Tum hameN zahr pilaa do to maza aa jaaye

by Ghulam Haider on September 21, 2012, 01:17:21 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1782 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: September 22, 2012, 01:02:41 PM »
Reply with quote
aap isee tarh mahfil ko guljaar banaa do to mazaa aa jaaye
bahut sunder ghazal hai dheron daad
MoHtaram sksaini4 ji wo kalaam hi kya jise paRhne ke ba'd maza na aaye..!!!! bas apni koshish ye hi hoti hai ke koie baat aisi ho jaaye jis se kisi ko kuchh khushi mile, dil ba Haal ho jaaye, isi MeN hamaari khushi hoti hai. Allah aap ko sadaa khush rakhe..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #16 on: September 22, 2012, 01:16:40 PM »
Reply with quote
BAhut Hi Sunder Rachna Haider Ji Bahut Khub
BaRi khushi ki baat hai ke meri rachna aap ko achchhi lagi, ummeed hai aage bhi aap apne moHabbat bhare comment se himmat baRhaate raheNge....Khush rahiye, salaamat rahiye.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: September 22, 2012, 01:35:11 PM »
Reply with quote
Haider Bhai ,,Salam Alaikum

Apke ma'yari kalamo'n se najane hum jaise kitni hi nauamoz mustafeed ho rahe hai'n aur Inshallah Hote rahenge...Ghazal ki tareef karna suraj ko diya dikhane jaisi baat hai ....Shahkaar ghazal ke liye aap hazarah dad qubool kare'n ....Ye koi nahi baat nahi ke humne apko parhke sher kahene sikhe'n ..Allah apko ek taweel umr se nawaze ....

Talib e ilm

Qadeertoopchi
Biraadarm Qadeer Junaid, A'laikum al- salaam wa raHmatullah !
Aap jaise munkasirul mizaaj, daqeeq naZar aur a'meeq fikr waale ahl e adab jab is andaaz se kalaam par daad dete haiN to baar e shrmsaari se fikr Hairaan o pareeshaan ho kar reh jaati hai aur jawaaban shukriya adaa karne ke liye alfaaZ nahiN milte. Aap ki daad mere kalaam ke liye sanad ka darja rakhti hai. Aap ki daad o sitaaish ke liye intihaaie sipaas guzaar hooN, Dua'aoN meN yaad rakhiye. Allah aap ki taufeeqaat meN iZ'aafa farmaye.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: September 22, 2012, 01:48:44 PM »
Reply with quote
Adab ... bahut umda peshkash haider jee  Applause Applause Applause Thumbs UP
Suman59 ji aadaab !
Kalaam ki qadr o qeemat, us ki pazeeraaie aur qubooliyyat se mutaa'yyan hoti hai. Aap ne daad de kar is adnaa si kaavish ko qeemati banaa diyaa hai. Peshkash ko pasand karne ke liye aap ka shukriya adaa karnaa apnaa farZ' samajhtaa hooN. Allah aap ko khush rakhe salaamat rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: September 22, 2012, 01:56:18 PM »
Reply with quote
Bahut he sundar Gazal hai...bahut khoob.. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Nishi Gahlaut ji Ye aap ka Husn e naZar hai jis ne Ghazal ki sundarta ko aur bhi baRha diya hai.
Husn aataa hai jo ghazal meN naZar, Husn wo aap ke khayaal ka hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #20 on: September 22, 2012, 10:19:39 PM »
Reply with quote
bahut khoob ,Haider saheb.Ghazal parh kar waqai maza aa gaya.bahut mubarakbaad.
Baarak Allaho Feek moHtaram F.H.SIDDIQUI,
Aap ki daad naa cheez ke kalaam ke liye baRi ahammiyyat rakhti hai. Aap ki dili moHabbat aur i'naayaat ke liye shukr guzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: September 22, 2012, 10:26:38 PM »
Reply with quote
bahot hi numda ghazal.....bahot khoob, really very nice!
Janaab Sps ji aap ki pur khulooS moHabbat ke liye sipaas guzaar hooN. Be Hadd shukriya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #22 on: September 22, 2012, 10:40:38 PM »
Reply with quote
Haider Sahaab Aadaab!


Mashaa Allaah janab kia kahne aapke andaaz e
bayaaN ke behad umda gazal kahi hai janab...
Behad dilkash aur khoobsurat ahsaas O khayaal
ko umdaa lafzoN meiN baNdha hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad dilkash rahe..
Is umda kavish par humari hazaaroN dili daad O
Mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda hafez... Usual Smile


Janaab ParwaaZ ji, aap ne apne comment se mujhe mutaHayyar kar diya hai ke ab kis TarH aur kin alfaaZ meN aap ka shukriya adaa karooN...
i'zzat jo di hai aap ne mujh se Haqeer ko, Allah sar buland rakhe aap ko sadaa. Pur khulooS moHabbat ke sath aap ka shukr guzaar hooN.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #23 on: September 23, 2012, 08:43:51 AM »
Reply with quote
Rukh se parde ko haTaa do to maza aa jaaye.
Jalva e Husn dikhaa do to maza aa jaaye.

Apni masti bhari aankhoN se pilaa kar do jaam,
Ham ko mastaana banaa do to maza aa jaaye.

A’ashiq e zaar ki Haalat pe karam farmaao,
Dard e furqat ki davaa do to maza aa jaaye.

Lazzat e sozish e jaaN ishq meN kuchh ham ko mile,
Shama’ ulfat ki jalaa do to maza aa jaaye.

Apni zulfoN ka banaa kar na rakho Sirf aseer,
Jurm e ulfat pe sazaa do to maza aa jaaye.

Apne haathoN se moHabbat bhare andaaz ke saath,
Tum hameN zehr pilaa do to maza aa jaaye.

Hai Talabgaar e wafaa deke dil apnaa Haider,
Tum agar saath nibhaa do to maza aa jaaye.
[/quote]



Bahut khoooob Haider Saheb,
Badi khushnuma ghazel pesh ki hai aapne, Mubarak ho.

Aapke jaise ghazalkaar agar milte rahen
Sukoon-E-Rooh mile Dil ko mazaa aa jaye

SARVESH RASTOGI
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #24 on: September 26, 2012, 03:50:17 PM »
Reply with quote




Bahut khoooob Haider Saheb,
Badi khushnuma ghazel pesh ki hai aapne, Mubarak ho.

Aapke jaise ghazalkaar agar milte rahen
Sukoon-E-Rooh mile Dil ko mazaa aa jaye

SARVESH RASTOGI
MoHtaram Sarvesh Rastogi ji, Mere paas aap ki dili moHabbat aur navaazish ke liye Sirf pur khulooS tashakkur ke alfaaZ haiN. Aap ki baRi mehrbaani hai ke aap ne ghazal pasand ki, Daad o mubarakbaad se navaza. Mujhe be Hadd khushi hai ke aap ghazal se luTf-andoz huve. Ummeed hai ke aap ki karam farmaaie mere saath bar-qaraar rahe gi. MukhliS: Haider
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #25 on: September 27, 2012, 09:43:17 AM »
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
MiSra' e TarH "Tum hameN zehr pilaa do to maza aa jaaye" par apni naa cheez si kaavish, aap aHbaab ki khidmat meN pesh kar rahaa hooN.



Rukh se parde ko haTaa do to maza aa jaaye.
Jalva e Husn dikhaa do to maza aa jaaye.


Apni masti bhari aankhoN se pilaa kar do jaam,
Ham ko mastaana banaa do to maza aa jaaye.



A’ashiq e zaar ki Haalat pe karam farmaao,
Dard e furqat ki davaa do to maza aa jaaye.


Lazzat e sozish e jaaN ishq meN kuchh ham ko mile,
Shama’ ulfat ki jalaa do to maza aa jaaye.


Apni zulfoN ka banaa kar na rakho Sirf aseer,
Jurm e ulfat pe sazaa do to maza aa jaaye.


Apne haathoN se moHabbat bhare andaaz ke saath,
Tum hameN zehr pilaa do to maza aa jaaye.


Hai Talabgaar e wafaa deke dil apnaa Haider,
Tum agar saath nibhaa do to maza aa jaaye.


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:14:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer