Urdu Se Pyar Karta Hai / उर्दू से प्यार करता है......Satish Shukla 'Raqeeb'

by Satish Shukla on March 23, 2013, 10:55:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1260 times)
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
हरेक लफ़्ज़ पे वो जाँनिसार करता है
अजीब शख्स है उर्दू से प्यार करता है

क़रीब आये कभी दिल में झाँक कर देखे
निगाहे नाज़ से अक्सर जो वार करता है

हमेशा चलते ही रहने की कैफ़ियत अच्छी
ठहर के वक़्त कहाँ इंतज़ार करता है

तआल्लुक़ात का मौसम अजीब मौसम है
कभी तो ख़ुश्क कभी ख़ुशगवार करता है

कहा था उसने ये दौराने-गुफ़्तगू इक दिन
जहे-नसीब है आँखें जो चार करता है

ग़मे-हयात के मंज़र हैं ज़ब्त दिल में बहुत
बयाँ वो करता है जब बेशुमार करता है

ख़मोश झील में फेंका है देखो फिर पत्थर
"वो कौन है जो मुझे बेक़रार करता है"

फ़रेब ही से छुरा पीठ में वो घोंप गया
वगरना, मर्द तो सीने पे वार करता है

अता हुयी है मुझे रहनुमाई उसकी 'रक़ीब'
क़दम-क़दम पे जो परवरदिगार करता है

--- सतीश शुक्ला 'रक़ीब'


harek lafz pe wo jaaNnisaar karta hai
ajeeb shakhs hai urdu se pyaar karta hai

qareeb aaye kabhee dil meN jhaaNk kar dekhe
nigaahe naaz se aksar jo waar karta hai

hamesha chalte hi rahne kee kaifiyat achchhee
thahar ke waqt kahaaN intezaar karta hai

taalluqaat ka mausam ajeeb mausam hai
kabhee to khushk kabhee khushgawaar karta hai

kaha tha usne ye daurane - guftgoo ik din
jahe-naseeb hai aaNkheN jo chaar karta hai

game-hayaat ke manzar hain zabt dil meN bahut
bayaaN wo karta hai jab beshumaar karta hai

khamosh jheel meN feNka hai dekho fir patthar
"wo kaun hai jo mujhe beqraar karta hai"

fareb hee se chhura peeth meN wo ghoNp gaya
wagarna, ,mard to seene pe waar karta hai

ataa huyee hai mujhe rahnumaaee uskee 'Raqeeb'
qadam-qadam pe jo parwardigaar karta hai

--- Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Qareeb Apne Jo Aayega, Woh Chaahe Ho 'Raqeeb' Apna....Satish Shukla 'Raqeeb' by Satish Shukla in Ghazals
Khaak Men Mil Gaye...Satish Shukla 'Raqeeb' / ख़ाक में मिल गए....सतीश शुक्ला 'रक़ीब' by Satish Shukla in Ghazals « 1 2  All »
Sabhee Ke Haq Ke Liye...Satish Shukla 'Raqeeb' / सभी के हक़ के लिए...सतीश शुक्ला 'रक़ीब' by Satish Shukla in Ghazals
Sabhee Ke Haq Ke Liye...Satish Shukla 'Raqeeb' / सभी के हक़ के लिए...सतीश शुक्ला 'रक़ीब' by Satish Shukla in Ghazals « 1 2 3  All »
मुए प्यार-व्यार में / Mue Pyar- Vyar Men...Satish Shukla 'Raqeeb' by Satish Shukla in Ghazals « 1 2  All »
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2013, 11:38:11 PM »
Reply with quote
हरेक लफ़्ज़ पे वो जाँनिसार करता है
अजीब शख्स है उर्दू से प्यार करता है

क़रीब आये कभी दिल में झाँक कर देखे
निगाहे नाज़ से अक्सर जो वार करता है

हमेशा चलते ही रहने की कैफ़ियत अच्छी
ठहर के वक़्त कहाँ इंतज़ार करता है

तआल्लुक़ात का मौसम अजीब मौसम है
कभी तो ख़ुश्क कभी ख़ुशगवार करता है

कहा था उसने ये दौराने-गुफ़्तगू इक दिन
जहे-नसीब है आँखें जो चार करता है

ग़मे-हयात के मंज़र हैं ज़ब्त दिल में बहुत
बयाँ वो करता है जब बेशुमार करता है

ख़मोश झील में फेंका है देखो फिर पत्थर
"वो कौन है जो मुझे बेक़रार करता है"

फ़रेब ही से छुरा पीठ में वो घोंप गया
वगरना, मर्द तो सीने पे वार करता है

अता हुयी है मुझे रहनुमाई उसकी 'रक़ीब'
क़दम-क़दम पे जो परवरदिगार करता है

--- सतीश शुक्ला 'रक़ीब'


harek lafz pe wo jaaNnisaar karta hai
ajeeb shakhs hai urdu se pyaar karta hai

qareeb aaye kabhee dil meN jhaaNk kar dekhe
nigaahe naaz se aksar jo waar karta hai

hamesha chalte hi rahne kee kaifiyat achchhee
thahar ke waqt kahaaN intezaar karta hai

taalluqaat ka mausam ajeeb mausam hai
kabhee to khushk kabhee khushgawaar karta hai

kaha tha usne ye daurane - guftgoo ik din
jahe-naseeb hai aaNkheN jo chaar karta hai

game-hayaat ke manzar hain zabt dil meN bahut
bayaaN wo karta hai jab beshumaar karta hai

khamosh jheel meN feNka hai dekho fir patthar
"wo kaun hai jo mujhe beqraar karta hai"

fareb hee se chhura peeth meN wo ghoNp gaya
wagarna, ,mard to seene pe waar karta hai

ataa huyee hai mujhe rahnumaaee uskee 'Raqeeb'
qadam-qadam pe jo parwardigaar karta hai

--- Satish Shukla 'Raqeeb'



with rau, gr8888888888888 ghazal,sir
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #2 on: March 24, 2013, 12:27:21 AM »
Reply with quote
Bahatreeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen.Really nice.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #3 on: March 24, 2013, 12:46:58 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Greatttttttttttt!! lajawaab, shandaar ghazal kahi hai Satish jee, maza aa gaya padh ke, khaastaur pe ye she'r bahut hi pasand aaye. DheroN daad aur ek Rau qubool kareiN meri taraf se. YuN hi aate rahiye aur hameiN nawaaztey rahiye apne hunar se, Masha Allah.

harek lafz pe wo jaaNnisaar karta hai
ajeeb shakhs hai urdu se pyaar karta hai

hamesha chalte hi rahne kee kaifiyat achchhee
thahar ke waqt kahaaN intezaar karta hai

game-hayaat ke manzar hain zabt dil meN bahut
bayaaN wo karta hai jab beshumaar karta hai


fareb hee se chhura peeth meN wo ghoNp gaya
wagarna, ,mard to seene pe waar karta hai

ataa huyee hai mujhe rahnumaaee uskee 'Raqeeb'
qadam-qadam pe jo parwardigaar karta hai
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #4 on: March 24, 2013, 01:03:40 AM »
Reply with quote
bahut bahut bahuuuuuuuut sunder satish......
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 24, 2013, 01:05:32 AM »
Reply with quote
hamesha chalte hi rahne kee kaifiyat
achchhee
thahar ke waqt kahaaN intezaar karta hai


wah kya kehne bahut khub sahab Applause

shad o aabaad rahiye

shihab
Logged
arunmishra
Guest
«Reply #6 on: March 24, 2013, 02:02:07 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
"ग़मे-हयात के मंज़र हैं ज़ब्त दिल में बहुत
 बयाँ वो करता है जब बेशुमार करता है "


बहुत खूब| पूरी ग़ज़ल बहुत अच्छी बन पड़ी है|
बधाई एवं शुभकामनायें|

-अरुण मिश्र. 
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: March 24, 2013, 02:04:08 AM »
Reply with quote
Behtreen
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: March 24, 2013, 02:21:12 AM »
Reply with quote
Raqeeb Sahaab Aadaab!


Masha Allaah janab Masha Allaah kia kaheN bus lafz hi nahi tareef ke liye
itni khoobsurat aur shaand aar gazal kahi hai aapne ke humare toH zaheN meiN
aapke ashaaroN ke sivaa kuch sujh hi nahi raha hai... Usual Smile


Behad umdaa ashaar kahe haiN janab sar taa paaN aik umdaa gazal kahi hai
aapne.. behad khoob... kisi kisi ashaar ko khaas kahkar dusre ashaaroN ko
kam kahnaa behad naiNsaafi hoNgi... Usual Smile


humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye.. bazm meiN shirkat karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye... Usual Smile


Khuda Hafez... Usual Smile



Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #9 on: March 24, 2013, 03:58:27 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: March 24, 2013, 01:11:05 PM »
Reply with quote
Jai sri krishna Satish sir
Bahut hi khoobsurat ghazal pesh kee hai aapne.
har sher ..aala darje ka..
Par ye vaala..
Bahut bahut khoob laga mujhe.

ख़मोश झील में फेंका है देखो फिर पत्थर
"वो कौन है जो मुझे बेक़रार करता है"

Bahut bahut mubarak

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: March 24, 2013, 01:45:54 PM »
Reply with quote
waah waah marhabaa marhaba
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: March 24, 2013, 06:03:08 PM »
Reply with quote

marhoom bahayaat Sahab,

Khaksaar ki adna see koshish par nazre inayat aur hausala afzai ka tahe dil se shukriya.......Raqeeb Lucknowi
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: March 24, 2013, 06:58:04 PM »
Reply with quote

Bahatreeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen.Really nice.

Thanks very much...Raqeeb
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: March 24, 2013, 07:46:07 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Greatttttttttttt!! lajawaab, shandaar ghazal kahi hai Satish jee, maza aa gaya padh ke, khaastaur pe ye she'r bahut hi pasand aaye. DheroN daad aur ek Rau qubool kareiN meri taraf se. YuN hi aate rahiye aur hameiN nawaaztey rahiye apne hunar se, Masha Allah.

harek lafz pe wo jaaNnisaar karta hai
ajeeb shakhs hai urdu se pyaar karta hai

hamesha chalte hi rahne kee kaifiyat achchhee
thahar ke waqt kahaaN intezaar karta hai

game-hayaat ke manzar hain zabt dil meN bahut
bayaaN wo karta hai jab beshumaar karta hai


fareb hee se chhura peeth meN wo ghoNp gaya
wagarna, ,mard to seene pe waar karta hai

ataa huyee hai mujhe rahnumaaee uskee 'Raqeeb'
qadam-qadam pe jo parwardigaar karta hai


Bahut bahut shukriya...Raqeeb Lucknowi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:05:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer