Teri meri mulaqat ka aalam.................................................Aqsh..

by aqsh on August 13, 2013, 12:56:44 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 2929 times)
aqsh
Guest
Reply with quote
Kuch yaadein chahkar bhi bhulayi nahi jaati
Yeh woh daulat hai jo kabhi lutaayi nahin jaati


Haaye teri meri woh, mulaqaat ka aalam
DheroN jo karte the, har ek baat ka aalam

Jab bhi meri bheegi zulfon, se girte qatre
Tere machalte hue un, jazbaat ka aalam

Kehne ko toh laboN par, kuch bhi nahiN tha
Par aankhoN meiN chhupe, sawalath ka aalam

Badhte hue qadam jab bhi, rukna chahte
Teri orre kheenchti woh, barsaat ka aalam

Le liya tha tumne, jab apni aagosh meiN
Dare hue ehsaas aur un, lamhaat ka aalam

Mat pooch un saath, guzareiN hue lamhe aur
“Aqsh” ko tadpaati hui, is tanha raat ka aalam.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Teri Husn Ka Aalam** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Tanhaai mein yeh aalam hai meri udaasi ka(Asghar) by M.ASGHAR MIRPURI in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Dekh meri masti ka aalam... by Sunil Malhotra in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri wafa...........................Aqsh by aqsh in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: August 13, 2013, 01:16:45 PM »
Reply with quote
good one aksh ji .. keep it up
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 13, 2013, 01:27:52 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah waah kyaa kehne Aqsh ji, bahut bahut khoob, bahut din baad aap apnaa likhaa kuch leke ke bahut bade dhamaake ke saath aaye, aapkaa likhaa dekhaa to control nahi kar paayaa khud ko kuch likhne se, maaf kar dijiyega, bahut bahut khoob likha hai aapne... ek dum zabardasssssstttttt ....!!!




mujhe  bhi  yaad  hai   us  raat  kaa samaa
teri  meri  pehli   mulaaquaat    kaa  samaa

bheegi si baarish  mein  bheege huye hum
aur  woh  teri  meethi  har baat kaa samaa

woh  dooriyaan  kab nazdikiyaan ban gayi
mere haathon  mein tere haath kaa samaa

baahon  mein aake tu yun machal gayi thi
yaad hai  mujhe  tere  us saath kaa samaa

mil  ke  do  jism  se  kab ek jaan huye hum
jismon ko jalaataa woh barsaat kaa samaa

jaanaa  yaad hai mujhe us raat kaa samaa
hasi  apni  us pehli mulaaquaat kaa samaa

*****HRIDAY*****
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #3 on: August 13, 2013, 01:53:44 PM »
Reply with quote
Waah Waah Super........ Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: August 13, 2013, 01:56:56 PM »
Reply with quote
Kuch yaadein chahkar bhi bhulayi nahi jaati
Yeh woh daulat hai jo kabhi lutaayi nahin jaati


Haaye teri meri woh, mulaqaat ka aalam
DheroN jo karte the, har ek baat ka aalam

Jab bhi meri bheegi zulfon, se girte qatre
Tere machalte hue un, jazbaat ka aalam

Kehne ko toh laboN par, kuch bhi nahiN tha
Par aankhoN meiN chhupe, sawalath ka aalam

Badhte hue qadam jab bhi, rukna chahte
Teri orre kheenchti woh, barsaat ka aalam

Le liya tha tumne, jab apni aagosh meiN
Dare hue ehsaas aur un, lamhaat ka aalam

Mat pooch un saath, guzareiN hue lamhe aur
“Aqsh” ko tadpaati hui, is tanha raat ka aalam.



Applause Applause Applause Applause Applause so nice
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: August 13, 2013, 02:01:43 PM »
Reply with quote
Kuch yaadein chahkar bhi bhulayi nahi jaati
Yeh woh daulat hai jo kabhi lutaayi nahin jaati


Haaye teri meri woh, mulaqaat ka aalam
DheroN jo karte the, har ek baat ka aalam
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
RAAT BHAR PAKA TE THE US AALAM KYA
Jab bhi meri bheegi zulfon, se girte qatre
Tere machalte hue un, jazbaat ka aalam
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kehne ko toh laboN par, kuch bhi nahiN tha
Par aankhoN meiN chhupe, sawalath ka aalam
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
HAA KUCH NAHI BAS K.B.C KHELNA HAI APKO
Badhte hue qadam jab bhi, rukna chahte
Teri orre kheenchti woh, barsaat ka aalam
BARSAAT ME KAHIN PHISAL NA JANA
MAIN TO NAI UTHAONGA

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Le liya tha tumne, jab apni aagosh meiN
Dare hue ehsaas aur un, lamhaat ka aalam
LENA PADA Feared. Feared.
Mat pooch un saath, guzareiN hue lamhe aur
“Aqsh” ko tadpaati hui, is tanha raat ka aalam.

TANHA RAAT KA AALAM Shocked Even More Shocked Even More

WAAH WAAH AQSH JI KAMAL KA LIKHA HAI APNE
BOHUT HI LAJAWAAB

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: August 13, 2013, 02:06:08 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob
Logged
premdeep
Guest
«Reply #7 on: August 13, 2013, 02:06:36 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahut romantic aqshji bahoot khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: August 13, 2013, 02:19:25 PM »
Reply with quote
just excellent ek muqammal taufaa diyaa hai eid kaa khush raho
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: August 13, 2013, 02:23:15 PM »
Reply with quote
wah wah Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 13, 2013, 02:39:29 PM »
Reply with quote
Kuch yaadein chahkar bhi bhulayi nahi jaati
Yeh woh daulat hai jo kabhi lutaayi nahin jaati


Haaye teri meri woh, mulaqaat ka aalam
DheroN jo karte the, har ek baat ka aalam

Jab bhi meri bheegi zulfon, se girte qatre
Tere machalte hue un, jazbaat ka aalam

Kehne ko toh laboN par, kuch bhi nahiN tha
Par aankhoN meiN chhupe, sawalath ka aalam

Badhte hue qadam jab bhi, rukna chahte
Teri orre kheenchti woh, barsaat ka aalam

Le liya tha tumne, jab apni aagosh meiN
Dare hue ehsaas aur un, lamhaat ka aalam

Mat pooch un saath, guzareiN hue lamhe aur
“Aqsh” ko tadpaati hui, is tanha raat ka aalam.





Ufffffffffffffffffff.......

Aqsh Ji Aapne To Aaj Maar Daala..Bahut Hi Rumani Aur Dilkash Peshkash...

Padhte-Padhte Ek Maahol Sa Ban Gaya...Har Lafz Mein Mohabbat,Aashiqui,Bechaini,Tadap.....Ufffffff..Kya Kehne..


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
prashad
Guest
«Reply #11 on: August 13, 2013, 02:54:11 PM »
Reply with quote
bahut khoob Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2013, 03:37:17 PM »
Reply with quote
Bahut khooobsurat , roomaani ghazal hai , Aqsh .
Khas taur se iss sher ka hjawaab nahin:

Le liya tha tumne, jab apni aagosh meiN
Dare hue ehsaas aur un, lamhaat ka aalam

Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #13 on: August 13, 2013, 03:42:17 PM »
Reply with quote
Kaafi intezaar ke baad dhamakedaar ghazal - suna tha sabar ka phal meetha hota hai, aur ab dekh liya - ziyada tareef karon to himaqhat hogi - kyonke suraj ko chiragh dikhana himaqhat hi hoti hai...
Dheron daaaad bas waah hi waah...
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #14 on: August 13, 2013, 04:33:03 PM »
Reply with quote
aqsh ji bahut hee khubsurat pyar bhari gazal.. in khubsurat yadon ko to bhulaye nahi bhula ja saktaa.. bahut hee besqeemti gazal hazaron daad o mubarakbaad... Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:56:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer