Tum hameN zahr pilaa do to maza aa jaaye

by Ghulam Haider on September 21, 2012, 01:17:21 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1783 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
MiSra' e TarH "Tum hameN zehr pilaa do to maza aa jaaye" par apni naa cheez si kaavish, aap aHbaab ki khidmat meN pesh kar rahaa hooN.



Rukh se parde ko haTaa do to maza aa jaaye.
Jalva e Husn dikhaa do to maza aa jaaye.


Apni masti bhari aankhoN se pilaa kar do jaam,
Ham ko mastaana banaa do to maza aa jaaye.



A’ashiq e zaar ki Haalat pe karam farmaao,
Dard e furqat ki davaa do to maza aa jaaye.


Lazzat e sozish e jaaN ishq meN kuchh ham ko mile,
Shama’ ulfat ki jalaa do to maza aa jaaye.


Apni zulfoN ka banaa kar na rakho Sirf aseer,
Jurm e ulfat pe sazaa do to maza aa jaaye.


Apne haathoN se moHabbat bhare andaaz ke saath,
Tum hameN zehr pilaa do to maza aa jaaye.


Hai Talabgaar e wafaa deke dil apnaa Haider,
Tum agar saath nibhaa do to maza aa jaaye.
Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2012, 01:41:35 AM »
Reply with quote
haider sahab , aadab, kya umda ghazal kahi hai, har shair ghazal ka shair hai, mukammal aur riwayati ghazal kehte hain aap, is noiyyat ki shayri padhne ko milti hai to lagta hai ghazal abhi zinda hai apni poori aab o taab ke sath. Dheerooon daaaaad qubool kijiye.......
Logged
soudagar
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2012, 01:50:49 AM »
Reply with quote
shri ghulam haidar ji

ab humein aarish bhai jaan ki tarah  itne achhe tarike se tareef karni to nahi aati ... hamare dil ko chhoo jaye humein bahut pasand aaye wahi hamare liye sab hai  hum itni bareeki se  kuch keh nahi paate

bas aapki yeh gazal padhi to bahut achha laga sirf ek bar nahi 1 ghante mein 7-8 bar padhi kyunki  padhne mein bada maza aa raha hai.. bahut hi lajawab aur khubsurat gazal..aapko hazaron daad aur mubarakbaad dete hai

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2012, 03:32:19 AM »
Reply with quote
Bahut khubsurati se shabdon ko piroya hai....lajabab....
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 21, 2012, 03:34:31 AM »
Reply with quote
aap isee tarh mahfil ko guljaar banaa do to mazaa aa jaaye
bahut sunder ghazal hai dheron daad
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #5 on: September 21, 2012, 07:39:14 AM »
Reply with quote
BAhut Hi Sunder Rachna Haider Ji Bahut Khub
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: September 21, 2012, 10:58:46 AM »
Reply with quote
Haider Bhai ,,Salam Alaikum

Apke ma'yari kalamo'n se najane hum jaise kitni hi nauamoz mustafeed ho rahe hai'n aur Inshallah Hote rahenge...Ghazal ki tareef karna suraj ko diya dikhane jaisi baat hai ....Shahkaar ghazal ke liye aap hazarah dad qubool kare'n ....Ye koi nahi baat nahi ke humne apko parhke sher kahene sikhe'n ..Allah apko ek taweel umr se nawaze ....

Talib e ilm

Qadeertoopchi
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: September 21, 2012, 01:52:36 PM »
Reply with quote
Adab ... bahut umda peshkash haider jee  Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
nishi gahlaut
Guest
«Reply #8 on: September 21, 2012, 01:58:16 PM »
Reply with quote
Bahut he sundar Gazal hai...bahut khoob.. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: September 21, 2012, 03:48:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob ,Haider saheb.Ghazal parh kar waqai maza aa gaya.bahut mubarakbaad.
Logged
Sps
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2012, 07:21:21 PM »
Reply with quote
bahot hi numda ghazal.....bahot khoob, really very nice!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: September 22, 2012, 10:28:58 AM »
Reply with quote
Haider Sahaab Aadaab!


Mashaa Allaah janab kia kahne aapke andaaz e
bayaaN ke behad umda gazal kahi hai janab...
Behad dilkash aur khoobsurat ahsaas O khayaal
ko umdaa lafzoN meiN baNdha hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad dilkash rahe..
Is umda kavish par humari hazaaroN dili daad O
Mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda hafez... Usual Smile

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: September 22, 2012, 12:39:59 PM »
Reply with quote
haider sahab , aadab, kya umda ghazal kahi hai, har shair ghazal ka shair hai, mukammal aur riwayati ghazal kehte hain aap, is noiyyat ki shayri padhne ko milti hai to lagta hai ghazal abhi zinda hai apni poori aab o taab ke sath. Dheerooon daaaaad qubool kijiye.......
MoHtaram Aarish ji aap ne jin alfaaZ se meri adnaa si kaavish ko saraaha hai us ke tashakkur ke liye mere paas alfaaZ nahiN haiN. Bas mukhtaSar ye hai ke aap dostoN ki himmat afzaaie se jahaN shauq e she'r goie paidaa hota hai wahiN z'immedaari ka iHsaas bhi hota hai. Dua'a kijiye ke mera shauq aap ke z'auq e a'ali ko mutaccir karta rahe aur nishaaT o farHat ki kaifiyyat bar qaraar rahe...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: September 22, 2012, 12:52:09 PM »
Reply with quote
shri ghulam haidar ji

ab humein aarish bhai jaan ki tarah  itne achhe tarike se tareef karni to nahi aati ... hamare dil ko chhoo jaye humein bahut pasand aaye wahi hamare liye sab hai  hum itni bareeki se  kuch keh nahi paate

bas aapki yeh gazal padhi to bahut achha laga sirf ek bar nahi 1 ghante mein 7-8 bar padhi kyunki  padhne mein bada maza aa raha hai.. bahut hi lajawab aur khubsurat gazal..aapko hazaron daad aur mubarakbaad dete hai

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Mere a'zeez, moHtaram Soudagar ji, aap ne baRe hi sundar Dhang se meri rachnaa par apne bhaavoN ko prakaT kiya hai. Mujhe bahut khushi huie ki aap ko meri ye rachnaa achchhi lagi. Kisi ki ta'reef meN do shabd bhi kaafi hote haiN, jabki aap ne to khul kar ta'reef ki hai. maiN aap ka aabhaari hooN. Allah aap ko hamesha khush rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: September 22, 2012, 12:56:22 PM »
Reply with quote
Bahut khubsurati se shabdon ko piroya hai....lajabab....

MoHtarama Gayitri gupta ji aap ne gaagar meN saagar waale andaaz se baat keh kar apne khoobSoorat khayaalaat ka iZhaar kiya hai. Aap ka shukr-guzaar hooN.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer