Tauseef Hai Tauheed Ki,Tafseer Ki Tarah

by @kaash on March 30, 2010, 02:26:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2420 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
doston thoda sufiyana type ghazal pesh kar raha hun,the meaning of first misra i would like to state jo ki mujhe lagta hai batana chahiye as kavi ne ye yehi sochke likha hai jiske mutabik shayar ne ye kahna chaha hai lipte hain khud se aise hum zanjeer ki tarah jo ki kahna chahta hai ki main azaad hun aisa ki shareer me apni rooh se mil chuka hun,baki ghazal hazir hai


lipte hain khud se aise hum zanjeer ki tarah
tauseef hai tauheed ki,tafseer ki tarah

tauseef-samarthan,pushti
tauheed-ekeshwarwaad,ek eeshwar ko hi manna
tafseer - teeka,remark,kuran ki teeka

zamane me lagi thi aag lagti hi rahegi takayamat
bana angaron ko tasavvuf ki tasveer ki tarah

tasavvuf - adhyaatm,spiritualism

zulf haye zulf khwaab-e-hayaat si jo mahke
nazren bhi chamakati hon kaho shamsheer ki tarah

shamsheer - talwaar

shafqat hai Khuda ki Khudi pe unse mil gaya
shaf.at yahi,dua de shafeek ko taseer ki tarah

shafqat-meher
shafat-sifarish,kaamna
shafeek-dayalu

shabeqadr ki kasam shabeeh koi na bakshi khwaab ko
vaamik hun ghira rahta hun mohabbat me aseer ki tarah

shab-e-qadr - the day when Allah the God comes n sees whoever is devoted to me
shabeeh - tasveer,chitra
vamik - dost
aseer - kaidi


taghaful rakha hi usne kab,taghaful kar bhi le to kya
nibhar raha hun subah se dosti kisi shabgeer ki tarah

taghaful-haalchaal
shabgeer- bird who sings during night


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
VO KUCH ISS TARAH SE by sandhaya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 18 19 »
iss tarah by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
Meri Shairi -Tafseer by tafseer in Shairi - E - Zindagi
$$$.... TO KIS TARAH ....$$$ by diya786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
{Kal Ki Tarah} by angel4u in Shayri-E-Dard
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2010, 10:15:52 PM »
Reply with quote
ek achhai ka tassavur liye rahe magar
,woh to khudd main mukammal insaan nikla..yeh sher meine abhi aap ki ghazal padkhne ke baad likha,yun keh dei'n to behater hoga ke khud ba khud aap ki tareef main bangaya..bahot khoob janaab
doston thoda sufiyana type ghazal pesh kar raha hun,the meaning of first misra i would like to state jo ki mujhe lagta hai batana chahiye as kavi ne ye yehi sochke likha hai jiske mutabik shayar ne ye kahna chaha hai lipte hain khud se aise hum zanjeer ki tarah jo ki kahna chahta hai ki main azaad hun aisa ki shareer me apni rooh se mil chuka hun,baki ghazal hazir hai


lipte hain khud se aise hum zanjeer ki tarah
tauseef hai tauheed ki,tafseer ki tarah

tauseef-samarthan,pushti
tauheed-ekeshwarwaad,ek eeshwar ko hi manna
tafseer - teeka,remark,kuran ki teeka

zamane me lagi thi aag lagti hi rahegi takayamat
bana angaron ko tasavvuf ki tasveer ki tarah

tasavvuf - adhyaatm,spiritualism

zulf haye zulf khwaab-e-hayaat si jo mahke
nazren bhi chamakati hon kaho shamsheer ki tarah

shamsheer - talwaar

shafqat hai Khuda ki Khudi pe unse mil gaya
shaf.at yahi,dua de shafeek ko taseer ki tarah

shafqat-meher
shafat-sifarish,kaamna
shafeek-dayalu

shabeqadr ki kasam shabeeh koi na bakshi khwaab ko
vaamik hun ghira rahta hun mohabbat me aseer ki tarah

shab-e-qadr - the day when Allah the God comes n sees whoever is devoted to me

taghaful rakha hi usne kab,taghaful kar bhi le to kya
nibhar raha hun subah se dosti kisi shabgeer ki tarah


shabgeer- bird who sings during night
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2010, 06:55:05 AM »
Reply with quote
Wah Kaash ji bahut hi khoobsurat gazal aape pesh kiya.dil ko chu gayi.mindblowing . icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Hats off to you!
Logged
rayees abdullah
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2010, 08:12:16 AM »
Reply with quote
2 good bhot khub...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:35:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer