Umr Kaat Di Maine

by suman59 on February 11, 2013, 02:57:27 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1745 times)
suman59
Guest
Reply with quote
Umr kaat di maine, dosti nibane mein
Fir bhi hai kahan koyi, mera is zamane mein

Jisko maine samjha tha, zindgee badal dega 
Aag vo laga baita, mere aashiyane mein

Intejaar karte hai  saath unke chalne ka 
Vaqt thahra  thahra hai, unka aane jaane mein

Jo sada hi laati thi unke aane ki aahat 
Rukh unheeN  hawaoN ka ab hai aajmane mein

Kisne ye badal daale, mayine hi chahat ke
Khushbuwon ka aalam hai, dil ke is thikaane mein

Jaaye nah koi maula khaali haath is dar se
Rehmete ata kar de, is gareeb-khane mein

Ae hawa bata do jaake aaj unse dil ka haal
Baad muddadon ke bhi chah is diwaane mein..
Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: February 11, 2013, 03:00:45 AM »
Reply with quote
bohut khoob ma"m bohut umda daad qubool kareN
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: February 11, 2013, 03:07:31 AM »
Reply with quote
bhut khub ji
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2013, 03:42:52 AM »
Reply with quote
Beautiful!!!!!!Umda.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 11, 2013, 03:52:15 AM »
Reply with quote
waah waah bdee khoobsoorat ghazal se nawaazaa hai bazm ko dheron daad aur mubarakbaad
Logged
poonamA
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2013, 04:35:58 AM »
Reply with quote
bahut sunder sumanjee
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2013, 04:57:18 AM »
Reply with quote
bahut  khubsurat  ghazal  hai , Suman ji . dheron  mubarakbad .
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2013, 05:32:27 AM »
Reply with quote
Behatreen ghazal..
wah wah wah
khayaal o ehsaas par khaas daad deta hun..
keep it up.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: February 11, 2013, 06:26:29 AM »
Reply with quote
Umr kaat di maine, dosti nibane mein
Fir bhi hai kahan koyi, mera is zamane mein

Jisko maine samjha tha, zindgee badal dega 
Aag vo laga baita, mere aashiyane mein

Intejaar karte hai  saath unke chalne ka 
Vaqt thahra  thahra hai, unka aane jaane mein

Jo sada hi laati thi unke aane ki aahat 
Rukh unheeN  hawaoN ka ab hai aajmane mein

Kisne ye badal daale, mayine hi chahat ke
Khushbuwon ka aalam hai, dil ke is thikaane mein

Jaaye nah koi maula khaali haath is dar se
Rehmete ata kar de, is gareeb-khane mein

Ae hawa bata do jaake aaj unse dil ka haal
Baad muddadon ke bhi chah is diwaane mein..


naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice
Logged
shubham goyal
Guest
«Reply #9 on: February 11, 2013, 06:55:18 AM »
Reply with quote
beautiful
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: February 11, 2013, 06:58:03 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya baat hai suman jee. so beautiful lines. bahut khoob aapne likha hai. dheron daad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2013, 07:22:45 AM »
Reply with quote
bht khoob ghazal
daad daad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #12 on: February 11, 2013, 07:23:17 AM »
Reply with quote
bht khoob ghazal
daad daad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: February 11, 2013, 11:00:13 AM »
Reply with quote
Suman Jee Aadaab!


WaaH jee waaH kia kahne badi hi khoobsurat kalaam kahi hai jee...
Gazab ke gehre aur umdaa ashaar kahe hai... Usual Smile

Matle se lekar maqte tak bade hi khoobsurat khayaaloN ka muzahera
kiya hai aapne.. Usual Smile

Humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Likhti rahiye.. bazm meiN aate rahiye...


Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: February 11, 2013, 11:10:03 AM »
Reply with quote
Umr kaat di maine, dosti nibane mein
Fir bhi hai kahan koyi, mera is zamane mein
yahi to ghalti ki aap ne.thoda khudgarz hona padta hai. take the world in your stride Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Jisko maine samjha tha, zindgee badal dega 
Aag vo laga baita, mere aashiyane mein
itna bhi bharosar acha nahin icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Intejaar karte hai  saath unke chalne ka 
Vaqt thahra  thahra hai, unka aane jaane mein
time is money and vice versa . why we only keep on waiting someone Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Jo sada hi laati thi unke aane ki aahat 
Rukh unheeN  hawaoN ka ab hai aajmane mein
bahut khoob .............! Applause Applause Applause
Kisne ye badal daale, mayine hi chahat ke
Khushbuwon ka aalam hai, dil ke is thikaane mein
zor mohabbat ka ek sa nahin rahta her waqt.
Jaaye nah koi maula khaali haath is dar se
Rehmete ata kar de, is gareeb-khane mein
wah bahut khoob amin ............! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Ae hawa bata do jaake aaj unse dil ka haal
Baad muddadon ke bhi chah is diwaane mein..

sharaab ye rindon ki diwaani kab se hui icon_flower icon_flower icon_flower

khushboodaar kalaam suman ji.............!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:53:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer