TUMHAARE DIL PE HUMEIN IKHTIYAAR HAI K NAHIN

by waquif ansari on April 30, 2012, 11:50:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1148 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Aik Online Tarahi Mushaira jo k 28-04-2012 ko FACEBOOK (Janab Tauqeer Zaidi Saheb k “MUHABBAT” Group) meiN hua jiska Misra Tarah (Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai k nahiN) Kaifi Azmi ki mashhoor-o-maaroof ghazal se diya gaya tha, isi misre-tarah par ye Tarahi Ghazal aap sabhi k roo-ba-roo rakhna chaahta hooN, apni aara se zaroor nawaziyega:

GuloN ke bhes meiN parwardah Khaar hai k nahiN
Bashar ki shakl meiN parwardigaar hai k nahiN

Nazar udaas, faza sogawaar hai k nahiN
Har aik chehra yahaN ishtehaar hai k nahiN

Kuchh uska dekh looN qaulo-qaraar hai k nahiN
Ye kaise kah dooN mujhe aitebaar hai k nahiN

Chahaar samt fughaaN, izteraar hai k nahiN
Jidhar bhi dekheN ghume-rozgaar hai k nahiN

Qareeb ho k bhi woh sharmsaar hai k nahiN
“Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai k nahiN”

HaTa ke chehre se zulfeN dikhaao teere-nazar
Ye kaise kah dooN k rukhsaare-yaar hai k nahiN

Qareeb aao kuchh itna k ye pata to chale
Tumhaare dil pe humeiN ikhtiyaar hai k nahiN

Hum un ke aane se pahle hi jaan lete haiN
Hawa ke dosh pe booye-khumaar hai k nahiN

Nigaahe-naaz se yooN poochh baiThe wo mujh se
Ki beqaraar ko sabro-qaraar hai k nahiN

BatayeN Aib to dekheN zaroor aap apne
GharoN meiN sheesha-e-izzo-weqaar hai k nahiN

Nazar utha ke zara dekhiye chaman meiN janaab
KhizaaN ka chaaroN Taraf iqtedaar hai k nahiN

Ghareebi, bebasi, bechaargi ke Aalam meiN
Halaak hota hua kaashtkaar hai k nahiN

Ghareeb khoon ugalte hi ja rahe haiN magar
Surooro-kaif meiN sarmaayadaar hai k nahiN

Lahu lahu meiN nahaaya huwa hai lauho-qalam
Aroozo-fun meiN bayaaN Khaaksaar hai k nahiN

Sabhi zabaanoN se yakta hai munfarid lehja
Zabaane-Urdu yahaN taajdaar hai k nahiN

Bujhe bujhe se nazar aate ho humeiN WAQUIF
Dil apna dekh to lo shahryaar hai k nahiN

(WAQUIF ANSARI)
30-04-2012
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 30, 2012, 11:56:00 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #2 on: April 30, 2012, 11:59:36 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
himanshuIITR
Guest
«Reply #3 on: April 30, 2012, 12:16:16 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: April 30, 2012, 12:24:42 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya janab sksaini saheb........

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2012, 12:30:59 PM »
Reply with quote
Waah waah
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #6 on: May 01, 2012, 10:43:22 AM »
Reply with quote
Dear amit prakash meet saheb, thanks for your clappings.

(waquif ansari)

Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 01, 2012, 07:02:20 PM »
Reply with quote
Waquif  bhai , AOA . Muazrat  khwaah  hoon  ki  aapki  ye  ghazal  der  se  parhne  ko  mili . Aap  ki  kami  Yoindia Shayariadab   per   mahoos  hoti  hai .  Khair   aaj  parh kar  bahut  musarrat  ho  rahi  hai .... Ghazal  ki  kya  tareef  karoon . Thheek usi  meiyaar  ki  hai  jiski  aap  se  ummeed  ki  jaati  hai. Meri  taraf  se  bahut  bahut  mubarak baad  aur  daad  qubool  kijye . Ummeed  karta hoon ,  aur  darkhwast  bhi , ki  aap  abb  Bazm  mein  aate  raheinge . Duago, Hasan
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #8 on: May 01, 2012, 08:29:00 PM »
Reply with quote
Waquif Ansari sahab, bahot shukriya,,,,aap ne itni achi ghazal pesh ki! Padh kar mazaa aa gaya. Mubarakbad!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2012, 07:31:11 AM »
Reply with quote
himanshuIITR ji, aapka bahut bahut shukriya janab is daad o tehseen k liye. Khush rahen aabaad rahen.

(waquif ansari)

icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: May 07, 2012, 08:27:59 AM »
Reply with quote
Taakheer k liye ma.azrat chaahta hooN. Aapne is ghazal ki tareef ki is ke liye aapka shukriya ada karna apna farz samajhta hoon.

(waquif ansari)

icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: May 08, 2012, 04:13:12 AM »
Reply with quote
janab masoom shahjada sahab, aapka bahut bahut shukriya k khaaksaar ko apni muhabbatoN se aap ne nawaza. Aap se isi tarah ki tawaqqo aaindah bhi karta hooN.

(waquif ansari)

Waah waah
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: May 17, 2012, 11:03:27 AM »
Reply with quote
Thank you very much masoom shahjada saheb for your comments.

(waquif ansari)


Waah waah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:09:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer