Teri ulfat mein meyn diwaana tha

by mazHur on January 30, 2011, 12:46:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1262 times)
mazHur
Guest
Reply with quote

Na woh aayee na usko aana tha
uss ne waada kahan nibhhaan tha!

aisay jeenay se moat hee achhi
jis mein dar per adoo ke jaana tha!

maey thee saghar tha tum na the
luutf mosam ka kia uthana tha.

loag badnam kar na dein tujh ko
Teri ulfat mein meyn diwaana tha.

Kuchh toe  rakhna tha dosti ka paas
gar jo aana tha mil ke jaana tha

tu nahi toe bahaar bhi he khizaan
Tujh se roshan mera zamana tha!
 
Dil jaloan  ko bata rahay ho kion?
Aaj mosam bara suhaana tha!

Kaash tu maan lay meri ik baat
her kaha  tera mein ne maana tha!

dushmanoan se gila nahi karta
dushmani ka jo rang dikhana tha!

hum na aatay to phir gila karte
piyaar se paas to bulaana tha!

Mar gaye tere piyaar ke hathoan
Tu ne ilzaam  bhi  lagaana tha!

ruut badaltay badal gaya woh bhi
woh jo kehta tha sung nibhaana tha!

chupp ke peetay ho kion akele mein
kis ka dar tha jo moonh chupaana that!

Ik haseen chor gaya loot ke dil
 shor bekaar ab  machana tha

Rehzanoan se to mein nahi darta
Rehbaroan se mujhe bachaana tha!

Jaatay jaate ye kia kaha mazhur
 bay sabab dil ko na dukhaana tha!
Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: January 30, 2011, 04:31:07 AM »
Reply with quote
badhiya hai.
yun hi likhte rahiye
maza aaata hai aapko padhne me
"
thanx
"
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #2 on: January 30, 2011, 05:25:27 AM »
Reply with quote
wah re wah !@! bahut achhi rachna
Logged
shahnawaz khan
Guest
«Reply #3 on: January 30, 2011, 05:53:34 AM »
Reply with quote
nice lines ,,,,,,,keep it up...........
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2011, 07:50:53 PM »
Reply with quote

Na woh aayee na usko aana tha
uss ne waada kahan nibhhaan tha!

aisay jeenay se moat hee achhi
jis mein dar per adoo ke jaana tha!

maey thee saghar tha tum na the
luutf mosam ka kia uthana tha.

loag badnam kar na dein tujh ko
Teri ulfat mein meyn diwaana tha.

Kuchh toe  rakhna tha dosti ka paas
gar jo aana tha mil ke jaana tha

tu nahi toe bahaar bhi he khizaan
Tujh se roshan mera zamana tha!
 
Dil jaloan  ko bata rahay ho kion?
Aaj mosam bara suhaana tha!

Kaash tu maan lay meri ik baat
her kaha  tera mein ne maana tha!

dushmanoan se gila nahi karta
dushmani ka jo rang dikhana tha!

hum na aatay to phir gila karte
piyaar se paas to bulaana tha!

Mar gaye tere piyaar ke hathoan
Tu ne ilzaam  bhi  lagaana tha!

ruut badaltay badal gaya woh bhi
woh jo kehta tha sung nibhaana tha!

chupp ke peetay ho kion akele mein
kis ka dar tha jo moonh chupaana that!

Ik haseen chor gaya loot ke dil
 shor bekaar ab  machana tha

Rehzanoan se to mein nahi darta
Rehbaroan se mujhe bachaana tha!

Jaatay jaate ye kia kaha mazhur
 bay sabab dil ko na dukhaana tha!


Good One .......... !!!!!!!!!!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2011, 06:09:32 PM »
Reply with quote
Bahut Khub
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 02, 2011, 06:59:35 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Janaab MazHur Saheb...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 11:25:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer