toote diloN ki haa'e bhi BEASAR jaati hai...!!

by ghayal_shayar on June 25, 2010, 11:15:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1245 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
tumse milke laga ki hume khudaa mil gaya, kya tha pata hume ki ek bewafaa mil gaya,, hum chale the daaman me khusiyan batorne, par tujhme gamon ka kaarwaa.n mil gaya,, falak jane ki khwaison me chale the hum, par hume tere ghar ka raasta mil gaya,, ishq karne ko betaab raha karte the kabhi, hans na paayen kabhi aisa mazaa mil gaya,, humne to dil-o-jaan se nibhai wafa usse, par fir v use kaise uzr-e-jafaa mil gaya,, aur jahaan me dard na seh sakega "ghayal", ab tujhse hi jo hume gum itna mil gaya......




chasm* khusboo ki tarah utth ke bikhar jaati hai,
jo dekha tu raqeebon# ki baahon me utar jaati hai.

*aaNkhen,#dushman...!!

Aarzoo sapnoN se haqiat me aati-aati marr jaati hai,
NeeNd me chodd kar mujhe jab tu is kadar jaati hai.

vasl-e-yaar* ke lamhe to do pal me nikal jaate hain,
har raat ek shab-e-gum-e-furqat# guzar jaati hai.

*Yaar se milan, #Bichadne ke gham ki raat...!!

jo aaj v khush hain,dilon ko khilona banane wale,
lagta hai toote dilon ki haa'e* v beasar jaati hai.

*badduaa...!!

bahut taakat hai is dil ke ashqon ke samandar me,
jab utthe to badi door talak iski lahar jaati hai

Safar me badle raaste,ki tu mujh talak na pahunche
Par kambakht,har raah yahaaN tere sahar jaati hai.

hum maut ki duaa maaNgte rahe khuda se har pal,
par ye v ek baar nahiN jati,baar-e-digar* jaati hai.

*baar-baar...!!

zinda hone pe humare,hai itni hairat zamane ko,
jahaaN jaaye"ghayal" wahiN sabki nazar jaati hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jalte dilon ki diwaali by neha17 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
RISHTE DILON KE !!! by poem143s in Shayri-E-Dard
Har Duwa Beasar to Kya keejay ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Ghazals « 1 2  All »
dilon se dilon ke riste kabhi tuta nahi karte by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
ASAR BEASAR by surindarn in Ghazals
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: June 26, 2010, 06:17:21 AM »
Reply with quote
Good one...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: June 26, 2010, 07:07:39 AM »
Reply with quote
shukriya rajesh sahab, bas yuNhi saath nibhaate rahiyega....!!
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2010, 01:44:28 PM »
Reply with quote

  Bahut Khoob G.S ji. N thanks for hindi translation as hume bhi kuch seekhne ko mila.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2010, 09:08:25 PM »
Reply with quote
  Bahut Khoob G.S ji. N thanks for hindi translation as hume bhi kuch seekhne ko mila.

Muhtarma tareef ka shukriya, aur translation dena do jaruri ota hi hai kyuNki tabhi padhne wale ko asaani hoti hai, waise meri aisi haisiyat naiN ki kisi ko kuch sikha sakuN, bas umeed karta huN aage v aapka saath yuNhi bana rahega....!!
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #5 on: June 27, 2010, 02:58:47 PM »
Reply with quote
Janab GS sb. arz ye hai ke aapne ye jo bhi kuch likha hai ye gazal nahi  hai. Agar ho sake to kisi shayar se islah kara liya kijiye aur ilm-e-beher bhi seekh lijiye. Tab tak gazal section me apni takhleek post na karen. Dusre members se bhi yahi guzaris hai ke gazal section me sirf gazal hi post karen. Shukria.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: June 27, 2010, 05:22:06 PM »
Reply with quote
janab adeeb sahab, ghazal ke lliye beher ka hona jaruri nahin amna hai kayi shayaron ne, aur ilm-e-beher ki baat to bahut abad me aati hai, aur main kabhi yahaan ise post nahin karta agar maine yahaaN ki baaNki posts beher me dekhi hoti, aur behas ka waise faayeda nahin hai, nazaiyon ka farq hai, aur gar yahaaN sird beher me posteN karni haiN, to is baat ka jikra forum ke upa hi karrna chahiye...!! umeed karta hoon aapse fir mukhatib hone ka mauka milega...!!
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #7 on: June 28, 2010, 03:22:09 AM »
Reply with quote
Janab GS sahab, agar aapko ilm-e-beher nahi hai to iska matlab ye nahi ke ghazal ke liye beher ka hona zaruri nahin. Aap kisi ghalatfahmi ka shikaar hain. Aap kisi ek naye ya puraney aur mash-hoor shayar ka naam batayen jo beher mein ghazal na likhta ho. Aap gazal ki history ka mutala karein aur iski definition ko samjhen.

Gazal section ke upar ye likhna zarori nahi ke ghazal beher me honi chahiye kyonki ghazal to hoti hi hai beher mein. Aisa nahi hai ke ghazal section mein sab hi bina behr ke likhte hain. Kuch to hain jo iska khyaal rakhte hain. Jab aapne beher sikhi nahi to kaise maloom hua ke kaun beher mein likha raha hai kaun nahi.

Aapki khushi hai beher mein likhe na likhen, kisi par koi zabardasti nahi hai. Lekin urdu shayari ke usoolon ki mukhalfat bhi na karen.

Shukria.


Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: June 28, 2010, 08:36:11 AM »
Reply with quote
janab jaankari ke liye shukriya, aur ye baat to maiN kahi hi nahin k ilz-e-beher hume haasil nahiN, maine bas apna nazariya rakha tha ki beher ko maiN jaruri nahiN samajhta, ga aapko beher me hi ghazal dekhni hai, to agli baar se aapki is baat ka khayal rakhuNga, aur janaabkisi v ghazal ka beher me hona ya nahiN bade aaraam se dekha jaa sakta hai,ye to gungunane me hi pata chal jata hai au uske baad v confusion ho to syllabe tod ke bade aaraam se pata chal jata, hai, waise ye nazariyoN ki baat hai,to aainda se yahaaN sird beher wali ghazal hi daaluNga, waise janab jab aapne to saaf hi keh diya ki ilm-e-beher hume haasil hi nahN, waise hum to shaukiya log haiN, aap jaise chand sukhanwaroN se hi seekhne ki soch rahe haiN....!!  umeed karta hun aage v aapse mukhatib hote raheNge....!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:44:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer