tumko haq hai........

by sana Afroz on November 17, 2014, 01:21:05 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1257 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #15 on: November 17, 2014, 01:31:25 PM »
Reply with quote
Tumko haq hai k tum malaal karo
apni hasti ka kuch khayaal kara..

( mahutrama sana sahibah ...aapke israr per hazir hun ...matla khoob hai ..taham maine jo mahsos kia wo likh raha hun ...matle ke dono hi misre  kisi se mukhatib ho kar kahe gaye hain ..jo ke achi baat hai ..taham dono hi misre wazahat talab hain ...pahle misre me lafz malal nakra hai ...amoman kisi shai ke khone ya kissi se haarne yaa kissi haadse ka malal kia jaata hai ...doosre misre me lafz e hasti ka khayal istemaal karke lafz e  malal ki jo shiddat bayan karne ki koshish ki gaaee hai wo laaiq e sitaaish to  hai magar qa"ari pe wazeh nahi ...matle yun bhi ho sakta hai ..

Haadson ka na yun malaal karo
gar hai himmat to khuch kamal karo

isme koi shak nahi ke meri tajweez har aib se paak ho ...aur aapka muttafiq hona bhi zarori nahi


kuch to mujh par bhi rahm dikhlao,
yun na nazron se tum halaal karo..


rahm dikhalaya nahi jaata kiya jaata hai ....sher yun bhi ho sakta hai ..

rahm hum per bhi ho kabhi jaana
sirf nazron se mat halaal karo

phir bhi lafz halaal khaliq ko munh chira raha hai ...phir qafiya  bhi ek majboori hai ..aap dekh len ..


jantey ho sabhi jawab jo tum ,
ban ke anjaan mat sawaal karo..

Pahla misra agar mai kahta to yun kahta zaroori nahi ke sahi ho

Tum ko maloom hain jawab sabhi
ban ke anjaan mat sawal karo


mujhpe to jurm sabhi aayed hain.
tum jo chahey karo kamaal karo..

ye sher meri samajh nahi aaya ...isme koi do rah nahi ke meri kam ilmi hai ...

hamko milta hai ye jawab  'sana'
chup bhi ho jaao !! Mat sawaal karo..

matla agarche acha hai ..taham isko doobara soonchne me koi harj nahi ...


daad behad o hisab aapki is shandaar ghazal ke huzoor ...

dua go

qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMKO DEKHA HAI by BHONDU in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumko dekha to by kaushikbhawna008 in Ghazals
Tumko Chaha... by Deepati in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumko by saahill in Miscellaneous Shayri
tumko by pawan16 in Shayri for Khumar -e- Ishq
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #16 on: November 17, 2014, 01:45:21 PM »
Reply with quote
shukriyaa !!!Qadeer shb
 main is poori ghazal par hi phir se nazar daal leti hoon ..
jaisa k maine kaha tha k main bhi to abhi tifl e maqtab hoon ..abhi seekhne k marhale par hoon ...mashq jari hai....
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #17 on: November 17, 2014, 04:13:08 PM »
Reply with quote
waaaah waaaah behad umda
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #18 on: November 18, 2014, 09:53:37 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaah Sana jee bahut khoob, yuN hi likhti rahiye.
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #19 on: November 18, 2014, 10:39:46 PM »
Reply with quote
Shukriya !!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:57:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer