Teri Firaooniyat ka Dar Nahi hai ( Qadeertoopchi)

by qadeer_junaid on April 29, 2014, 12:47:41 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1126 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #15 on: April 29, 2014, 07:24:26 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb shukriya . aap sahi samjhe , mera aitraz KO ke seeghe ko lekar hi thha aur yahi shayed Saini sb ka raha hoga. Aap ne doosri tarmeem behtar ki hai . Lekin zubaan mein qabahat baherhaal moujood hai. Yeh baat zuroor hai ki Bahr ki majbooriyon ki wajah se yeh istemaal bhi ho sakta hai , kabhi kabhi hota hai ,aur ise ghalat nahi thahraya jasakta .....Yeh bhi waazeh kar doon ki aam taur se main tanqeed karne se gurez karta hoon ,aur sirf apni tanqeed ka, jahan zuroori samajhta hoon, jawab dene ki koshish karta hoon . Yahan bhi chunki   aapne Saini sb ko jawab dekar baat aage chalaai , maine bhi apni raai dedi.Ise hargiz ghalat na samjhein . Main muazrat khwah hoon.   

Mahutram Aap mazrat karke mujhe sharmindah kar rahe hain ....Aap ilm umr fun sub me mujh se bade hain ..aur mai zaati taur per aap logon ka bada ahetram karta hun ...chunke shairi mazhab ki tarhan hai jisme maslhat nahi chalti aap logon ka aitraz jayez tha....Jahan tak ap maujoda surat me lafz garche ki baat kar rahe hain tu ye ghalat ul aam hai ...ye agarche garche dono hi tarhan boola jaata hai ....( Aap mauzrat na karen chunke ( Rabbi zidni ilman )hum sub ke liye hai ...Apko ghazal pasand aaee ye jaankar khushi ..Allah apko do jahan ki barkaton se malamal rakhe taweel umr se nawaze ..

Taalib e ilm

Qadeertoopchi
Logged
aqsh
Guest
«Reply #16 on: April 29, 2014, 08:02:09 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Lajawab peshkash janab qadeer saab...mastttttttttttttttt lagi aapki yeh ghazal... waise toh sabhi ashaar behad khoob hai... par neeche paste kiya hua sher bahut pasand aaya... dil ki gehraiyon se daad qubool kijiyega..

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #17 on: April 30, 2014, 12:06:46 AM »
Reply with quote
Chupane sar ko garche Ghar nahi hai
Kissi ke dar pe mera sar nahi hai

Khuda ka ghar hai subko sub milega
ameer e shahr ka daftar nahi hai

Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

Qadeer ab kyun na hum ko daibetis ho
Paseene se labadah tar nahi hai

Qadeertoopchi

very nice,sir
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #18 on: April 30, 2014, 01:24:59 AM »
Reply with quote
Chupane sar ko garche Ghar nahi hai
Kissi ke dar pe mera sar nahi hai

Khuda ka ghar hai subko sub milega
ameer e shahr ka daftar nahi hai

Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

Qadeer ab kyun na hum ko daibetis ho
Paseene se labadah tar nahi hai

Qadeertoopchi

Kya bat hai,,,,,,Bahut Khoob.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #19 on: May 01, 2014, 09:34:10 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Lajawab peshkash janab qadeer saab...mastttttttttttttttt lagi aapki yeh ghazal... waise toh sabhi ashaar behad khoob hai... par neeche paste kiya hua sher bahut pasand aaya... dil ki gehraiyon se daad qubool kijiyega..

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Mahutrama ...Apke husn-e-zaan ko salam ....Apki pakiza nazron ka kamal hai warna to hamari bisaat hi kya hai ...Apko ghazal pasand aaee ye meri liye faqr ki baat hai ..Allah apko umre hawwa ata kare..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:37:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer