Tune jhulfoN ko yuN jo chehre pe GIRAA rakha hai...!!

by ghayal_shayar on November 03, 2012, 05:18:35 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1319 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Ek din tanhaai aur bewafaai me jung chidd gayi, baat bas itni thi ki jyada dard kaun deti hai,, kaash jo koi mujh pe bhi taras khata ki rulaai to meri hoti hai, kisi ne pyar ko jismaani bhookh aur jarurat bataya, aur aisa keh ke mere saamne badi besharmi se sharmayaa,, ab sochta hun ki khush ho jaauN ki ab bewfaai na hogi, kyuNki wafa hi gayab hai, fir do aansu tapak padte haiN ki ab kaun kahega mehboob ko, ki tu khuda hai, tu rab hai, jo main chaahuN vo sab hai…..


Tune jhulfoN ko yuN jo chehre pe giraa rakha hai,
Maano kaali ghataaoN ne aaftaab chipaa rakha hai..

Darta hooN aaj kal ke aashiqoN ko dekh kar main,
Jo sabne bas rishta ek jismanaa bana rakha hai…

Khayal jiska ghazaloN me likhta hooN maiN yaaroN,
Naam us bewafa ka kal kisi ne khudaa rakha hai…

PalkoN ko, teri khatoN ka lifaafa bana liya humne,
AansuoN ke saare harf ko inpe hi sajaa rakha hai…

Vo chalne wala hai, vo chal chuka, pahunchega abhi,
MudadateN huiN, in baton se dil ko fuslaa rakha hai…

Kya ab bhi main “Taish” me na aauN mere yaaroN,
Na jane kab se khud yahaaN ghayal bana rakha hai…

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Tum Nazar Se Giraa To rahe Ho,. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 8 9 »
~~"NACHEEZ GIRAA SA HOO.N"~~by Shally. by k.shael in Ghazals
Kabhi nazar se giraa diyaa.............Rishi by Rishi Agarwal in Shayri-E-Dard
Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2 3  All »
Sharaab Unke Badan Pe Giraa Ke Peetaa HoN........masoom by Masoom Shahzada in Ghazals « 1 2  All »
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 03, 2012, 06:17:29 PM »
Reply with quote
aadaab ghayal jee
bahut sundar likhte hai aap.
maine beech me aapke kayee post padhe hai..par reply nahi kar paaya tha.
behatreen ghazal Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #2 on: November 03, 2012, 06:57:22 PM »
Reply with quote
Waah .... Khoob .... Acchhee ghazal kahi ghayal ji
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: November 03, 2012, 07:33:08 PM »
Reply with quote
Ek din tanhaai aur bewafaai me jung chidd gayi, baat bas itni thi ki jyada dard kaun deti hai,, kaash jo koi mujh pe bhi taras khata ki rulaai to meri hoti hai, kisi ne pyar ko jismaani bhookh aur jarurat bataya, aur aisa keh ke mere saamne badi besharmi se sharmayaa,, ab sochta hun ki khush ho jaauN ki ab bewfaai na hogi, kyuNki wafa hi gayab hai, fir do aansu tapak padte haiN ki ab kaun kahega mehboob ko, ki tu khuda hai, tu rab hai, jo main chaahuN vo sab hai…..


Tune jhulfoN ko yuN jo chehre pe giraa rakha hai,
Maano kaali ghataaoN ne aaftaab chipaa rakha hai..

Darta hooN aaj kal ke aashiqoN ko dekh kar main,
Jo sabne bas rishta ek jismanaa bana rakha hai…

Khayal jiska ghazaloN me likhta hooN maiN yaaroN,
Naam us bewafa ka kal kisi ne khudaa rakha hai…

PalkoN ko, teri khatoN ka lifaafa bana liya humne,
AansuoN ke saare harf ko inpe hi sajaa rakha hai…

Vo chalne wala hai, vo chal chuka, pahunchega abhi,
MudadateN huiN, in baton se dil ko fuslaa rakha hai…

Kya ab bhi main “Taish” me na aauN mere yaaroN,
Na jane kab se khud yahaaN ghayal bana rakha hai…


nice one
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2012, 12:39:07 AM »
Reply with quote
aadaab ghayal jee
bahut sundar likhte hai aap.
maine beech me aapke kayee post padhe hai..par reply nahi kar paaya tha.
behatreen ghazal Applause

janab der aaye durust aaye,aapne yahaaN asreef laa kar is ghazal ki ahamiyat aur badha di hai, umeed karta huN aapka saath yuNhi hum nausakhiyoN ko aage v milt rahegaa...
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: November 04, 2012, 12:39:19 AM »
Reply with quote
wah wah Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2012, 01:17:25 AM »
Reply with quote
Waah .... Khoob .... Acchhee ghazal kahi ghayal ji

Zarra ji bahut bahut shukriya atreef ka, bas aage v yuNhi saath nibhaate rahiye aap...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: November 04, 2012, 01:20:57 AM »
Reply with quote
bahut bahut hee laajawaab dheron daad
Logged
Aarish
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2012, 03:13:21 AM »
Reply with quote
bohut khoob taish jee nihayaat umda ghazal hai , kya baat hai, dheerronn daad qubool karen...
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2012, 06:37:04 AM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Wah Wah Behad Khubsurat Aur Behad Shandaar Ghazal Ghayal Sahab....
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: November 05, 2012, 12:50:47 AM »
Reply with quote
nice one

thanks bro...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: November 05, 2012, 07:12:00 AM »
Reply with quote
bahut khoob , ghayalji. daad pesh hai.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 05, 2012, 01:49:03 PM »
Reply with quote
wah wah Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Bahukhandi ji bahut bahut shukriya tashreef laane ka, yuNhi humari mehfileN roshan karte raheN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 06, 2012, 12:32:53 AM »
Reply with quote
bahut bahut hee laajawaab dheron daad

sir ji thanku ji, bas yuNhi guie karte raheN ji...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 06, 2012, 10:39:40 AM »
Reply with quote
bohut khoob taish jee nihayaat umda ghazal hai , kya baat hai, dheerronn daad qubool karen...

aarish ji aapki daad humare sar aaNkhon pe, bas yuNhi apno nazar hum par banaaye raheN aap...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:19:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer