Tum ney bahut diyaa hai mujhey koyee shak naheen!

by abdbundeli on September 26, 2008, 09:56:07 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2579 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Mein, rind-e-balaanosh naheen: jaantey ho tum!
Fir bhi, mujhey hai hosh naheen? Jaantey ho tum!

Peetaa hoon baarhaa wahee jo talkh-e-barq ho!
Mein shakhs khudfarosh naheen: jaantey ho tum!

Tum ney bahut diyaa hai mujhey koyee shak naheen!
Ehsaan faramosh naheen: jaantey ho tum!!

Gaaney ko, beykhudee mein gaa chukaa hoon mein gazal;
Baaqee, magar, wo josh naheen: jaantey ho tum!!

Zaahid ko hai haraam; 'Abd' ko halaal hai:
Yeh may hai! Aab-e-nosh naheen: jaantey ho tum!

                                   - abd bundeli

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 26, 2008, 10:36:45 PM »
Reply with quote
Beautiful Ghazal Abd Ji Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2008, 03:07:15 AM »
Reply with quote
kya baaaat hain logho ki raat nashili hoti hain aapne to meri subah nashili kardi maza aa gaya
Mein, rind-e-balaanosh naheen: jaantey ho tum!
Fir bhi, mujhey hai hosh naheen? Jaantey ho tum!

Peetaa hoon baarhaa wahee jo talkh-e-barq ho!
Mein shakhs khudfarosh naheen: jaantey ho tum!

Tum ney bahut diyaa hai mujhey koyee shak naheen!
Ehsaan faramosh naheen: jaantey ho tum!!

Gaaney ko, beykhudee mein gaa chukaa hoon mein gazal;
Baaqee, magar, wo josh naheen: jaantey ho tum!!

Zaahid ko hai haraam; 'Abd' ko halaal hai:
Yeh may hai! Aab-e-nosh naheen: jaantey ho tum!

                                   - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: September 27, 2008, 05:22:54 AM »
Reply with quote
Celmira ji / sajid_ghayel ji,
Kyaa baat hai, ki, baad-e-sahar hai yeh kahaan kee:,
Jis ney, dil-o-jigar mein gulshan khilaa diye hain!
Bulbul bhi gaa uthhee hai, chahkee hain fir fazaayen;
Sur, mil rahey suron sey, ghungharoo hilaa diye hain!!

                                   - abd bundeli
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2008, 08:46:38 AM »
Reply with quote
Waah...very innocent and beautiful lines Abd Ji !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2008, 09:44:29 AM »
Reply with quote
Celmira ji,
     Shukriyaa!
           - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2010, 05:38:28 PM »
Reply with quote
Mein, rind-e-balaanosh naheen: jaantey ho tum!
Fir bhi, mujhey hai hosh naheen? Jaantey ho tum!

Peetaa hoon baarhaa wahee jo talkh-e-barq ho!
Mein shakhs khudfarosh naheen: jaantey ho tum!

Tum ney bahut diyaa hai mujhey koyee shak naheen!
Ehsaan faramosh naheen: jaantey ho tum!!

Gaaney ko, beykhudee mein gaa chukaa hoon mein gazal;
Baaqee, magar, wo josh naheen: jaantey ho tum!!

Zaahid ko hai haraam; 'Abd' ko halaal hai:
Yeh may hai! Aab-e-nosh naheen: jaantey ho tum!

                                   - abd bundeli



 Applause Applause Applause Applause
Excellant  Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: January 30, 2010, 04:05:06 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
Excellant  Thumbs UP

Thanks a lot, 'malli' ji!

           - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #8 on: January 31, 2010, 03:39:26 AM »
Reply with quote
Hamare humsafar aankhon mein kuch manzer uta laye
Magar hum chalte-chalte raah ke pattar uta laye

Gaye jab aaine ke samne to hass ke vo bola
Priye, tum apni gardan per ye kiska ser uta laye

Hume to doobkar bi kuch na mil paya samandar se
Magar kuch log sahil tak gaye gauher uta laye..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: January 31, 2010, 06:18:58 AM »
Reply with quote

Hamare hamsafar aankhon mein kuch manzar utha laye
Magar ham chalte-chalte raah ke patthar utha laye

Gaye jab aaine ke samne to hans ke vo bola
Priye, tum apni gardan par ye kiska sar utha laye

Hame to doobkar bhi kuch na mil paya samandar se
Magar kuch log sahil tak gaye, gauhar utha laye..


Sundar hai, 'malli'! Bahut hi khoob!

Yahee to zindagee hai: ham hameen sey oob jaatey hain!
Safeeney kuchh, kinaarey tak pahunch kar doob jaatey hain!
Zarooree hai, magar fir bhi, bahar key paar tak kheynaa;
Jahaan koyee pahunch paataa naheen, mahboob jaatey hain!!

                               - abd bundeli  

Logged
malli
Guest
«Reply #10 on: January 31, 2010, 04:32:27 PM »
Reply with quote
Sundar hai, 'malli'! Bahut hi khoob!

Yahee to zindagee hai: ham hameen sey oob jaatey hain!
Safeeney kuchh, kinaarey tak pahunch kar doob jaatey hain!
Zarooree hai, magar fir bhi, bahar key paar tak kheynaa;
Jahaan koyee pahunch paataa naheen, mahboob jaatey hain!!

                               - abd bundeli  




Raahon mein kante hai, Phool nahi
Humne kanton ko bi narmi se chua hai lekin
Log, phool sa mera dil ko masalna bhoola nahi
Mai tumse dhur hu, dil se nahi
Khwaab mein ho magar haqiqatme tera saat nahi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 01, 2010, 12:07:25 PM »
Reply with quote

Raahon mein kante hai, Phool nahi
Humne kanton ko bi narmi se chua hai lekin
Log, phool sa mera dil ko masalna bhoola nahi
Mai tumse dhur hu, dil se nahi
Khwaab mein ho magar haqiqatme tera saat nahi


Chalo achchhaa hai: kaheen par to saath-saath hain ham!
Yeh qaraabat bhi to meyrey liye naheen hai kam!
Guzar rahey hain lamhey: mein bhi guzarney ko huun;
Isey raham kaho uskaa, ki, kaho isko sitam!!

                                - abd bundeli
Logged
mkv
Guest
«Reply #12 on: January 27, 2012, 04:39:35 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob ABD ji
vaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: January 30, 2012, 08:32:46 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob ABD ji
vaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause

Bahut-bahut Shukriyah, 'mkv' ji!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: January 30, 2012, 08:39:10 AM »
Reply with quote
malli ji bahut khoob
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Hamare humsafar aankhon mein kuch manzer uta laye
Magar hum chalte-chalte raah ke pattar uta laye

Gaye jab aaine ke samne to hass ke vo bola
Priye, tum apni gardan per ye kiska ser uta laye

Hume to doobkar bi kuch na mil paya samandar se
Magar kuch log sahil tak gaye gauher uta laye..

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:00:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer