Tum tassali na do... sirf baithe raho...

by sharmaarunkumar on December 19, 2004, 08:09:20 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 8958 times)
sharmaarunkumar
Guest
Reply with quote
Rukh se parda hata de zara saqiya, bas abhi rang-e-mehfil, badal jayega!
Jo behosh hai, hosh may ayega, girne wala jo hai, woh sambhal jayega!

Tum tasalli na do ,sirf baithe raho ,waqt kuchh mere marne ka, tal jayega!
Kya ye kam hai, masiha ke hone hi se ,maut ka bhi irada ,badal jayega!

Mera daman to jal hi chuka hai, magar aanch tum per bhi aaye, gawara nahin,
Mere ansoo na ponchho, khuda ke liye ,warna daman tumhara bhi ,jal jayega!

Phool kuch is tarah tod, aey bagbaan ,shaakh hilne na paye, na aawaaz ho,
Warna gulshan may phir, na bahar ayegi, har kali ka kaleja, dahal jayega!

Teer ki jaan hai dil, dil ki jaan teer hai ,teer se yoon na khelo, khuda ke liye,
Teer nikla to ,dil bhi nikal jaega, dil jo nikla to, dum bhi nikal jayega!




(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baithe baithe by Princess21 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
Muskuraatay Raho...! by mute_witness in Shayri-E-Dard
Muskuratey Raho by Pooja in Shairi - E - Zindagi
Aisi Tassali Rehne Do. Gham Jo Mile Hain Sehne Do,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Sirf ayr sirf usi ko yaad karti hoon.... by maya01 in Shayri-E-Dard
nishita
Guest
«Reply #1 on: December 21, 2004, 12:08:14 PM »
Reply with quote
nice sharmaji
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #2 on: December 21, 2004, 05:24:57 PM »
Reply with quote
Bahut Shukriya Nishita ji!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2004, 07:14:00 PM »
Reply with quote
nice!

 :D
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2004, 07:27:28 PM »
Reply with quote
Thanks!!! Usual Smile
Logged
khirbar
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2004, 08:12:35 AM »
Reply with quote
hi friends Usual Smile



nice poetry sharma jee

i like this ghazal and i hope u also like it




"Na gaanwaoo nowkey neem kash dill-e-rayza rayza gaanwa diya
Jo bachay hain sang sameyt lo tana-e-dagh dagh loota diya

Meyray charagher ko naveed ho saf-e-doshmana ko khaber karo
Jo wo hisab rakhtay thay jaan per wo hisab aaj chuka diya

Idher aik heraf ki kastani yahaan lakh uder tha ghuftani
Jo kaha to suun kay ura diya jo likha to perh kay mita diya

Jo rukay to koh geraanh thay hum jo chaly to jaan say guzer gay
Rah-i-yaar hum nay qadaam qadaam tujhay yaad gaar bana diya "

bye and take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2004, 10:32:01 AM »
Reply with quote
Very Nice ghazal !!!Good ji!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2004, 10:01:10 AM »
Reply with quote
hi friends  Usual Smile


thanks sharma jee

pathar kay mehloon mai matti kay insaan rehtay hain
bahar kay mausam mai bhi khizaan ki manind lagtay hain
billa sabab jhoti wafaaon kay dam bhernay walay
aisay he pathar aksar khuda bantay hain
zindagi ujray bagh ki tasveer hui hai
jab say hum bhanwroon ki misal
phoolon say gham chuntay hain baharoon kay
mausam to chand bay wafaoon kay naam ker diye
ab beth khizan main hum pachtaawoon say galay miltay hain
jinhoon nay apna wajood khud taarikion kay hawalay ker diya tha
ab kion gaye waqt per kaif-e-afsoos maltay hain
karl logoon nay hamain hujoom-e-gham mai bhi muskuratay dekha hai
issi liye ab aankh nam hai to chuptay phirtay hain
jo chowdhween ka sama ker dain aa ker mehfil main
karl woh chand phir din ki roshni mai rotay hain



bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #8 on: December 28, 2004, 03:07:34 PM »
Reply with quote
Bahut Badhiyaa!!! Very Nice!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 20, 2005, 10:52:27 PM »
Reply with quote
WAH!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #10 on: January 21, 2005, 06:53:37 AM »
Reply with quote
shukriya!!!Pooja ji!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #11 on: February 13, 2005, 06:34:25 AM »
Reply with quote
hi  Usual Smile



Gher say tayra ashna hona
Goyah acha hay bura hona

kasi jankah hay zameer ki moot
Kitna assan hay beywafa hona

Nasha-e-lazta-e-gunah kay baad
Sakhet mushkill hay parsa hona

Admee ko Khuda na dikhlay
Kabhi admee ka Khuda hona

Dill ki batoon pay kon jay khirbar
Assay dushman ka dost kiya hona

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #12 on: February 13, 2005, 07:40:00 PM »
Reply with quote
wow! wow! Marvellous!! Khirbar ji!!!Waaaah! Usual Smile  :D
Logged
khirbar
Guest
«Reply #13 on: February 14, 2005, 10:41:49 AM »
Reply with quote
hi  Usual Smile


thanks sharma jee yeh aap ki keram nawai hay
bus aap jasay lohoon ki hoslaafizi millti rahi to inshallah
ham bhi kuch na kuch baan jain gay
aaj app nay koi taza kalaam nahi sunaya
anyways thanks for compliment

i like Ahmad faraz .he is apoet

this one is Faraz
i hope u like it

Aab kay rut badli to khusbu ka safer deykhay ga kon
Zakham phoolon ki terhaan mehkain gay per deykhay ga kon

Deykhna sab raqs-e-bismill main magan ho jain gay
Jis teraf say teer aay ga udher deykhay ga kon

Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qatill say huay
Teyray hathoon kay neshan aay charager deykhay ga kon

woh hawass ho yah wafa ho baat mehroomi ki hay
Log to phaal phool deykhain gay shajer deykhay ga kon

Mayeri awaz kay saay mayray baam-o- der pay hain
Mayray lafzoon main uter ker mayra gher deykhay ga kon

Ham charagh-e-shaab hi jab thehray to phir kiya sochna
Raat thi kis ka muqader aur seher deykhay ga kon

Aa faseel-e-sher say deykhain ghanimain sher ko
Sher jalta ho to tuj kobaam per deykhay ga kon

Her koi apni hawa main mast pherta hay Faraz
Sher-e-napurrasan main teyri chashm-e-ter deykhay ga kon

bye take care
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #14 on: February 21, 2005, 06:50:03 AM »
Reply with quote
Good one!! Waaah! Khirbar ji!!! :lol:
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:46:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer