-Tumhare Ghum Se Hume Fursaat-

by HumTum on July 10, 2009, 02:57:53 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1867 times)
smardia
Guest
«Reply #15 on: July 15, 2009, 01:41:07 PM »
Reply with quote
Badi jaandaar ghazal hai aapki.... Applause Applause Applause

Hame tou padhkar...Pyasa film ka wo geet yaad ho aaya...

"Jane wo kaise log they jinke pyar ko pyar mila...
Hamne tou jab kaliyen mangi kanto ka wo haar mila..."



Tumhare ghum se hume fursaat hi kahan mili
Qatra ke aankh nikal gaye khushii jahan milii

Muhoobat mein luut chuke ashiqon se humko
‘Ishq na farmaiyega hajjor’ yaahii salaah milii

Woh log kaun the ke jinko mila dard se nijaat
Zakhm hi zakhm mile humko nahii dawa milii

Tum to kehte the ke yeh shahar waffon wala hai
Haye! Humko to wohii bewaffaii barhaa milli

Jane yeh kaun sa rog lag gya hai mujhko iilaahii
Na kaaza hi aayi mujhko aur naa hii shiffa milli

Koi hum jaisii bhi muhobat tumko kar ke dhikaye
Wahan wahan kiye sajde tasveer terii jahan milli !!




Ghazal

by "HumTum"

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zInDaHgHI MeIn JaB tUMHaRe GhUm NaHiN thAy by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
ghum by FArah in Shayri-E-Dard
~~~GHUM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
*~*Hum Tumhare Hain....Tumhare Sanam ! *~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
fursaat sa banaaya hoga by sandip4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HumTum
Guest
«Reply #16 on: July 15, 2009, 01:51:41 PM »
Reply with quote
Shukriya smardia Usual Smile

Talat Ji ...

Umeed hai unke aane ki magar ik dar bhi hai
Meri dua'aien bhi goya be-asar si hai

Ik umr se mein faqat payasaa hi rha hoon
Kehne ko to ankhon mein samander bhi hai !!

HumTum

Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: July 15, 2009, 01:59:37 PM »
Reply with quote

Ummeedon Ki Shama Yunhi Jalaye Rakhna,
Khwaabon Ka Haseen Gulshan Sajaye Rakhna

Suna Hai Qubooliyat Ki Hoti Hai Ek Ghadi,
Harf-e-Dua Tum Dil Main Basaye Rakhna
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: July 15, 2009, 02:10:39 PM »
Reply with quote


Kiss umeed mein magar khawaab sajaye hum
Kiss ki rahooN mein ab ankhien bichaye hum

Kab lout kar aaye hai bhalla jane wale
Kya soch kar bhalla de usko sadaayieN hum !!


HT

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: July 15, 2009, 02:18:54 PM »
Reply with quote

Rasm-e-Wafa Hum Kuch Iss Tarah Nibhaaye Baithe Hain,
Aandhiyon Ke Darmiyaan Chiraagh Jalaye Baithe Hain

Muddatain Hui Toot Ke Bikhar Gaye The Khwaab Jo,
Un Ki Karchiyan Ab Bhi Aankhon Main Sajaye Baithe Hain


Nice Addiction,.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:50:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer