Tere Haath MeN Mera Haath Ho,Khuda Apne Saath Ho "Khwahish"

by khwaish on October 16, 2013, 10:44:46 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3207 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Apne HaathoN Kee LakiroN MeiN Basa Le MuJhko
Main HooN Tera Tu Naseeb Apna Bana Le MuJhko

            ~~~~~Qateel Shifaai~~~~~



Hum Saath Hai Yeh Hi Hai Pehchaan Hum Dono Ki
Do Jism To Hai Par Ek Hi Hai Jaan Hum Dono Ki

Teri Mohabbat Ne Mujhe Tujh Saa Hi Banaa Diya.!!
Ek Duje Par Apni Zindagi Hai Qurbaan Hum Dono Ki

Iss Raah-e-Zindagi MeN Phool Bhi Hai Kaante Bhi,
Hum Saath Chale To Har Mushkil Hai Asaan Hum Dono Ki

Har Pal Ko Yuh Jiyenge Jaise Sab Kuch Bas Aaj Hai
Har Din Har Raat,Jaise Koi Hai Mehmaan Hum Dono Ki

Tere Haath MeN Mera Haath Ho, Khuda Apne Saath Ho
Ek Dusre Ke Bin Ab Zindagi Hai Be-Jaan Hum Dono Ki

Marte Dam Tak Naa Juda Ho Paayenge Hum "Khwahish"
Hum Saath Na Ho To Har Raah Hai Sunsaan Hum Dono Ki


          ~~~~~Khwahish~~~~~~



Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: October 16, 2013, 11:04:17 PM »
Reply with quote

Apne HaathoN Kee LakiroN MeiN Basa Le MuJhko
Main HooN Tera Tu Naseeb Apna Bana Le MuJhko

nyc sher jee ,

            ~~~~~Qateel Shifaai~~~~~




Hum Saath Hai Yeh Hi Hai Pehchaan Hum Dono Ki
Do Jism To Hai Par Ek Hi Hai Jaan Hum Dono Ki

(waah waah dil choo lene walaa matla ,...daad daad daad)

Teri Mohabbat Ne Mujhe Tujh Saa Hi Banaa Diya.!!
Ek Duje Par Apni Zindagi Hai Qurbaan Hum Dono Ki

(kya kehne jee ,..waahh waah our bas waahh)

Iss Raah-e-Zindagi MeN Phool Bhi Hai Kaante Bhi,
Hum Saath Chale To Har Mushkil Hai Asaan Hum Dono Ki

yeh to sola aane sahee baa.t hai jee Usual Smile  iss sher per aaik rau aapke liye khwahish jee Usual Smile

Har Pal Ko Yuh Jiyenge Jaise Sab Kuch Bas Aaj Hai
Har Din Har Raat,Jaise Koi Hai Mehmaan Hum Dono Ki

oye kia baaa.t hai ,.bohat khoob bohat khoob jee

Tere Haath MeN Mera Haath Ho, Khuda Apne Saath Ho
Ek Dusre Ke Bin Ab Zindagi Hai Be-Jaan Hum Dono Ki

bohat khoob waah waah our bas waahhhhhhhhh khwahish jee Usual Smile

Marte Dam Tak Naa Juda Ho Paayenge Hum "Khwahish"
Hum Saath Na Ho To Har Raah Hai Sunsaan Hum Dono Ki

kia qafia our kia radeef chunna hai , bas joh bhee likhaa hai lajawab likhaa hai , bohattttttttttttt ccccccccc daaaaadddd


          ~~~~~Khwahish~~~~~~






waah khwahish ji , bohat khoob ,
iss pic ko nazar main rakh kar aa.p ne kya khoob lafzon se gulpasshee kee hai ,............just beautiful

agar aa.p ki ijazat ho toh main isse issi pic ke sath 'tasweer boltee hai'' main share kar saktee hun kia?
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: October 16, 2013, 11:35:20 PM »
Reply with quote
wha wha wha bhut khub
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 16, 2013, 11:37:17 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: October 16, 2013, 11:42:34 PM »
Reply with quote


Iss Raah-e-Zindagi MeN Phool Bhi Hai Kaante Bhi,
Hum Saath Chale To Har Mushkil Hai Asaan Hum Dono Ki
    bahut khoob khwahishji     
daaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaad
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2013, 12:22:02 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Nice Sharing.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: October 17, 2013, 01:14:56 AM »
Reply with quote
bahut hee khoobsoorat kalaam
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: October 17, 2013, 02:44:34 AM »
Reply with quote
lajawaaabbbbbbbbbbbbbbbbbbb
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: October 17, 2013, 06:09:35 AM »
Reply with quote
Apne HaathoN Kee LakiroN MeiN Basa Le MuJhko
Main HooN Tera Tu Naseeb Apna Bana Le MuJhko

            ~~~~~Qateel Shifaai~~~~~



Hum Saath Hai Yeh Hi Hai Pehchaan Hum Dono Ki
Do Jism To Hai Par Ek Hi Hai Jaan Hum Dono Ki
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =))meri pahchan meri hai aur main apni identity kisi ke saath share nahin karti
Teri Mohabbat Ne Mujhe Tujh Saa Hi Banaa Diya.!!
Ek Duje Par Apni Zindagi Hai Qurbaan Hum Dono Ki
nahin janab main aisi qurbani ke haq mein bilkul bhi nahin . aur rahi rahi mere mohabbat ki baat to uska asar tum pe to bilkul nazar nahin ataa. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Iss Raah-e-Zindagi MeN Phool Bhi Hai Kaante Bhi,
Hum Saath Chale To Har Mushkil Hai Asaan Hum Dono Ki
pahle tum sahi se chalna seekh lo phir saath chalne baat dekhein ge Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Har Pal Ko Yuh Jiyenge Jaise Sab Kuch Bas Aaj Hai
Har Din Har Raat,Jaise Koi Hai Mehmaan Hum Dono Ki
nahin ji main roz roz mehmaan nawaai nahin kar sakti main apni zindagi ke her lamhein apne dhang se jeena chahti hoon icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Tere Haath MeN Mera Haath Ho, Khuda Apne Saath Ho
Ek Dusre Ke Bin Ab Zindagi Hai Be-Jaan Hum Dono Ki
mere saath hamesha mera khuda hai. aur meri zindagi mashaallah baut jaan daar hai main kisi rishte ko apna weakness nahin banaati hoon. kyon ki insaan sabse pahle apna dost hota hai phir koi doosra uska , aur aaj ki duniya mein koi kisi se bina matlab rishta nahin rakhta ye bekaar ki baatein hain sab kitaabi aur sher-o-shayri ki baatein hain waheen achilagti hain icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Marte Dam Tak Naa Juda Ho Paayenge Hum "Khwahish"
Hum Saath Na Ho To Har Raah Hai Sunsaan Hum Dono Ki
ye to tumhaari soch hai main iss baat se bilkul ettefaq nain rakhti. jo raah mujhe pasand hai wahi ghshgawaar hai warna saath hote hue bhi sunsaan rahi gi agar raah marzi ki naa ho to icon_flower icon_flower icon_flower

          ~~~~~Khwahish~~~~~~





 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower :icon_flower:!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: October 17, 2013, 09:37:00 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: October 17, 2013, 01:50:28 PM »
Reply with quote
Romantic hai phir bhi chota sa comment deti hoon... Umdaaaaa peshkash......dheron daaaaaaaad..
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: October 17, 2013, 02:12:25 PM »
Reply with quote
waaaaaahhhhhjh
behd khoob kalaam
behd umdaaa
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #12 on: October 17, 2013, 02:37:20 PM »
Reply with quote
Very Very Beautiful And Romantic Khwahish Jee!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #13 on: October 17, 2013, 06:41:42 PM »
Reply with quote
Iss Raah-e-Zindagi MeN Phool Bhi Hai Kaante Bhi,
Hum Saath Chale To Har Mushkil Hai Asaan Hum Dono Ki
 Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 18, 2013, 03:14:11 AM »
Reply with quote


waah khwahish ji , bohat khoob ,
iss pic ko nazar main rakh kar aa.p ne kya khoob lafzon se gulpasshee kee hai ,............just beautiful

agar aa.p ki ijazat ho toh main isse issi pic ke sath 'tasweer boltee hai'' main share kar saktee hun kia?



Laaiba Ji...Sabse Pehle To Thankssssss a Million Ji....Jo Aapki Uss Pic Se Inspire Ho Kar Main Yeh Likh Saka...Uss Pic mein Itni Kashish Hai ke Lafz Khud Ba Khud Kalam Se Behte Chale Gaye...Thanks a Lottttt... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Har Ashaar Ko Iss Kadar Padhne Ke Liye Aur Dil Se Daad Dene ke Liye Bahut Bahut Shukriya Laaiba Ji...

Aur Ji Bilkul Aap Meri likhi Koi Bhi Ghazal Kaheen Bhi Share kar sakte Hai..yeh meri Khush-Kismati Hogi... happy3 happy3 happy3 happy3 happy3
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:56:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer