UFF TERI YE ADAA....////................................////....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on June 20, 2013, 07:44:38 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3436 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #30 on: June 23, 2013, 02:56:36 PM »
Reply with quote
Iftekhar Sahab Salam Alaikum ,,

Ghazal ka sahi rang apki is ghazal me numaya'n hai ,, kya hi khumaar alod ghazal hai ...jiska eak eak sher apne khaleeq ki kamiyabi raqs kar raha hai aur qari se apni dad khud wasool kar raha hai ,, aisi nayab o nadir kalam per mai apko dad ki deghchi ke saat mubarakbad ka donga bhi pesh karta hun ...... zindabad ,,,,,

maqte ko dekh len ..bhr se kharij hai ... lafz Amn hai aman nahi ...ye FAAL ke wazn per 21 na ke FAOO ke wazn ( 12 ) aapne isko 12 banda hai jo ghalat hai .....ye meri rai hai aap kissi bhi mahir-e-fun se pooch sakte hain ....eak baar dad hazir hai aapki is shandaar ghazal ke huzoor ..

dua go
Qadeertoopchi
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #31 on: June 24, 2013, 09:26:14 PM »
Reply with quote

Sahal saheb tah-e-dil se shukriya hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #32 on: June 24, 2013, 09:27:04 PM »
Reply with quote
excellent,sir
Bahut bahut shukriya MB jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #33 on: June 24, 2013, 09:28:03 PM »
Reply with quote
angel11 Applause Applause Applause Applause
Laaiba jee, bahut bahut shukriya.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #34 on: June 24, 2013, 09:52:25 PM »
Reply with quote
khubsurat ghazal kahi hai iftakhar sahib ,khas taur se matla aur maqta bahut achha hai.Mubarak baad.
Bahut bahut shukriya Hasan saheb hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #35 on: June 24, 2013, 09:53:47 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause
Aadil saheb, bahut bahut shukriya.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #36 on: June 25, 2013, 02:36:08 AM »
Reply with quote
Wwwwaaaahhhhhhh .... laajawaab ...... Ghazab ki khoobsurati aur bala ki rawaanee hai apke qalaam mein ..... Apko dher saaree daad Iftakhar ji
Zarra jee, tah-e-dil se shukriya zarra nawaazi ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #37 on: June 25, 2013, 02:36:55 AM »
Reply with quote
ek rau bus.........!
Mohtarma, tah-e-dil se shukriya zarra nawaazi ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #38 on: June 25, 2013, 03:41:14 AM »
Reply with quote
waah! bahut khoob!
Shukriya janaab.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #39 on: June 26, 2013, 09:09:53 PM »
Reply with quote
Uffff  aapke  likhne  ka  andaaz ,outstanding Ahmed  ji .hats  off Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Mohtarma, tah-e-dil se shukriya zarra nawaazi ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #40 on: June 27, 2013, 03:32:39 AM »
Reply with quote
kasam se bahut dinoN baad koi gair muraddaf ghazal itni pasand aayi hai mujhe, saaheb ek rau to banta hai, par abhi hai nahiN to wait kijiye... waise qaafiye meN baaNkpan aur daf-atan ke istemaal ke liye bhi bas wah... ahcha laga aapki ye taazi ghazal padh kar saaheb... Usual Smile
Janaab, bahut bahut shukriya zarra nawaazi ka.
Logged
MinakshiGil
Guest
«Reply #41 on: June 27, 2013, 03:44:27 AM »
Reply with quote
kuch smaj nhi aya,saf saf lines me likha kro
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #42 on: June 28, 2013, 02:29:23 AM »
Reply with quote
Lab tere shabnami  mad bhare haiN nayan
Rukh tera chaaNd sa  sandaleeN hai badan

Gir rahi haiN  sanam  mujh  pe ab bijliyaaN
Uff  teri   ye   adaa    uff    tera  baaNkpan

Hai mujhe   sab   pata    aye   meri dilruba
Dil meiN haaN hai tere lab pe naa zaahiran     *Zaahiran: dikhaawe ka

Raat mehfil  meiN   kal   yuN  hua ittefaaq
Wo  mere    rubaroo    ho   gaye  daf-atan      *Daf-atan: achaanak se

Ishq  ye   paak   hai    ishq   be  daagh hai
Ayk hi  jaan  wo    haiN    bhale  do badan

Hai sanam   tere    aane    se  rangeeN fiza
Gul lage  jhoomne  khil   utha  hai chaman

Har sher bahut khoobsurat iftakhar bhai
dil khush ho gaya..

Mukesh bhai, tah-e-dil se shukriya hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #43 on: June 29, 2013, 12:15:38 AM »
Reply with quote
Iftekhar Sahab Salam Alaikum ,,

Ghazal ka sahi rang apki is ghazal me numaya'n hai ,, kya hi khumaar alod ghazal hai ...jiska eak eak sher apne khaleeq ki kamiyabi raqs kar raha hai aur qari se apni dad khud wasool kar raha hai ,, aisi nayab o nadir kalam per mai apko dad ki deghchi ke saat mubarakbad ka donga bhi pesh karta hun ...... zindabad ,,,,,

maqte ko dekh len ..bhr se kharij hai ... lafz Amn hai aman nahi ...ye FAAL ke wazn per 21 na ke FAOO ke wazn ( 12 ) aapne isko 12 banda hai jo ghalat hai .....ye meri rai hai aap kissi bhi mahir-e-fun se pooch sakte hain ....eak baar dad hazir hai aapki is shandaar ghazal ke huzoor ..

dua go
Qadeertoopchi
Qadeer saheb, bahut bahut shukriya zarra nawaazi ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #44 on: June 29, 2013, 12:17:08 AM »
Reply with quote
kuch smaj nhi aya,saf saf lines me likha kro
Mohtarma, yahaaN sabhi ko samajh aa gaya, bas aapki samajh meiN nahiN aaya, sorry I can't help, I don't find any thing to correct.
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:12:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer