:56:17 PM »
Reply with quote
Bahut umda naresh ji...
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2011, 03:12:34 PM »
Reply with quote
umda se bhi umda he ye to...........

bahot hi khusurat khayal pesh kiye he apne naresh ji........

muje is ppoetry me sabse aacha apke words ka selection laga........sabhi me bahot hi aache lafj use karte he aap per isme kuch khaas hi lage.........

ese hi hum sabko khobsurat poetry sunate rahiyega....
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2011, 03:45:17 PM »
Reply with quote
jo chupp ke khidki se dekhte he-----
""
naresh ji aapke har ek sher kamaal ke hain lekin mere faltu dimaag me upar likha ek sher khatak gay.
aapke baaki ke sabhi sher jo ehsaas dete hain ye unme fit nhi bethta. ye khumaariyat sher hai aur aapki ghazal ke baaki sher kuch dard aur bewafai batate hai.
""
par bahut khubsurat si ghazal aapki dil khus hota hai aapki ghazlo se.
""
meri baat buri lage to naad maafi ka haqdaar hai
""
thanx
""
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: February 26, 2011, 07:07:12 PM »
Reply with quote
BAhut Khub Naresh Ji ApplauseApplause
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #5 on: February 27, 2011, 05:12:35 AM »
Reply with quote
bhut khub naresh ji
lekin mera bhi wahi sawal hia jo nirala ji ka hai
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #6 on: February 27, 2011, 07:07:02 AM »
Reply with quote
Zaraa bhii Wafaa Ki Ummeed Nahi
Jin Pe Hum Aitabaar Rakhte HaiN ...

Jo Chhup Ke KhiDkii Se Dekhte HaiN
Woh Bhii Humse Pyaar Rakhte HaiN ...

Laut Kar Aanaa Kabhi Paas "Naresh" Ke
AankhoN MeN Hum Intezaar Rakhte HaiN ...


Bahut Khoob ... bahut khoobsurat khayaal bayaan kiye hai aapne ... Naresh Ji !

dil se daad hazir hai ... qabool farmaayeN ... ! Applause Applause Applause

yunhi likhte raheiye ........ !
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: February 27, 2011, 08:44:23 AM »
Reply with quote
TamannaayeN Hazaar Rakhte HaiN
KyoN Hum Dil Biimaar Rakhte HaiN ...

Zaraa bhii Wafaa Ki Ummeed Nahi
Jin Pe Hum Aitabaar Rakhte HaiN ...

Jo ToDkar Rishtaa Aage Nikal Gaye
Unke Liye Dil Beqaraar Rakhte HaiN ...

Jo Chhup Ke KhiDkii Se Dekhte HaiN
Woh Bhii Humse Pyaar Rakhte HaiN ...

Ranjiish Laakh Sahii Shikwaa Koi NahiN
Unke Saath Dostii Barqaraar Rakhte HaiN ...

Laut Kar Aanaa Kabhi Paas "Naresh" Ke
AankhoN MeN Hum Intezaar Rakhte HaiN ...

bahut khoob anshu ji
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #8 on: February 27, 2011, 02:19:17 PM »
Reply with quote
Laut Kar Aanaa Kabhi Paas "Naresh" Ke
AankhoN MeN Hum Intezaar Rakhte HaiN ...


Naresh Ji ...... saari ghazal ke saath maqtaa khaastaur par bahut pasand aayaa mujhe ... bahut khoobsurat khayaal bayaan kiye hai aapne ... acchi ghazal kahi hai har leehaaz se ... !

tahe dil se daad hazir hai .......  Applause Applause Applause

yunhi likhte rahiye .... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: February 27, 2011, 06:18:33 PM »
Reply with quote
Bahut umda naresh ji...

Broken Ji ! aapke humeshaa saath aur hauslaa afzaai kaa bahut bahut shukriya ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2011, 06:25:39 PM »
Reply with quote
umda se bhi umda he ye to...........

bahot hi khusurat khayal pesh kiye he apne naresh ji........

muje is ppoetry me sabse aacha apke words ka selection laga........sabhi me bahot hi aache lafj use karte he aap per isme kuch khaas hi lage.........

ese hi hum sabko khobsurat poetry sunate rahiyega....

Matrix Ji ! aapka koshish ko pasand karne ... hauslaa afzaai aur nawaazish kaa bahut bahut shukriyaa ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
manjum
Guest
«Reply #11 on: February 28, 2011, 06:10:48 AM »
Reply with quote
bahut khub nareshji....

 Applause Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: February 28, 2011, 07:34:20 AM »
Reply with quote
jo chupp ke khidki se dekhte he-----
""
naresh ji aapke har ek sher kamaal ke hain lekin mere faltu dimaag me upar likha ek sher khatak gay.
aapke baaki ke sabhi sher jo ehsaas dete hain ye unme fit nhi bethta. ye khumaariyat sher hai aur aapki ghazal ke baaki sher kuch dard aur bewafai batate hai.
""
par bahut khubsurat si ghazal aapki dil khus hota hai aapki ghazlo se.
""
meri baat buri lage to naad maafi ka haqdaar hai
""
thanx
""

aisaa kuch nahi ...... har ashaar ke aapni story hai ... nirala ji ! aapki pasandegi aur daad kaa bahut bahut shukriya ...... !!!!!!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #13 on: February 28, 2011, 12:04:47 PM »
Reply with quote
BAhut Khub Naresh Ji ApplauseApplause

Rishi Ji ... aapki taareef kaa bahut bahut shukriya ... !!!!!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #14 on: February 28, 2011, 03:22:42 PM »
Reply with quote
bhut khub naresh ji
lekin mera bhi wahi sawal hia jo nirala ji ka hai

Aisa kuch nahi hai ... har sher ki apni story hai ... aapke saath kaa bahut bahut shukriya ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:08:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer