TERE INTIZAAR MEIN * .................................. HASAN

by F.H.SIDDIQUI on May 20, 2014, 05:17:53 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2081 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #30 on: September 17, 2014, 10:23:24 AM »
Reply with quote

Siddiqui Sahaab Aadaab...!

Mazarrat khuwaaN huN janab gar koi humari baat buri lagi ho yaa humse koi gusatqui huyi ho gar...

Janab aap kitne umdaa shayar haiN yeH hum jante haiN bus lafzoN meiN apne ahsaas bayaaN nahi kar paate par aap aise kaheNge toH hume behad bura lageNga ke aap tukbaNdi ki shayri karte haiN...

Aap waqai aik khoob sukhanwar hai... jaise kisi chiraagh ke chipe hone par bhi uski roshni ka ahsaas ho jaata hai aapki shaksiyat toH usse bhi kayiN zyaada roshan hai...

Likhate rahiye... Aapse hi YO ki ronak hai ...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aapke Intizaar Mein by tamanna1 in Share:Love Poetry
HAMAARE DES MEIN ............................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
ZINDAGI MEIN AGAR .................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
SHABNAM MEIN NAHAYA KOI .................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
PARI - JAMAALON MEIN .................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #31 on: September 18, 2014, 09:57:29 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob Hasan sir, maqte ka sher khaastaur pe bahut pasand aaya.
bahut bahut shukria Iftakhar saheb , Duaaein .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #32 on: September 18, 2014, 03:47:56 PM »
Reply with quote
THANKS  SANCHIT. JI .  GOD. BLESS. YOU
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #33 on: September 28, 2014, 04:31:22 AM »
Reply with quote
fazal sahab bahut khoob bahut behtreen  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Sheba ji , Aapke khuloos ke liye tahedil se shukria aur salaam .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #34 on: October 02, 2014, 05:34:53 AM »
Reply with quote
Kya kya karooN main shikwe - gilay apne yaar se
Jiske sitam hi ab nahi mere shumaar meiN

DekheiN idhar udhar , haiN kisi ki talaash meiN
Bhoole se aa gaye haiN jo ujde dayaar meiN

Dunya ki bheed meiN kisi din kho na jaaooN maiN
Aa, lay lay aake tuu , mujhe apne hisaar meiN

SaanseiN atak rahi haiN ,nikalta naheeN hai dam
AankheiN lagee haiN dar pe tere intezaar meiN

Kirdaar par "Hasan" ke yaqeeN keejye janaab
Insaan eik milta hai aisa hazaar meiN
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
hamesha ki tarha behad khoobsurat peshkash Hasan ji mubarakbaad............daaaaaaaaaaaaaad kubool karein.
Suresh ji , Shukria aur bahut bahut duaaein . Khush rahye .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #35 on: October 20, 2014, 04:17:55 AM »
Reply with quote
Dunya ki bheed meiN kisi din kho na jaaooN maiN
Aa, lay lay aake tuu , mujhe apne hisaar meiN

SaanseiN atak rahi haiN ,nikalta naheeN hai dam
AankheiN lagee haiN dar pe tere intezaar meiN

Kirdaar par "Hasan" ke yaqeeN keejye janaab
Insaan eik milta hai aisa hazaar meiN

masha allah..bahut khoobsurat ghazal hui hai. vaise pahle bhi padhi thi..
bahut mubarakbaad Sir
shukria Chiragh saheb ghazal dobara padhne aur housla afzai k liye . Khush rahye
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #36 on: October 27, 2014, 01:07:03 PM »
Reply with quote

Siddiqui Sahaab Aadaab...!

Mazarrat khuwaaN huN janab gar koi humari baat buri lagi ho yaa humse koi gusatqui huyi ho gar...

Janab aap kitne umdaa shayar haiN yeH hum jante haiN bus lafzoN meiN apne ahsaas bayaaN nahi kar paate par aap aise kaheNge toH hume behad bura lageNga ke aap tukbaNdi ki shayri karte haiN...

Aap waqai aik khoob sukhanwar hai... jaise kisi chiraagh ke chipe hone par bhi uski roshni ka ahsaas ho jaata hai aapki shaksiyat toH usse bhi kayiN zyaada roshan hai...

Likhate rahiye... Aapse hi YO ki ronak hai ...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez...


Parwaaz sah`eb , adab .Purkhuloos tahreer ke liye hamesha ki tarah tah e dil se mamnoon hoon .Aap meri haisyat se barh kar apni mohabbaton se nawazte hain jinke mere paas shukria ke liye hamesha alfaaz kam pad jaate hain .Allah aap ko khoob nawaaze . Amin
 
Logged
laaiba
Guest
«Reply #37 on: November 06, 2014, 09:10:07 AM »
Reply with quote
bohat hi khoob hasan g
bohat c daad,
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #38 on: November 11, 2014, 05:39:46 AM »
Reply with quote
Mahutram Hasan sahab ...apki ghazal hasbe tawaqqo shandaar hai ...har sher me juda mazmoon hai juda qasidakari...zindabad zindabad..

Matle ke misra e oola ko ek nazar dekh len ....

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #39 on: December 11, 2014, 04:43:30 AM »
Reply with quote
Laaiba saheba shukria , duaaein .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #40 on: December 11, 2014, 04:49:34 AM »
Reply with quote
Mahutram Hasan sahab ...apki ghazal hasbe tawaqqo shandaar hai ...har sher me juda mazmoon hai juda qasidakari...zindabad zindabad..

Matle ke misra e oola ko ek nazar dekh len ....

Dua go

Qadeertoopchi
Shukrguzar hoon Qadeer Junaid saheb . Darasl lafz SABHI likhna tha jo jaldbaazi mein SAB likh diya . Aap nishaandehi na karte to shayed yeh ghalti bani rahti kyunki yeh ghazal kai jagah as such paste kar chuka hoon .Tah e dil se mamnoon hoon .
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:42:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer