-Tumhare Ghum Se Hume Fursaat-

by HumTum on July 10, 2009, 02:57:53 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1842 times)
HumTum
Guest
Reply with quote


Tumhare ghum se hume fursaat hi kahan mili
Qatra ke aankh nikal gaye khushii jahan milii

Muhoobat mein luut chuke ashiqon se humko
‘Ishq na farmaiyega hajjor’ yaahii salaah milii

Woh log kaun the ke jinko mila dard se nijaat
Zakhm hi zakhm mile humko nahii dawa milii

Tum to kehte the ke yeh shahar waffon wala hai
Haye! Humko to wohii bewaffaii barhaa milli

Jane yeh kaun sa rog lag gya hai mujhko iilaahii
Na kaaza hi aayi mujhko aur naa hii shiffa milli

Koi hum jaisii bhi muhobat tumko kar ke dhikaye
Wahan wahan kiye sajde tasveer terii jahan milli !!




Ghazal

by "HumTum"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zInDaHgHI MeIn JaB tUMHaRe GhUm NaHiN thAy by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
ghum by FArah in Shayri-E-Dard
~~~GHUM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
*~*Hum Tumhare Hain....Tumhare Sanam ! *~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
fursaat sa banaaya hoga by sandip4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2009, 03:11:53 PM »
Reply with quote
Oye hoye bro,

Aaj kal lagta hai chote bhaiya ko waqt mil raha hai shayari aur ghazal likhne ka Applause Applause Applause

Bahut khoob !

Daad kabool kijiye Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 10, 2009, 03:15:13 PM »
Reply with quote
welcome back HumTum ji!!! Bahoot khoob Likha hai!!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: July 10, 2009, 03:28:30 PM »
Reply with quote
Waah Bahoot Bahoot Khoob Hum Tum ji... bahoot Khoob
Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009


View Profile
«Reply #4 on: July 10, 2009, 04:40:23 PM »
Reply with quote
Sab kuch loota kar bhi keemat chuka na paye

Neelam huye phir bhi na humko wafa mili.......
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: July 11, 2009, 02:46:12 AM »
Reply with quote
very nice gazal Hum Tum ji,beautiful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: July 12, 2009, 10:45:35 AM »
Reply with quote
Wah Kya baat hai Humtum Ji.. Behad Khubsoorat Gazal Likhi hai aapne..!! Bahut dino baad aapki Qalam se Kuch Padhne Ko Mila..!! Really Great work.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: July 12, 2009, 10:49:56 AM »
Reply with quote


Tumhare ghum se hume fursaat hi kahan mili
Qatra ke aankh nikal gaye khushii jahan milii

Muhoobat mein luut chuke ashiqon se humko
‘Ishq na farmaiyega hajjor’ yaahii salaah milii

Woh log kaun the ke jinko mila dard se nijaat
Zakhm hi zakhm mile humko nahii dawa milii

Tum to kehte the ke yeh shahar waffon wala hai
Haye! Humko to wohii bewaffaii barhaa milli

Jane yeh kaun sa rog lag gya hai mujhko iilaahii
Na kaaza hi aayi mujhko aur naa hii shiffa milli

Koi hum jaisii bhi muhobat tumko kar ke dhikaye
Wahan wahan kiye sajde tasveer terii jahan milli !!




Ghazal

by "HumTum"


Wonderful gazal HumTum  Applause Applause Applause
Excellant work  Thumbs UP
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: July 12, 2009, 03:26:05 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

Bohot Khoob HumTum Ji  icon_thumleft


Ishq Waalon Ko To Bas Ek Yahi Adaa Mili,
Ya Mili Furqatain Ya Jhooti Wafa Mili
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: July 13, 2009, 08:33:53 AM »
Reply with quote
Shukriya Dosto.

Aur accha lagta agar dusre shayar bhi yha kucch patake chod ke jate... khair ... ik ne to choda hai ... Talat Ji... kya khoob likha hai. Kucch arz hai.


Woh aur honge mili jinko ishq mein sougateiN
Humko to jab bhi mili faqat sazza  milii

Unse muhoobat karne ka kucch ajab tajrubha rha
Kucch dard bhi mila humko kucch dua  milii

Yun to sard mousam mein dafan tha ishq magar
Bhadak gaye shole jab bhi kabhi hawaa milli !!




HumTum



Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: July 13, 2009, 05:56:18 PM »
Reply with quote
bahoth qoob har ashar apke umda shayar hone ki dalil hai bahoth qoob nachiz ki dad qobool kijiyega !! allah apko khush rakhe !!


Qadeertoopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: July 13, 2009, 06:38:42 PM »
Reply with quote
Shukriya Dosto.

Aur accha lagta agar dusre shayar bhi yha kucch patake chod ke jate... khair ... ik ne to choda hai ... Talat Ji... kya khoob likha hai. Kucch arz hai.


Woh aur honge mili jinko ishq mein sougateiN
Humko to jab bhi mili faqat sazza  milii

Unse muhoobat karne ka kucch ajab tajrubha rha
Kucch dard bhi mila humko kucch dua  milii

Yun to sard mousam mein dafan tha ishq magar
Bhadak gaye shole jab bhi kabhi hawaa milli !!




HumTum


Waah Bohot khoob HumTum  icon_thumleft

Ishq Main Mile Jo Ghum Saughaat Ban Ke Rehte Hain
Dard Ke Pal Bhi Haseen Lamhaat Ban Ke Rehte Hain

Dhadkanon Main Goonjta Hai Naam Us Sitamgar Ka
Ranj-o-Alam Dil Main Naghmaat Ban Ke Rehte Hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2009, 11:15:42 AM »
Reply with quote
Bahut Shukriya Qadeer Shahab... Ghazal kee pazeeraayee ke liye dilee mamnoon hoon.  Aapko hamare kucch Ashar pasand aaye mano hamari mehnat safal hui.

Talat Ji - bahut khoob.


                  Apni ankhooN mien chend ashq chupa rakhe hai
                  Dil-e-nadaN mein chend arman dabba rakhe hai

                  Woh aayenge ik roz bas issii umeed mein humne
                  Apne dariche mein chend diye jalaa rakhe hai !!


HumTum


 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 14, 2009, 05:10:25 PM »
Reply with quote
BOhat Achche Humtum Bhai,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: July 15, 2009, 01:23:29 PM »
Reply with quote
Talat Ji - bahut khoob.


                  Apni ankhooN mien chend ashq chupa rakhe hai
                  Dil-e-nadaN mein chend arman dabba rakhe hai

                  Woh aayenge ik roz bas issii umeed mein humne
                  Apne dariche mein chend diye jalaa rakhe hai !!


HumTum


Rasm-e-Wafa Hum Kuch Iss Tarah Nibhaaye Baithe Hain,
Aandhiyon Ke Darmiyaan Chiraagh Jalaye Baithe Hain

Muddatain Hui Toot Ke Bikhar Gaye The Khwaab Jo,
Un Ki Karchiyan Ab Bhi Aankhon Main Sajaye Baithe Hain

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:56:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer