TERE INTIZAAR MEIN * .................................. HASAN

by F.H.SIDDIQUI on May 20, 2014, 05:17:53 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2056 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Hosh - o - Khirad ganwaaye sab tere pyaar meiN
' Kuch bhi nahi raha hai mere ikhtiyaar meiN ' *

Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN

Kya kya karooN main shikwe - gilay apne yaar se
Jiske sitam hi ab nahi mere shumaar meiN

DekheiN idhar udhar , haiN kisi ki talaash meiN
Bhoole se aa gaye haiN jo ujde dayaar meiN

Dunya ki bheed meiN kisi din kho na jaaooN maiN
Aa, lay lay aake tuu , mujhe apne hisaar meiN

SaanseiN atak rahi haiN ,nikalta naheeN hai dam
AankheiN lagee haiN dar pe tere intezaar meiN

Kirdaar par "Hasan" ke yaqeeN keejye janaab
Insaan eik milta hai aisa hazaar meiN

-  HASAN  SHAMSI  -


........................
* Eik tarahi Ghazal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aapke Intizaar Mein by tamanna1 in Share:Love Poetry
HAMAARE DES MEIN ............................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
ZINDAGI MEIN AGAR .................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
SHABNAM MEIN NAHAYA KOI .................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
PARI - JAMAALON MEIN .................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
premdeep
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2014, 05:32:18 PM »
Reply with quote
Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Sir just incredibal creation RAU is due
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2014, 05:54:35 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoooooooooob hasan ji
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 20, 2014, 06:29:19 PM »
Reply with quote
behatareen peshkash!!
kya baat he!
Logged
kavyanshi
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 9
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 15 hours and 7 minutes.

mere hasrato ko aasmaan chaahiye

Posts: 263
Member Since: Apr 2014


View Profile
«Reply #4 on: May 20, 2014, 08:04:52 PM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
behad umda sir......bahut achha likha h
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2014, 08:13:18 PM »
Reply with quote

Hosh - o - Khirad ganwaaye sab tere pyaar meiN
' Kuch bhi nahi raha hai mere ikhtiyaar meiN ' *

Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN

Kya kya karooN main shikwe - gilay apne yaar se
Jiske sitam hi ab nahi mere shumaar meiN

DekheiN idhar udhar , haiN kisi ki talaash meiN
Bhoole se aa gaye haiN jo ujde dayaar meiN

Dunya ki bheed meiN kisi din kho na jaaooN maiN
Aa, lay lay aake tuu mujhe apne hisaar meiN

SaanseiN atak rahi haiN ,nikalta naheeN hai dam
AankheiN lagee haiN dar pe tere intezaar meiN

Kirdaar par "Hasan" ke yaqeeN keejye janaab
Insaan eik milta hai aisa hazaar meiN

-  HASAN  SHAMSI  -


........................
* Eik tarahi Ghazal

Bahut khoob dheron daad qabool kareiN.
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2014, 09:24:31 PM »
Reply with quote
Waah....waah....waah....

har ek aashaar ek se badhkar ek....

bahut hi khubsurat kalaam....

dheron dheron daad....

Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
Ssaagar
Guest
«Reply #7 on: May 20, 2014, 09:41:35 PM »
Reply with quote
very nicely written n perfectly grafted
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: May 20, 2014, 10:45:05 PM »
Reply with quote
beshak ek naayaab tofaa diyaa hai bazm ko
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #9 on: May 20, 2014, 11:23:40 PM »
Reply with quote

Hosh - o - Khirad ganwaaye sab tere pyaar meiN
' Kuch bhi nahi raha hai mere ikhtiyaar meiN ' *

Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN

Kya kya karooN main shikwe - gilay apne yaar se
Jiske sitam hi ab nahi mere shumaar meiN

DekheiN idhar udhar , haiN kisi ki talaash meiN
Bhoole se aa gaye haiN jo ujde dayaar meiN

Dunya ki bheed meiN kisi din kho na jaaooN maiN
Aa, lay lay aake tuu , mujhe apne hisaar meiN

SaanseiN atak rahi haiN ,nikalta naheeN hai dam
AankheiN lagee haiN dar pe tere intezaar meiN

Kirdaar par "Hasan" ke yaqeeN keejye janaab
Insaan eik milta hai aisa hazaar meiN

-  HASAN  SHAMSI  -


........................
* Eik tarahi Ghazal


marvelous,sr
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: May 21, 2014, 01:02:20 AM »
Reply with quote
Hazaar naheen laakhon daad aap ko Hasan sahab !!
Logged
sanchit
Guest
«Reply #11 on: May 21, 2014, 02:12:16 PM »
Reply with quote
Behad umdaa har sher taariif k kaabil... rau is due siddiqui sahab...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: May 22, 2014, 02:36:31 AM »
Reply with quote

Siddiqui Sahaab Aadaab ...!


Kia baat hai janab sab khairiyat toH hai naa ... ?
Janab Allaah ka shukra hai ke hume usne aap se sahib e kirdaar tajurbekar aur motebar shaksiyat se milwaya...

Badi hi umda aur behad laa jawaab kalaam kahi hai janab ... har sher qabil e daad hai ...
Is laa jawaab sukhanwari par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhte rahiye .... Bazm ko roshan karte rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...




Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2014, 06:19:47 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob Hasan sir, maqte ka sher khaastaur pe bahut pasand aaya.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2014, 01:42:46 PM »
Reply with quote
Ashyaa - e - Zan hoN yaa koi MardoN ki cheez ho
Aurat ka jism dekhye har Ishtehaar meiN
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Sir just incredibal creation RAU is due
Premdeep ji , aapke khuloos k liye behad shukrguzaar hoon. Aap khush o khurram rahein yeh dua hai .
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:55:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer