toot na jaye kahi.n aaiina e mohabbat dilo.n ke tarah......irshad ahmed siddiqui

by irshad ahmed siddiqui on November 10, 2010, 03:58:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1418 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
toot na jaye kahi.n aaiina e mohabbat dilo.n ki tarah
ye aarzuye.n bhi hoti hai.n bahut nazuk gulo.n ki tarah

woh sagar ki lehro.n ki tarah aatey rahe jaatey rahe
mera daaman bhi raha hamesha namm sahilo.n ki tarah

un ko apni nigaho.n mein humne sajaa kar rakha aise
ke rahney lagey aakhon mei.n woh kaajalo.n ki tarah

woh jab jab nazar aaye mujhe chaand sitaare bankar
bhatakte rahe hum bhi falak par badalo.n ki tarah

muddaten beet gayi magar in nigahon ko aaj bhi ye lagta hai
ke jaise mere sanam khade hai.n saamne khyalo.n ki tarah

                         ||irshad ahmed siddiqui||


Logged
zarra
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2010, 06:01:59 PM »
Reply with quote
uff! waah kya baat hai janaab irshaad ! bahaut lazzatdaar kalaam kaha hai ! shayari ka pooraa lutf hai ismein.
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #2 on: November 10, 2010, 06:13:50 PM »
Reply with quote
Wah ji wah...kya khoob likha hai Irshad ji.....mast hai aapka ye kalaam...daad kabool farmaiye.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley

Wo sapno main mere aate hain jaate hain
Jab bhee neend ke jhonke mujhe aate hain

Nazron ke teer se unki dil ghayal hote hain
Darta hu pade nazar unki aaina na tadak jaaye

toot na jaye kahi.n aaiina e mohabbat dilo.n ki tarah
ye aarzuye.n bhi hoti hai.n bahut nazuk gulo.n ki tarah

woh sagar ki lehro.n ki tarah aatey rahe jaatey rahe
mera daaman bhi raha hamesha namm sahilo.n ki tarah

un ko apni nigaho.n mein humne sajaa kar rakha aise
ke rahney lagey aakhon mei.n woh kaajalo.n ki tarah

woh jab jab nazar aaye mujhe chaand sitaare bankar
bhatakte rahe hum bhi falak par badalo.n ki tarah

muddaten beet gayi magar in nigahon ko aaj bhi ye lagta hai
ke jaise mere sanam khade hai.n saamne khyalo.n ki tarah

                         ||irshad ahmed siddiqui||



Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #3 on: November 13, 2010, 04:30:41 PM »
Reply with quote
nawajish ke liye shukriya zaarra ji, shukriya janaab anaam saheb bahut bahut shukriya.. kalaam ko pasand karne ke liye... Allah - Hafiz.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: January 30, 2011, 08:31:00 PM »
Reply with quote
Wah wah Irshad ji,lajawab aur very romantic creation,bahut pasand aayi padke,Anaam ji ne bhi khoobi se saath nibhaya.hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2011, 05:52:39 PM »
Reply with quote
Madhu ji dhanyawaad aapka...pasand kiya aapne.....

Wah wah Irshad ji,lajawab aur very romantic creation,bahut pasand aayi padke,Anaam ji ne bhi khoobi se saath nibhaya.hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: February 01, 2011, 06:17:10 PM »
Reply with quote
Janab mahuwesh saheb, janab Anaam saheb , Janab Shihab saheb NAWAJISh ke dil se shukriya....Khush o abaad rahiye...bajm me aate rahiye.......
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 01, 2011, 07:16:31 PM »
Reply with quote
Janab Irshaad Sahaab Aadaab!

Badi dilkash kalaam se nawaaza hai aapne ....
Masha Allah kia ashaar kahe hai.. aur kia khoob andaaz e bayaaN raha aapka..

Janab Dil se daad o mubarakbaad kabool kijiye..
         



toot na jaye kahi.n aaiina e mohabbat dilo.n ki tarah
ye aarzuye.n bhi hoti hai.n bahut nazuk gulo.n ki tarah

Kia matla kaha hai janab Daad daad daad Usual Smile         

woh sagar ki lehro.n ki tarah aatey rahe jaatey rahe
mera daaman bhi raha hamesha namm sahilo.n ki tarah

Masha Allah gazab janab behad umdaa behad khoob sher kaha aapne daad daad daad Usual Smile         

un ko apni nigaho.n mein humne sajaa kar rakha aise
ke rahney lagey aakhon mei.n woh kaajalo.n ki tarah

Achcha sher hai daad Usual Smile         

woh jab jab nazar aaye mujhe chaand sitaare bankar
bhatakte rahe hum bhi falak par badalo.n ki tarah

Oye hoye kia kahne hai janab loot liya aapke is sher ne Usual Smile         

muddaten beet gayi magar in nigahon ko aaj bhi ye lagta hai
ke jaise mere sanam khade hai.n saamne khyalo.n ki tarah

Bahut khoob achcha hai ... Daad daad daad ... Usual Smile         

                         ||irshad ahmed siddiqui||




Sabhi Ashaar behad khoob rahe irshaad sahaab...

Aise hi umdaa kalaamoN ke saath aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2011, 04:56:36 PM »
Reply with quote
Janab PARWAAZ saheb salam: Nawajish ke liye Aap ka bahut bahut shukriya...PARWAAZ saheb aap ne mujhe bahut saraha hai...aur guide kiya hai..har ek sher par marks dete ho...MASHA AllAH bada hi nirala tarika hai aap ka DAAD dene ka... fir se shukriya...allah aap ko khairiyat se rakhe .... Allah Hafiz
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:06:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer