Toote hue khawabon mein ........................

by waheed_rose2004 on April 06, 2005, 06:01:28 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2951 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
Toote hue khawabon mein haqiqat dhundta hoon
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon

Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon

Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon

Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon

Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon............................nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Toote howe khawabon mein haqiqat by maazkazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
**Kaash Khawabon Mein** by honeyrose in Shayri-E-Dard
Khawabon mein aakar... by daljeet_faqeer in Shayri for Dard -e- Judai
khawabon mein mere aa kar by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
khawabon mein aana by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2005, 06:08:56 AM »
Reply with quote
teri ankhoon ka lejha bolta hi
jaise chand ke gird hala hota hi
jaise bun mein moor punkh kholta hi
jaise shama ke gird purwana dolta hi
jaise punghut pe koi gaisoo kholta hi
aise hi
teri ankhoon ka lehja bolta hi

jaise jism mein dill dhurkta hi
jaise sunsaan rahoon pe rahi guzarta hi
jaise door sehra mein ko diya jalata hi
jaise bhunwara phollon pe mundlata hi
jaise koi sansoon ki KHUSHBOO ko mehkata hi
aise hi
teri ankhoon ka lehja bolta hi

jaise saghur mein seep, seep mein
moti chupa hota hi
jaise sard ratoon mein koi beykhbur soya hota hi
jaise sawan ka hur suo shoor bupha hota hi
aisey hi
teri ankhoon ka lehja bolta hi
duro baam
aise uljhey hein teri adaoon se
ke hur pul dill tujhko sochta hi



NM
Logged
nishita
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2005, 07:04:35 AM »
Reply with quote
Very nice waheed and fakhar.. beautiful ones..!! Usual Smile
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2005, 07:14:47 AM »
Reply with quote
Waheed and naveed dono hi ekdum mast likha hai..................
Logged
Princess21
Guest
«Reply #4 on: April 26, 2005, 05:55:42 AM »
Reply with quote
Wow...So nice!!! Waheed!! and naveed!!!!!!!!!!!!!!! WonderFul!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #5 on: April 29, 2005, 10:59:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "Princess21"
Wow...So nice!!! Waheed!! and naveed!!!!!!!!!!!!!!! WonderFul!!
thanx
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #6 on: April 30, 2005, 01:06:18 AM »
Reply with quote
Wonderful Words Naveed Ji... Waheed ji

Apnaa_koi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #7 on: April 30, 2005, 01:21:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "apnaa_koi"
Wonderful Words Naveed Ji... Waheed ji

Apnaa_koi
shukria bhai sb.......................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #8 on: June 10, 2005, 10:04:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Toote hue khawabon mein haqiqat dhundta hoon
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon

Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon

Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon

Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon

Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon............................nm


very niceeeeeeeeee naveed ji
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: June 24, 2005, 07:30:28 PM »
Reply with quote
thanx,,,,,,,,,,,.......nishita..........dhadkan..........princi.......anjali...........khusi.............................nice  naveed............
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: June 27, 2005, 07:17:43 AM »
Reply with quote
wah kya baat hai waheed ji bahoot acchay..

"Toote hue khawabon mein haqiqat dhundta hoon
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon "


lovly write

always Harash
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #11 on: June 27, 2005, 07:22:02 AM »
Reply with quote
Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai,
Milta wohi hai jo qismat mein likha hota hai,
Har cheez milay humain yeh zaroori to nahi,
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai, Jo khud ko kostey hain woh shayad be khabar hain,
Kuch paa lenay ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai, Har aik ko barsar-e-ilzam kuon thehrayein hum, Apne samne bhi to aik ayeana hota hai,
Hum apni zindagi se kiun haar jayein WaSeE* Gar doobta hai sooraj to kal taloo bhi tou hota hai ..
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: February 03, 2006, 05:20:12 AM »
Reply with quote
muna bahut khoob...

sabhi dosto ney bahut acha likha hia...

keep it up all...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: February 06, 2006, 05:08:22 PM »
Reply with quote
Thanxxx  Harsh,........  Sonu.........  Amit.....   very  nice  Amit........  :lol:
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: February 14, 2006, 04:50:35 AM »
Reply with quote
u r welcome babo...

Hum chley bhi gaye jehan sey to yadey meyri teyra sath nibhaeyngi,
Aaj jinda hia to yaad kertey hay merney per bhi yeh hi sedha ahneyngi.

Sager jitna paa ker bhi mey ek bund na ley ja pungi,
Tujh jeysey chaney valo ko apni yadey dey jaungi.
Shurat di logoon ney bahut mager makbuliyat apney,
Mey shuney thi, jub, us vaqt meyra sath diya apney,

App jub tak meyrey sath hai,
hai jindgi sath meyrey
Mout bhi ayhgi to us pel jub,
hungey na app sath meyrey.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:28:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer