~~"TOOT KE CHAHNE KI SAJA KYA HAI"~~ by Shally.

by k.shael on April 08, 2009, 08:35:33 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5293 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
Aaj se 2 din pehle raat ko u hi baithi khud ke baare me soch rahi thi,to dil kiya ki kuch likho, likhne ke baad use dekha nahi subah dekha to socha ise jaroor yoindia pe post karoongi, so aap sab ke samne haazir hai,umeed hai pasand kareneg aap sab...
Shayad ye meri aab tak ki pehli Ghazal hai...

Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"BASS BHOOL JAO MUJHE"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"Hame Bhi Jaam Pilaya Gaya"~~By Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2009, 08:45:43 AM »
Reply with quote
Aaj se do din pehle raat ko, tum jo soch rahi thi aur jo tumne likha aur phir subah jo dekha aur dekhne ke baad Yoindia par jo post kiya woh Kalam Bohat khoobsurat hain......aur tumne kaha shayed yeh tumhari pehli ghazal hain yeh baat kuch samajh me nahi aayi.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2009, 08:50:05 AM »
Reply with quote
Aaj se do din pehle raat ko, tum jo soch rahi thi aur jo tumne likha aur phir subah jo dekha aur dekhne ke baad Yoindia par jo post kiya woh Kalam Bohat khoobsurat hain......aur tumne kaha shayed yeh tumhari pehli ghazal hain yeh baat kuch samajh me nahi aayi.

Shukriya Sajid Ji, ki aapko ghazal pasand aayi aur ji haan ye sach hai ki aaj se pehle maine kabhi ghazal nahi likhi na hi yoindia pe post ki to ye meri pehli ghazal hi hui na..

Shally.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2009, 08:57:47 AM »
Reply with quote
sach mea bahoot khubsurat gazal likhi hai tumne Shally..

Keep writing....  Usual Smile
Logged
Anky
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2009, 09:03:11 AM »
Reply with quote
Wow Speechless :$ you know what after reading your ghazal i m feeling your pain
Logged
divyam
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2009, 09:03:50 AM »
Reply with quote
Aaj se 2 din pehle raat ko u hi baithi khud ke baare me soch rahi thi,to dil kiya ki kuch likho, likhne ke baad use dekha nahi subah dekha to socha ise jaroor yoindia pe post karoongi, so aap sab ke samne haazir hai,umeed hai pasand kareneg aap sab...
Shayad ye meri aab tak ki pehli Ghazal hai...

Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.

shally jee,

aap ki koshish mujhe achchhi lagii.. sab se pahel daad qubool keejiye.....

aap ne radeef aur qaafiya bhi puure Ghazal me.n sahiii baaa.nDha hai.. aap ki mehnat bhi saaf nazar aa rahii hai.....  Usual Smile

very nice! kyaa kahane! lagta hai dard par waah kahalwaana chaahti hai.n aap.............Usual Smile

aise hi likhtii rahe.n..

-Mayank

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2009, 09:32:48 AM »
Reply with quote
Shukriya Sajid Ji, ki aapko ghazal pasand aayi aur ji haan ye sach hai ki aaj se pehle maine kabhi ghazal nahi likhi na hi yoindia pe post ki to ye meri pehli ghazal hi hui na..

Shally.

Arey wahi to confusion hain agar yeh tumhari pehli Ghazal hain jaisa ke tumne kaha, to woh sab kya tha jo tumne aaj tak likha YOINDIA par.
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: April 08, 2009, 09:42:38 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob Shally dear
kamaal ka likha hai aapne
congratulations aapki koshish kaamyaab ho gayi !!!
Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: April 08, 2009, 10:25:45 AM »
Reply with quote
Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.

Wah wah... bahut khobsurati se likha hai tumne shally dear
Mujhe bahut accha laga padkar...  Thumbs UP
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: April 08, 2009, 10:39:47 AM »
Reply with quote
sach mea bahoot khubsurat gazal likhi hai tumne Shally..

Keep writing....  Usual Smile

Shukriya Sophi Dear,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: April 08, 2009, 10:40:51 AM »
Reply with quote
Wow Speechless :$ you know what after reading your ghazal i m feeling your pain

Shukriya Anky,

Sahi kaha iss ghazal ke ek ek word me mera dard jahir hai.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: April 08, 2009, 10:43:11 AM »
Reply with quote
shally jee,

aap ki koshish mujhe achchhi lagii.. sab se pahel daad qubool keejiye.....

aap ne radeef aur qaafiya bhi puure Ghazal me.n sahiii baaa.nDha hai.. aap ki mehnat bhi saaf nazar aa rahii hai.....  Usual Smile

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

very nice! kyaa kahane! lagta hai dard par waah kahalwaana chaahti hai.n aap.............Usual Smile

aise hi likhtii rahe.n..

-Mayank

Bahut Bahut Shukriya Gaafil Ji,

Ki aap mere thread par aaye, aur meri ghazal ko pasandh kiya,

aapko shukriya kehne ke liye shukriya ke siwa koi aur lafz hi nahi mil raha aur mujhe yaqeen hai ki ye word bahut chota hai aapka shukriya ata karne ke liye...

phir bhi ise kabool kijiye

Shukriya.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: April 08, 2009, 10:44:50 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob Shally dear
kamaal ka likha hai aapne
congratulations aapki koshish kaamyaab ho gayi !!!
Thumbs UP

Shukriya Diya Sis.

Yes meri koshish kamyaab hui,

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: April 08, 2009, 10:45:56 AM »
Reply with quote

Wah wah... bahut khobsurati se likha hai tumne shally dear
Mujhe bahut accha laga padkar...  Thumbs UP

Shukriya Roza didi,

Khushi hui ki aapko ye ghazal pasandh aayi,

Shally.
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: April 08, 2009, 11:09:22 AM »
Reply with quote
Aaj se 2 din pehle raat ko u hi baithi khud ke baare me soch rahi thi,to dil kiya ki kuch likho, likhne ke baad use dekha nahi subah dekha to socha ise jaroor yoindia pe post karoongi, so aap sab ke samne haazir hai,umeed hai pasand kareneg aap sab...
Shayad ye meri aab tak ki pehli Ghazal hai...

Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.

Waah Bohot Khoob Shally, bohot achcha likha hai aapne..Yunhi likhte rehna !!

Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:04:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer