TUMHAARI TARAF DAM-BA-DUM DEKHTE HAIN (Waquif Ansari)

by waquif ansari on September 24, 2009, 09:50:44 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 7397 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: February 11, 2010, 01:26:23 PM »
Reply with quote
Hello Waquif ji,
Aapne bohot hi umda ghazal likhi hai....

I have written 2 shers.....

suna hai aangan, dar-o-deewar mein hai udaasi
hum apne ghar mein jaise ek maatam dekhte hai

aalam-e-taqreer main ghum ka fasana to nahin tha
dasht-e-tanhaai mein badla huwa mausam dekhte hai!


Very nice Bharat
Logged
malli
Guest
«Reply #16 on: February 11, 2010, 01:38:32 PM »
Reply with quote
Na duniya na duniya ke gham dekhte haiN
Tumhaari taraf dam-ba-dam dekhte haiN

Kisi ko ziyaada na kam dekhte haiN
Jo jaisa hai waisa hi hum dekhte haiN

Kuchh aise bhi haiN daur-e-haazir ke insaaN
Jo duniya ko zere-qadam dekhte haiN

Halaakoo jise log kahte the kal tak
Use aajkal mohtaram dekhte haiN

Sadi ki shuruaat achchhi nahiN hai
Bahar-su qayaamat raqam dekhte haiN

Wo jis par koi jurm saabit nahiN hai
Usi shakhs ka sar qalam dekhte haiN

UnhiN ke usuloN pe chalna hai “Waquif”
BuzurgoN ke naqshe-qadam dekhte haiN

 Applause Applause Applause Applause Applause
Wonderful Ansari Sb  Thumbs UP
Logged
malli
Guest
«Reply #17 on: February 11, 2010, 01:40:45 PM »
Reply with quote
Hello Waquif ji,
Aapne bohot hi umda ghazal likhi hai....

I have written 2 shers.....

suna hai aangan, dar-o-deewar mein hai udaasi
hum apne ghar mein jaise ek maatam dekhte hai

aalam-e-taqreer main ghum ka fasana to nahin tha
dasht-e-tanhaai mein badla huwa mausam dekhte hai!


Bahut acche Bharat ji  Thumbs UP
Logged
Bharat
Guest
«Reply #18 on: February 15, 2010, 06:21:35 PM »
Reply with quote
Talat,
Thanks for the appreciation.
Logged
Bharat
Guest
«Reply #19 on: February 15, 2010, 06:22:25 PM »
Reply with quote
Malli,
Sher pasand karne ke liye shukriya!
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #20 on: February 16, 2010, 02:37:25 PM »
Reply with quote
bahoooooot khoob janab.....dad kabool ho....
Bahut bahut shukriya Janab bekarar ji, isi tarah hauslaafzaai karte rahiye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #21 on: February 16, 2010, 02:39:15 PM »
Reply with quote
Janaab Waquif Ansari Sahab aapki ghazaleN meter mein nahin PARAMETER mein hoti hai iski tareef ke liye alfaaz mere pas to nahin hain bas yahi kahna chahunga ki ghazal define karne ke baad ise mishal ke taur per pesh kar dena chahiye. Aaj aapki ghazleN dekh dalunga, kuchh to seekh milegi..
janab drpandey ji. Aapki haseen khayalaat aur qadr-daani ka bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #22 on: February 16, 2010, 02:41:08 PM »
Reply with quote
Waqai Mein Ek Behtareen Ghazal Hai Waqiuf Bhai
Bahut Kuch Sikh Deti Hai...
Sach Men Hum Tareef Ke Kabil Nahi Hain

Khair

Khush Rahiye Janab....

~Shihab~


Shihab ji! Aapki qadr-daani ka bahut bahut shukriya. Isi tarah hausla-afzaai farmaate rahiye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #23 on: February 16, 2010, 02:42:57 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dear Khwaish ji! Aapne meri ghazal ko saraha, iske liye aapka bahut bahut shukriya. Isi tarah hausla-afzaayee karte rahiye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #24 on: February 16, 2010, 02:47:06 PM »
Reply with quote
Hello Waquif ji,
Aapne bohot hi umda ghazal likhi hai....

I have written 2 shers.....

suna hai aangan, dar-o-deewar mein hai udaasi
hum apne ghar mein jaise ek maatam dekhte hai

aalam-e-taqreer main ghum ka fasana to nahin tha
dasht-e-tanhaai mein badla huwa mausam dekhte hai!

Dear Bharat Ji! Aapki haseen alfaazoN ka bahut bahut shukriya aur sath hi do ashaar ka bhi shukriya ada karna chahta hooN.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #25 on: February 16, 2010, 02:50:59 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause
Wonderful Ansari Sb  Thumbs UP
Malli ji! Aapki daad-o-tahseen ka bahut bahut shukriya.
Logged
Bharat
Guest
«Reply #26 on: February 18, 2010, 06:38:03 PM »
Reply with quote
Dear Bharat Ji! Aapki haseen alfaazoN ka bahut bahut shukriya aur sath hi do ashaar ka bhi shukriya ada karna chahta hooN.

Waquif ji,
Sher pasand karne ke liye shukriya...
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #27 on: March 03, 2010, 09:34:00 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Ansari Saheb bahut khoob
SARVESH RASTOGI
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 08, 2025, 11:36:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer