~~"TOOT KE CHAHNE KI SAJA KYA HAI"~~ by Shally.

by k.shael on April 08, 2009, 08:35:33 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 5348 times)
k.shael
Guest
«Reply #30 on: April 10, 2009, 09:09:31 AM »
Reply with quote
bahut achche shally...sorry comment der se de pa raha hoon........ par jo isme aapne likha hai Pehli ghazal waisa toh ghazal ko pad kar kaahin bhi nahin laga .... aapki zindgi k jis bhi pehlu se guzar kar yeh saamne aayi hai yakeenan woh bahut dard bhara hoga....dua hai meri kii allah aap par karam banaye rakhe


chhoot jaaun main tere ishq kii giraft se yeh mujhe manjoor kahaan
kiii mujhe maut bhi tere pehlu main ZINDGI si nazar aayi


Shukriya Salil Ki aapne pada aur saraha,

Aur shukirya ki dua ki aapne iss nacheez ke liye,

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"BASS BHOOL JAO MUJHE"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"Hame Bhi Jaam Pilaya Gaya"~~By Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #31 on: April 10, 2009, 09:10:33 AM »
Reply with quote
bohat bohat bohat khoobsoorat....bohat behtareen.
kya kahein behad achchhi hai aapki rachna.........
iski taareef ke liye koi lafz hi mere paas nahi hain shael ji..
 Applause Applause Applause Applause

Shukriya Tanha ji,

Ki aapne itna psandh kiya iss ghazal ko,
Hamari mehnat ki keemat ata hui...

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #32 on: April 10, 2009, 09:11:29 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche shally behan,,
Yunhi Likhte Rehna,.

Once Again Shukriya Azeem Brother,
Bass aap apni duayein dete rahiye hame..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #33 on: April 10, 2009, 09:12:34 AM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai shally ........alag andaz-e-bayan.....shuruaati kuch lines to behad ......be-intha khoobsurat ban gai hain.....daad kabool karen


Shukriya Sanjeev Brother,
Aapka to bass aahirwaad chahiye hame,

Shally.
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #34 on: April 11, 2009, 06:05:11 AM »
Reply with quote
wow!! shally..bahut khoobsurat gazal pesh ki hai aapne..  Applause Applause full of pain..touching lines..keep writing dear..May God Bless U... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: April 11, 2009, 06:20:52 AM »
Reply with quote
Aaj se 2 din pehle raat ko u hi baithi khud ke baare me soch rahi thi,to dil kiya ki kuch likho, likhne ke baad use dekha nahi subah dekha to socha ise jaroor yoindia pe post karoongi, so aap sab ke samne haazir hai,umeed hai pasand kareneg aap sab...
Shayad ye meri aab tak ki pehli Ghazal hai...

Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.



Thankyou So Much Shally,Jo aapne mauka Diya ke Mujhe Sach Mein,Itni Khoobsurat Ghazal Padhne Ko Mili Hai..

Bahut Bahut khoob Shally!!!

"Lafz Mere Aur Gham Dil Ke Dekh to,Kalam Ne Likha Kya Hai"
Bahut Bahut Khoob.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #36 on: April 11, 2009, 07:31:09 PM »
Reply with quote
Aaj se 2 din pehle raat ko u hi baithi khud ke baare me soch rahi thi,to dil kiya ki kuch likho, likhne ke baad use dekha nahi subah dekha to socha ise jaroor yoindia pe post karoongi, so aap sab ke samne haazir hai,umeed hai pasand kareneg aap sab...
Shayad ye meri aab tak ki pehli Ghazal hai...

Arz hai...

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah aab tu hi bata saja kya hai,
Kya de du tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai,

Shayar hoo.n inn badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai,
Lafz mere aur gamm dil ke dekh to kalam ne likha kya hai,

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni aab gilaa kya hai,
Tu aab talak nahi gaya door meri yadoo se teri raza kya hai,

Aankhon me nami aur dil me beshumaar khushi wajah kya hai,
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai,

Ye raahein to louti hai mere dar pe wapis jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane uss jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai,

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Aab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai…

Shally.


\

wah Shally, bahut hi badiya .. this is your first attempt to write a ghazal and you really have done wonders .. great .. do keep it up ...



YEHI JINDAGI KA DASTOOR HAI
YEHI JINDAGI KI MAJBOORI
HUM NA HO SAKEY KISI KEY
JINDAGI REH GAYI KITNI ADHURI


EK CHOTA SA KHWAAB THA
KAYI CHOTEY SEY SAPNEY
NA JANEY WOH KAHA GAYE
JOH HUYA KARTEY THEY APNEY
YEHI JINDAGI KA DASTOOR HAI
YEHI JINDAGI KI MAJBOORI
HUM NA HO SAKEY KISI KEY
JINDAGI REH GAYI KITNI ADHURI


CHODD KAR HAMEY YU CHAL DIYE
BOOZ GAYE ABB TOH SAREY DIYE
KYA SILA DIA EH ISHQ TUNEY
ABB JIYE BHI TOH KISS KEY LIYE
YEHI JINDAGI KA DASTOOR HAI
YEHI JINDAGI KI MAJBOORI
HUM NA HO SAKEY KISI KEY
JINDAGI REH GAYI KITNI ADHURI


MARR TOH JAYU MAGAR
WADA AAJ BHI YAAD HAI
KASMEY SARI TOOT GAYI
PAR MOHABBAT HAMEY YAAD HAI
YEHI JINDAGI KA DASTOOR HAI
YEHI JINDAGI KI MAJBOORI
HUM NA HO SAKEY KISI KEY
JINDAGI REH GAYI KITNI ADHURI



jasbir singh


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #37 on: April 14, 2009, 08:08:53 AM »
Reply with quote

Mohabbat tujhse ki hai bepanaah ab tu hi bata saja kya hai?
Kya de dun tujhe bewafai ke badle me mere pass bacha kya hai?

Shayar hoo.n in badnaam galiyoon ka aur bigadne ko raha kya hai?
Lafz mere aur gamm dil ke, dekh to kalam ne likha kya hai?

Maan liya teri jafao ko bhi kismet apni, ab gilaa kya hai?
Tu ab talak nahi gaya door meri yadon se teri raza kya hai?

Aankhon men nami aur dil men beshumaar khushi: wajah kya hai?
Door rehke tadpna bhi hai aur pass aake tadpana bhi ye maja kya hai?

Ye raahein to louti hain mere dar pe wapis, jaane wo gaya kahaan hai,
Kon jaane us jaane wale ne leke sab kuch mujhe diya kya hai?

Hai maloom Tujh hi ko chaha har lamha har saans pe Shally ne,
Ab zara bata bhi de aye beraham toot ke chahne ki saja kya hai?

Shally.



Shally ji! Applause Clapping Smiley
Aap ney dard-e-judaayii-o-beywafaayii ki jo kayi-eik khobsoorat tasweeraat-e-alfaaz apnee is pahlee hi gazal mein peish kartey huye, apney dil-o-dimaag mein nihaan eik beyhtareen shaayarah ko zaahir kiyaa hai, qaabil-e-khairmaqdam hai! Tasawwuraat-o-khayaalaat mein dilee qashish ko numaayaan hotey deykhnaa sab ko achchhaa lageygaa!
Badhaayee!
             - abd bundeli
Logged
Rakeshanub
Guest
«Reply #38 on: April 15, 2009, 08:50:58 AM »
Reply with quote
Nice Gazal dear. best of luck for future. take care
Logged
punam
Guest
«Reply #39 on: May 11, 2009, 11:03:21 AM »
Reply with quote
shally bahut khoob ...bahut acha laga yun raat ko baith ke socho aur yehan post pe post karti jao...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: May 11, 2009, 11:26:47 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Jasbir Bhai,.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #41 on: July 04, 2009, 09:08:19 AM »
Reply with quote
Wah wah Shally ji beautiful gazal,wonderful creation,excellent. icon_thumleft
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:32:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer