TIRANGA UNHEEN KI SUNATA KAHANI****SATISH SHUKLA'RAQEEB'

by Satish Shukla on August 15, 2011, 08:33:06 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4096 times)
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
shaheed-e-watan ka naheeN koee saani
watan waaloN par un ki hai maharbaani

watan par nichhaawar kiya apna sab kuchh
ladakpan ka aalam, budhaapaa, jawaani

kiya dil se har faisala zindagi ka
koee baat samjhee na boojhee, na jaani

lade khoon ki aakhiri booNd tak woH
lahoo ki nadi bhi padi hai bahani

kafan ki kasam, "ho hifazat watan ki"
waseeyat shaheedoN ki hai muHNjabani

watan ke liye jo fana ho gaye haiN
tiraNga unheeN ki sunata kahani

'Raqeeb' un ka kyoN zikra do din baras meN
wo haiN jaavida, zikra bhi jaavidani

                  --- Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2011, 08:46:42 AM »
Reply with quote
waah waah Raqeeb sahab -- baht lajawaab ghazal kahi aapne--
mindblowing post and ghazab ki soch.

sahi mayne me aaj ke din ke lie aisi hi ghazal ki jarurat thi.

kuch sawaal aur laakhon jawaab --waah behad umda kalaam

Kafan ki kasam-- kya khoob kaha aapne--

hazaaron daad aur mubarakbaad aapko.

haste rahiye Usual Smile
tata
Logged
M.ASGHAR MIRPURI
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2011, 10:46:43 AM »
Reply with quote
SATISH BHAI AZADI KA AAP NE
HAQ ADA KAR DIYA BEAUTIFUL.
ASGHAR
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: August 15, 2011, 06:12:50 PM »
Reply with quote

WAAHH...!!! BEHAD KHUBSURAT KALAAM... RAQEEB SAHAB...Usual Smile

 Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ROOH TAK AWAAZ PAHUCH GAYI...

BAHUT KHOOB..... Thumbs UP
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2011, 03:10:30 AM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Bahut bahut or bahut hee khoob Satish jee!watanparastee ke jazbe se bharpoor khaas tour par shaheedoN ke prati arpit ye shradhaa suman qaabil e taareef haiN....ek sachche shair kaa shaeedoN ko naman sirf or sirf isee tarah kiyaa jaa saktaa hai...desh kee khaatir mar mitane waale un jaaNbaazoN ke prati mann kritagyataa se bhar uthaa...........or is ke liye aap kee ye kaawish beshumaar daad kee mustahiq hai.....samooche yoindia kee or se bhee aap ko is beshqeematee gazal par dheroN badhai....
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2011, 03:43:21 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut KhooB Satish Ji
Bahut Hi Behtreen ............Jai Hind
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: August 16, 2011, 11:55:52 AM »
Reply with quote

sarfira ji,

Shukriya, aapka jawab achchha laga..

Raqeeb
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 16, 2011, 11:58:06 AM »
Reply with quote

ASGHAR SAHAB,

NAZM AAPKO ACHCHHEE LAGI
BAS YOON SAMJHIYE KI MERI
MEHNAT WASOOL HO GAYEE.

JAWAB DENE KA BAHUT BAHUT
SHUKRIYA...

RAQEEB
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: August 16, 2011, 12:00:16 PM »
Reply with quote

Touhid Sahab,

Nazm pasand karne aur jawab dene
ka bahut bahut shukriya..

Raqeeb Lucknowi
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: August 16, 2011, 12:13:04 PM »
Reply with quote

Mamta Ji,

Aapka jawab to meri nazm se bhi jyada achchha hai
bas aaise hee aashirwaad ke phool chdhate rahiye
aage bhee..jawab dene ka bahut bahut shukriya..

Bas ek koshish hai apni..zara aazaadee ke saath
kisi ko aitraaz ho to ho..tamaam bandishoN ko dar
kinaar karke jo kuchh, jaisa kuchh ban pada kaha hai..

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: August 16, 2011, 12:15:12 PM »
Reply with quote

Sanjeev Ji,

Nazm padhne, pasand karne aur jawab dene
ka bahut bahut shukriya..

Raqeeb Lucknowi
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2011, 02:20:57 AM »
Reply with quote
shaheed-e-watan ka naheeN koee saani
watan waaloN par un ki hai maharbaani

watan par nichhaawar kiya apna sab kuchh
ladakpan ka aalam, budhaapaa, jawaani

kiya dil se har faisala zindagi ka
koee baat samjhee na boojhee, na jaani

lade khoon ki aakhiri booNd tak woH
lahoo ki nadi bhi padi hai bahani

kafan ki kasam, "ho hifazat watan ki"
waseeyat shaheedoN ki hai muHNjabani

watan ke liye jo fana ho gaye haiN
tiraNga unheeN ki sunata kahani

'Raqeeb' un ka kyoN zikra do din baras meN
wo haiN jaavida, zikra bhi jaavidani

                  --- Satish Shukla 'Raqeeb'




aadaab
aap ka kalaam parhaa
waah kiya akahtey hain aap aap lafzon ke jaadoogar hain khiyaalaat ke shahenshaah kholoos ka samundar .... aap ki rawaanee is qadar tezo tarraar thee ki main khud us me bah gayaa bahot peyaaraa qalam hai aap kaa jis pairaaye me aap jazbaat ko qalmband kartey hain wo dil ko moh leta ahai
mobaarak ho
masood
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: August 17, 2011, 04:48:40 AM »
Reply with quote

masoodhassaas ji,

aapne Nazm padhee aur jawab diya, achchha laga
bahut bahut shukriya.

aap sab ka pyar aaisa hi aage bhi bana rahe
yahi kaamnaa hai.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: March 19, 2012, 10:25:17 AM »
Reply with quote
shaheed-e-watan ka naheeN koee saani
watan waaloN par un ki hai maharbaani

watan par nichhaawar kiya apna sab kuchh
ladakpan ka aalam, budhaapaa, jawaani

kiya dil se har faisala zindagi ka
koee baat samjhee na boojhee, na jaani

lade khoon ki aakhiri booNd tak woH
lahoo ki nadi bhi padi hai bahani

kafan ki kasam, "ho hifazat watan ki"
waseeyat shaheedoN ki hai muHNjabani

watan ke liye jo fana ho gaye haiN
tiraNga unheeN ki sunata kahani

'Raqeeb' un ka kyoN zikra do din baras meN
wo haiN jaavida, zikra bhi jaavidani

                  --- Satish Shukla 'Raqeeb'


wah wah bahut khoob............!

 Clapping Smiley Clapping Smiley icon_salut icon_salut
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: March 21, 2012, 05:15:31 AM »
Reply with quote

Sheba Ji,

Nazre inaayat aur hausala aafzai ka

bahut bahut shukriya.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:49:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer