Teri yaado.n ke jharokhe kabhi .... irshad ahmed siddiqui

by irshad ahmed siddiqui on April 23, 2013, 12:13:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1045 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
Teri yaado.n ke jharokhe kabhi mujhe tanha hone nahi dete
mera  wajuud  baki   rehta hai  woh mujhe khone nahi dete

mat  daal  in  mehaktey  huye phoolo.n  ko meri qabr par
meri ulfat se hai wasta inka ye gul mujhe sone nahi dete

katra katra girte huye teri aankho.n se ashko.n ke moti
tanhaii me.n  bhi  mujh  ko  kabhi tanha hone nahi dete

kab  tak  rahoge  khade meri  qabr par, ke ab ghar bhi jaao
main majboor hu.n ye maut ke sikanje tujhe chhune nahi dete

zindagi ka talluk sanso.n se,mohabbat ka wafa se "irshad"
kabhi ye mujhe  hasne nahi dete  to kabhi rone nahi dete

************* irshad ahmed siddiqui ********************
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum se dil lagane ko jii chahata hai........irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Ek tasveer purani.............by irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Tamaam umr teri aarzu me hum rahe....Irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
woh apni mehak chhod jata hai...........irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals « 1 2  All »
Dekhu main sau sau baar teri aakhe.n ........ Irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: April 23, 2013, 02:36:03 AM »
Reply with quote
Teri yaado.n ke jharokhe kabhi mujhe tanha hone nahi dete
mera  wajuud  baki   rehta hai  woh mujhe khone nahi dete

mat  daal  in  mehaktey  huye phoolo.n  ko meri qabr par
meri ulfat se hai wasta inka ye gul mujhe sone nahi dete

katra katra girte huye teri aankho.n se ashko.n ke moti
tanhaii me.n  bhi  mujh  ko  kabhi tanha hone nahi dete

kab  tak  rahoge  khade meri  qabr par, ke ab ghar bhi jaao
main majboor hu.n ye maut ke sikanje tujhe chhune nahi dete

zindagi ka talluk sanso.n se,mohabbat ka wafa se "irshad"
kabhi ye mujhe  hasne nahi dete  to kabhi rone nahi dete

************* irshad ahmed siddiqui ********************

bahot khoob Applause Applause Applause
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: April 23, 2013, 03:02:10 AM »
Reply with quote
nice.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: April 23, 2013, 04:14:07 AM »
Reply with quote
Irshad Sahaab Aadaab..!


Janab Khairiyat toH haiN arse baad haazri lagaayi.. Huh?
Khair badi hi umdaa kalaam kahi hai aapne, behad gehre aur khoob khayaaloN ko achche ashaaroN meiN piroya hai janab.. Usual Smile


Is khoobsurat kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile


Logged
Mohammad ismail
Guest
«Reply #4 on: April 23, 2013, 02:55:32 PM »
Reply with quote
Janab Irshan sahab,
bahut khoob, dil mein uttar janay wali ghazal
mubarakbad qhubool fermaay.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 23, 2013, 09:11:54 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: April 30, 2013, 02:48:50 AM »
Reply with quote
mere pyare dosto.n aap logo ki nawajisho.n ka bahut bahut shukriya, aap logo ne meri gazhal ko pasand kia aur saraha. . . . .*
janab PARWAZ saheb assalam-o-alekum mai.n ALLAH ke fazlo karam se khairiyat se hu, bas pichle kuch time se office me kafi masrufiat rahi isi wajh se is forum par aane ka wakt nahi mil raha thha, khair jab aap jaise dosto ka sath ho nibhana to padega hi.. ALLAH HAFIZ 
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #7 on: May 29, 2013, 06:34:39 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your beautiful creation has been featured in Yoindia Shayariadab May 2013 newsletter, hopefully you will continue to grace Yoindia Shayariadab with your creations and beautiful words. For more information you can see Yoindia Shayariadab May 2013 Newsletter.
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #8 on: June 04, 2013, 11:07:49 PM »
Reply with quote
Thankx Admin for selection of my poem....!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:47:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer