Teyrey rahm-o-karam sey mujallaa hoon mein!

by abdbundeli on July 09, 2008, 02:21:21 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1416 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

 Meyree galtee hai: deykha naheen bhar nazar!
 Saath waaiz key thaa! Saaqiyah, gam na kar!!
 
 Teyrey raham-o-karam sey mujallaa hoon mein!
 Too ney feiree nazar: jaaungaa mein guzar!!

 Raat-din saath rahtaa hoon teyrey: samajh!
 Sangsaaree kareyngey, yeh sangeen jigar!!

 Jaantee hai too: aayeen-e-yeemaan hain yeh!
 Bach key rahnaa hai in sey hamain, umra bhar!!

 Teyrey pahloo mein rahney ko beytaab hain:
 Dour-e-shab zaahid-o-sheikh, chhup kar magar!

 Dilnasheen, maykadey din mein aaungaa mein:
 Din mein, rahtaa naheen hai mujhey un kaa dar!
 
 Jinkaa yeemaan, pardoun kaa paaband hai:
 Woh na aayengey yuun, roshanee mein idhar!

 Mein gunahgaar huun: maaf kar dey mujhey!
 Ba'ad din key, na aaungaa ab teyrey ghar!!

 Neikwakhtee kaa qaayal hoon mein, jaan-e-jaan!
 Shaad baa-zouq rah: itnaa ehsaan kar!!

 Subah beemaar thee! Dopahar hai jawaan!!
 Koyi tujh-saa naheen hai kahin chaarahgar?

 Khoob too ney diyaa hai mujhey, saaqiyaa!
 Khatm hogaa naheen; khatm hogee umar!!
 
 TOO hai MEIN; MEIN hoon TOO; HAM to, HAM hain! 'Abd',
 Hashra mein bhi, akeiley na hogaa safar!!'

                  ******
                         - abd bundeli



 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sochti hoon mein aksar tanhai mein by Arifa in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 5 »
Teyri haseen shakhsiyat mein kho gaya hoon, mein! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Binaa patey key, teyrey paas mein aauun kaisey? by abdbundeli in Ghazals
Teyrey suroor-e-husn mein qudrat key phool they! by abdbundeli in Ghazals
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2008, 03:47:05 AM »
Reply with quote
Abd Saab Bahot Hi Alag Diff. alfaaz Hai,
aap ne Kisko Yahaan Markaz-e-Nazar rakha Hai..?
Chaaragar- Sakiya Kisko Kehna Chahate Ho..?
Wajahat Yahaan Zaroori Hai,
Warna  Maaf Karna Jawaab Shariyat K Khilaaf Nahi Ho Sakata..
                           - Muhammed Raza
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 10, 2008, 06:21:53 AM »
Reply with quote
Miyaan Muhammed Sa'b,
    Urdu shayari 'highly symbolical' hai! 'Woh' yaa to 'Khudaa' hai, yaa US kaa 'REPRESENTATIVE' hai: 'Saaqee'(male) yaa 'Saqiyaah' (female)! Maykhaanaa US ka ghar hai! 'Sharaab', ibadat hai! Pyaalaa kabhi 'paikar' hai, kabhi aisaa hi kuchh aur! Meyrey eik sheir ki eik laain yoon hai:
        "jo bhi deytaa hai, Khudaa hotaa hai!"
   "Khudaayee kaanoon ki baareeqiyoun ko to achchhey-achchhey taaleemyaaftaa naheen samajh paatey, meyree kyaa gintee hai!"
    'Peeneywaaley' aur 'Saaqiyah' key gahrey rishtey ki wajah sey, usmein 'sangsaaree' ka khouf to hogaa hee; kyoun ki wah Khudaayee kaanoon ko   kuchh na kuchh jaantaa bhi to hai!
    Waisey to, aap bhi, kiblaa, khaashey taaleemyaaftaa hain; mein aur jiyaadaa kyaa kah saktaa hoon?
                                        - abd bundeli
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2008, 08:53:03 AM »
Reply with quote
Abd Babu..

Lagta Hai...Aap Bhi Shayad Samaj Na Sake Meri Is baat Ko...
Ye Maana Ki Urdu Shayri - Highly Symbolical Hai..!!!

Lekin Kuch Symbol Highly Prohibited Hai...!!!

Maaf Kigiye Ga Aapne Urdu Shyri Me Maharat Hasil Ki Hai..
Kabhi Arabic Shayri Me Bhi Kuch Dekhiye ga..

Aur Aap Ki baat Nahi Hai..
Aaj Kal Bahot aaise Sho'ara Hazrat Aaye Hua Hai Ki Wo Jise Lafz Ke Istemaal Ka Koi Ilm Hi Nahi Hai...Khuda KI Shaan Me Kya Anab Shanaab Bake Jaa rahe Hai..

Main Har Wo Kallm se Dur rehna Chahta Hun Jo Khuda Ki Shaan Me Ishratan Ya Zarra Baraabar Bhi Tohin-o-Tankis Ho.

 "Khudaayee kaanoon ki baareeqiyoun ko to achchhey-achchhey taaleemyaaftaa naheen samajh paatey, meyree kyaa gintee hai!"

Janab Abd Ji Saab...Aapke Is statment Ka Jawaab Dea Hun..suno

Aapne Likha Hai..Acchhe Achchhe Taalim Yaftaa Nahi Samaj Te..??

Are Un Logo Ki Baat To Dur hai JO Ilm Ke Sammandar Me Gotaa Laga chuke Hai..
Jo Allah Ke Wali Ho Chuke Hai.Jo Sufi Hai..Wo To Har Lafz KO Bareeqee se Adaa Karte Hai..
Hamaari Shariyat Me To Pakadd Hai Is baat Par Bhi Ki...

KHUDA KO UPARWAALAA KEHNA BHI HARAAM HAI...KYON..Huh? IS BAAT PAR TAFSILI GUFTGU AGAR WAQT MILA TO JAROOR KARUNGA.Dalaa-ee-lo Ke Ambaar Laga Sakta Hun Main.
Quraan Se Saabit Kar Sakta Hun Main..!!
Hadith se Tafssir se Tarikh se Masaaeel se..
Kyoon Log Aaise Lafz Nikaalte Hai..
Nadaan Hai wo Jo Shariyat Nahi Jaante..
Tohin-e-Khudaa Baar baar karte Rehte..
 

Ye Hai Meri Shariyat Ye Hai Mera Aqeeda Ye Hai Mere Pir-o-Murshad Ka Kehnaa..

Log Kya Samaj te Hai...Shoara Hazraat Kya Samaj te hai..

Are 'Shraab' Ka Lafz Haraam Hai Hamari Sariyate Me..
'Khinzeer' Ka Lafz Haraam Hai Islaam me..

Jub Sharaab Ka Lafz Kataee Haraam Hai JO Qur'aan Se To Duniya ka Har Shayar Jaan Le Ki...Wo Lafz Prohibited hai..!!!!!

Ye Zo Lafz Kiblaa Hai Wo Bilkool Sahih Hai..Jo Aapne Likha Hai..
Lekin Ye Kibla Matlab Taazim Ke Layak Insaan.
Lekin Kiblaa Wo Hai Ki Kaa'ba Sharif Jiski Jaaneb Namaze Adaa Hoti Hai..
Is baat Ko Bhi LOg Yadd RakhLe Ki...
Kibla wo Khuda Nahi..Namaz WO Kibla K Liye Nahi..
Ye To Ishaara Hota Hai Kibla Ki Janeeb SAJDA TO SIRF KHUDA KO HOTA HAI..
Niyyat Bhi Wahi..Khuda ko Sjada Karne Ki Hoti Hai..

TO Abd Ji Saab Aap Ham Se Bade Hai..
Aap Se Hume Kuch Sikna Hai..
Ye To Josh-e-Imaani Tha KI Likha Gaya Muj se..
Fir Se Maafi Chata Hun..
Agar Kuch Bura Bol Gaya Hun To..

Allahu-a'almu-Va-Rasulo-Aa'lmu-Bis-Sawaab

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: July 11, 2008, 10:32:23 AM »
Reply with quote
Muhammed sa,b,
   Mein 'arbi' jubaan jaantaa naheen hoon, uskey haroof zaroor jaantaa hoon, isliye shayad theek-thaak padh bhi loon! Quraan paak kaa Hindi/English tarzumaa hi meinney padhaa hai! Meiney na to ISLAAM ki taaleem paayee hai, na hi mein ISLAAM kaa paaband hoon; par mujhey ISLAAM ki khoobiyoun sey muhabbat hai! Mein paigambar hazrat Muhammad Saheb ki bhi tah-e-dil sey izzat kartaa hoon!
      Miyaan Muhammad sa'b, mein naheen samajhtaa, ki,  khudaayee kalaam aur insaanee kalaam ko roo-b-roo karnaa theek hogaa?
 Hazrat Daag ka yeh sheir qaabil-e-gour hai:
       "Zaahid sharaab peeney dey masjid mein baith kar;
        Yaa, woh jagah bataa, ki, jahaan par khudaa na ho!"
 Eik meyraa sheir bhi, jaisaa meiney 'khudaa' ya 'parmeshwar' ko
jaanney-samajhney ki koshish ki hai, ya kahiye, jaanaa-samjhaa hai, kuchh usee taraf isharah kartaa hai:
         "Meiney, har zarrey mein mahsoos kiyaa hai us ko!
          Log kahtey hain: Khudaa rahtaa hai madeeney mein!!"
 Yani, WOH 'OMNIPRESENT' hai! WOH 'OMNIPOTENT' bhi hai; aur WOH 'OMNISCIENT' bhi hai! WOH 'har jagah' hai; WOH 'sab kuchh kar saktaa hai'; WOH 'sab kuchh jaantaa hai'! Yani, WOH, keywal MADEENEY mein hi naheen, har jagah hai! 'Kaashee', 'Mathuraa', aur 'Ayoudhyaa' mein bhi hai! Aap key aur meyrey ghar mein bhi hai!
 Isliye, bhai, uskaa ya uskee kisee cheez kaa koyee bhi kaisey 'anaadar' kar saktaa hai! Shayri key androoneen husn ko deykhnaa hi behtar hogaa; baahiree jo hai wah to maamoolee alfaaz hain, yahee meyree samajh mein aataa hai!
 Mein, aapkey kyaa, sabhi key dharmoun ki izzat kartaa hoon,wa unhain 'shruddhaa' sey deykhtaa hoon! Hazrat Muhammad Saheb ney bhi hazaaroun-laakhoun paigambaroun key honey ki baat kahee hai!
 ISLAAM PAk ki gahraaiyoun ki mujhey waaqiyee bahut hi kam samajh hai, aur ismein shak ki koyee gunjaish bhi naheen hai!
 Mujhey ummeed hai, ki, aap meyrey dil ki baat samajh gaye hongey!
                           Aadaab arz hai!
                                              - abd bundeli
         
           
           
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: July 11, 2008, 11:10:23 AM »
Reply with quote
Janab Abd Ji...

Ye baat Yahaan Par Dafan kar Do...

Daag Dahelvi Kaun The...??

Wo Shayaro Ki Duniya Ke The...

Shariyat Ki Duniya Ke Nahi The....

Do No Me Farq Dhune Par Hi aapko Maalom Padega..Aub

Agar Quraan-ul-Majeed Wa-al Furqaan-ul-Hameed Ka Transation Padhte Ho To Aap Guar Kariye ga Ji..

agar Main aapko Samjana Chahunga To bhi Nahi Samajo ge Aap.
Aap K Is Tafseele Guftagu Ko Maine Apne Files Me Save Kar Lia Hai..
Insha-allah Meri Koshish rahegi Ki Aapko Sahi Sahih Samjaa saku.
Gar Waqt Ne wafaa Ki To..

Va-ma-Tafiqu-illah-billah,
Tammat Bil Khiar

 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: July 11, 2008, 12:41:05 PM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
 Aap islaam pak key jaankaar hain, mujhey ismein zaraa bhi shak naheen hai! Aur, mein yeh bhi jaantaa hoon ki islaam mein sharaab peenaa haraam hai! Leikin, aap yeh bhi jaantey hain, ki, (islaamee mulkoun ki baat mein naheen jaantaa), duniyaa key koney-koney mein sharaab biktee hai, aur karorhoun-arboun log  usey peetey bhi hain; sirf iseeliye ham un-sey nafrat to naheen kar saktey! Jeenaa to hamain saath hi hai na? Magrabi mulkoun ney, (jahaan key jiyaadahtar log sharaab peetey hain) ki madad sey hi aaj kaa 'middle-east' aish-o-aaraam aur rayeeshee ki zindagee jee rahaa hai; naheen to wahaan eik lotey paanee key liye qatl tak ho jaatey they! Dharm ka maamlaa, khuda aur uskey bandoun key beech ka maamlaa hai: us kee ham qadra kartey hain, aur karnee bhi chaahiye! Mein gost naheen khaataa; leykin jo gost khatey hain, unsey mujhey koyee parheyz naheen hai!
  "Ooudhou, man maaney ki baat!
   Daakh chhohraa chhanrh amrut fal,
   Bishh keerhaa, bishh khaat!!"
   
 Aap eik neik aur khudaa parast insaan hain; yah meyrey liye bhi fakhra ki baat hai! Apan-tapan dost jo thahrey!

'Hai behtaree isee mein, ki, ham adbeeyaat ko;
 Har khas-o-aam key liye aasaan banaayen;
 Jis sey, ki, usmein aadmee, jo chahe padh sakey!
 Pabandiyaan to apney liye, khud key liye hain!!
Yah desh hai aisaa, ki, yahaan adb-o-amn hain;
Hai fakhra hamein, ham ney lagaaye hain galey sab!
Ham eik hain! Ham eik hain! Ham eik hee rahain!!
Jab aayegee qayaamat, to deykhengey usey tab!'
                   Shukraguzaar  - abd bundeli

 
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: July 11, 2008, 07:00:22 PM »
Reply with quote
Janab Abd aur Raza bhai...
Agar hum bhi aap ke is charcha men kuchh apne gyaan aadharit kahen to ashreshth to nahin lage ga na...
Aap dono se kal milte hain... Adhik baaten phir karenge aap ke aagya mil jaaye to...

Syed Naami
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: July 12, 2008, 03:56:21 AM »
Reply with quote
Quote from: abdbundeli

syednaami ji,
  'Swaagat hai' bhai Syed! Mahfil hai aapki yeh!
  Mein to abhi nayaa hoon: tazeeb seekhnee hai!'
       Mujh ko naheen hai ilm bahut mazhaboun ka, dost!
       Yeh sach hai: magar, mein bhi maantaa hoon khudaa ko!!
       Lagtaa hai mujhey, naaseh-o-zaahid  hain Muhammad:
       Jinkey liye 'sharaab' lafz tak haraam hai!
       Woh paak-o-neik shakhs hain! mein adbi rind hoon:
       (Haalaanki, naheen pee hai kabhi boond bhar sharaab!)
       Kartaa hoon sirf mahfil-e-insaan ki baateyn:
       Mujh ko khudaayee ilm kaa shuoor naheen hai!
   
                     Shukraguzaar   - abd bundeli


       
       
         
       
       Meiney naheen pee hai sharaab boond bhar kabhi;

Muzammir nahin kuchh yahan,,
Bas andaaz-e-bayaan hai,,
Guftaar-e-haqeeqat men pinha nahin kuchh,,
Ek muttaqi hai aur ek naghmanigaar hai..


Shaam ko milte hain...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2008, 01:22:50 PM »
Reply with quote
syednaami ji,
Aazaad hain ham, rahtey hain aazaad mulk mein:
Jis sey hamain 'kuchh' kahney ki aazaadee milee hai;
Sab apney dil kee baat kahain, aur ham sunaeyn!
Kahnee hai hamain baat, to, sunnee bhi parheygee:
Kahtey hain, jitney sir hain, bayaan utney hain alag!
Lagtaa ho gar kisee ko buraa kuchh: na kahaa jaay!
Pakkey houn ham yeemaan-o-deen key, to bhalaa hai!
Is mein na sirf apnaa, balki sab kaa bhalaa hai!!
    'Mundeyrmundeyrmatirbhinnaa!'
                                    - abd bundeli



Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:08:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer