Tinka-Tinka Jod Kar Ek Parinde Ne Apna Basera basa Liya "Khwaish"

by khwaish on June 01, 2010, 01:37:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 6095 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
"Hauslo Par Aanch Aa Jaaye To Thakraana Zaroori Hai
Agar Zinda Ho To Zinda Nazar Aana Zaroori Hai"

Kal Ek dost Ne Mujhe Yeh sher Sunaya Tha,Naa Jaane Kyon Mujhe Yeh Sher khaas Taur Par Bahut pasand Aaya,Yeh sher Ko yuhi Baar-Baar Yaad Kar Raha Tha Ke Zehan Mein Yeh Baat Aayi Ke Kyon Na Iss Rhythm Par Kuch Aur Likha Jaaye..
Kuch Aur Likhne Ki Himmat Kar Raha Hoon..
Umeed Karta Hoon Aap sab Humesha Ki Tarah iss Baar Bhi Mera Saath Denge..Shukriya

Hauslo Par Aanch Aa Jaaye To Thakraana Zaroori Hai
Agar Zinda Hoon To Zinda Nazar Aana Zaroori Hai

Kabhi khud Ko bhi Auro Ki Jageh Par rakhkar dekh,
Dard Dil mein Rakh Kar Bhi Labon Par Muskurana Zaroori Hai

Khuda Par Aitbaar Ho To Dil Se Ho,
Khuda Par Yakeen Dilane ke Liye Kya Khuda Ka Nazar Aana Zaroori Hai

Jo Khwaab Haqeeqat Ke Rang Mein Naa Dhal Sake Naa Sahi!!!
Zindagi Ki Sachai Jaane Ke Liye Kuch Khwaabo Ka Toot Jaana Zaroori hai

Bichadne ke Baad Kahi Mil Jaaye To Aankhon Se Aankhein Mila Lena Zaroor!!!
Ashko Ko Chupane Ke liye Kya Nazron Ko jhuka Lena Zaroori Hai

Maana Humne Ke Zindagi kabhi Tujh Par Meherbaan naa Hui
Par baar-Baar Yeh Baat Batlaana Kya Zaroori hai

Tinka-Tinka Jod Kar Ek parinde Ne Apna Basera Basa Hi liya
Par Kambakt Ussi Waqt Iss Tez Hawa Ko Aana Zaroori Hai

"Khwaish" Auron Ki Khushi Mein Bhi kabhi Khud Khush Rehna Seekhle
Kabhi Kisi Ke Liye Khud ko Bhi Loota Dena Zaroori Hai

Jin Rishto mein Pyaar ki Koi Mehak Nahi Phir Unn Rishto ka Koi wajood Bhi Nahi
Par Phir bhi Kya Inn Rishto Ko Nibhaate Jaana Zaroori Hai

Kabhi Mann Ki Aankhon Se Bhi khud Ko Dekho,
Jaise Chaaho Waise Hi Aaene mein Khud Ka Nazar Aana Kya Zaroori Hai

"Khwaish" Aaj Ki Zindagi Jeena Seekho!!!!
Kya Guzre Hue Daur Ko Yaad Kar Aansuu Bahana Zaroori Hai...

                   ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 01, 2010, 02:13:25 PM »
Reply with quote
waah Waah Waah, Bohat Achchi Koshish Ki Hai Aapne Khwaish Bhai,.

Bohat Achche,.
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: June 01, 2010, 02:35:47 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI        KHWAISH JI.....

ZINDAGI MEIN HAQIKAT KA SAAMNA KARNA ZAROORI HAI..
JIS TARAH ZINDAGI KI RAHA MEIN KHUSHI KO APNANA
USI TARAH GUM KO GALE LAGANA BHI ZAROORI HAI
KADMON KO TOH DAGMAGANA HI HAI ZINDAGI KI RAHA MEIN
DAGMAGATE KADMON KO SAMBHALNA ZAROORI HAI
SAPNE DEKHNA KOI BURI BAAT NAHIN
PAR HAR SAPNE SACH HONA KYA ZAROORI HAI
OONCHAYI CHOONA KOI GALAT KAAM NAHIN
MAGAR APNE HAAL MEIN KHUSH RAHENA BHI ZAROORI HAI
TINKA-TINKA JOD KAR EK PARINDE NE APNA BASERA BASA LIYA
AGAR MAALIK KO NA MANJUR HAI TOH USKA GIRNA ZAROORI HAI....

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: June 01, 2010, 06:52:32 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

Bahut bahut khoob Khwaish ji... bahut sahi baat kahi hai aapne... bahut hi khoobsurti se likha hai aapne...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 01, 2010, 07:33:37 PM »
Reply with quote
Main jabse Yo pe member bana hoon, kafi parra hai...Ap wakei mere fav shayar main se ho...Ap dil choo lete ho har baar...yun hi likte rahiyega dost...Bahaut khoob...Dusra aur teesra shaer dil ko bahaut zada pasand aya...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 01, 2010, 08:29:28 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Khwaish ji,bahut pasand aayi aapke kavita,excellent creation.hamesha ki tarah bahut sachai,aur khoobsurti se likha aapne.keep up the good work. icon_salut Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #6 on: June 01, 2010, 09:50:22 PM »
Reply with quote
khwaish ji "khayaal bahot achha hai. bahot khoob
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #7 on: June 02, 2010, 04:37:11 AM »
Reply with quote

   Khwaish ji,bahut khoobsurat zazbaat pesh kiy hai aapne. Thumbs UP
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: June 02, 2010, 05:50:44 AM »
Reply with quote
Wah Khwaish ji kya hi khoob likha hai aapne. Bahot achha laga padhkar. Bahot shandaar aur achhe khayalaat.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 02, 2010, 07:11:56 AM »
Reply with quote
Khawish Sahab Bahoth qoob Dad qubool Karen ,, Daur a hazir ke sab se bade shayar janab Waseem Barelvi sahab ka ye matla kaun bhol sakta hai ,, is sher ke phailao me acha qayalath pesh kiye hain apne .. iss ghazal ka eak aur sher jo mujhe behad pasand hai ..

Usse Saliqa hi nahi mahesos karne ka !!
Jo kaheta hai khuda hai to nazar ana zarori hai !!

-----------------------Waseem barelvi sahab---------------

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:50:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer