WAAH KYA KEHNE....////..........................////....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on July 20, 2013, 01:42:58 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1818 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
Reply with quote

AdaaeiN   shokhiyaaN   teri   nazaakat   waah   kya kehne
Ye lab rukhsaar aaNkheiN haiN qayaamat waah kya kehne

Tu khaalik do  jahaaN  ka  hai  tu maalik hai bahishtoN ka
Bahut ooNchi  Khuda   teri   hai  azmat  waah  kya kehne

NamaazeiN roz padhta  hai   jabeeN sajde meiN hi hardam
Magar dil  meiN  lagi   hai   haay   daulat waah kya kehne

JahaaN meiN  jhooth   ka   dekho   ye kaisa  bol baala hai
Kuchal di   hai  zamaane   ne sadaaqat   waah  kya kehne

Kiya  iqraar    dilbar      ne      mere    izhaar   pe  haNs kar
K sun  li  hai   Khuda    ne    ab ibaadat   waah kya kehne

Mere  dilbar    mere     ghar     aaj haiN     tashreef  le aae
Khuli  aisi   hai    apni    aaj      qismat waah     kya kehne

AdaaoN  pe     maiN     Iftakhar      ab  sadqe  chala jaauN
Tera ye  baaNkpan   nakhre   sharaarat   waah kya kehne
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: July 20, 2013, 02:07:51 PM »
Reply with quote


APKE KALAAM KI BAAT WAAH KY KEHNE,
ACHHE LAGE KHAYALAAT WAAH KYA KEHNE.

WAAH WAAH BOHUT KHOOB LIKHA HAI IFTIKHAR SAHAB APNE
LAJAWAAB

Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
soudagar
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2013, 04:26:26 PM »
Reply with quote
for this gazal......

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

with one  rau.......
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2013, 09:22:52 PM »
Reply with quote
bahut mushkil radeef nibhaya hai saaheb aapne, iske liye meri dilli daad aur ek rau qubool farmaaiye...!!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #4 on: July 20, 2013, 09:39:40 PM »
Reply with quote
waah waah Iftikhar ji
kya kehne aapke kalaam ke
bada hi khubaurat aur asardaar baate kahi apni ghazal me
tariff aur haqeeqat ki achi bayani

dili daad aur mubarakbaad kubul Karen

shukriya
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: July 20, 2013, 11:28:20 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
hats off to you iftakharji. bahut achchi peshkash. bade hi umda khayalon ke saath saji hui is khoobsurat ghazal par meri dili daad qubool kare aur ek rau bhi..
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #6 on: July 20, 2013, 11:43:30 PM »
Reply with quote

APKE KALAAM KI BAAT WAAH KY KEHNE,
ACHHE LAGE KHAYALAAT WAAH KYA KEHNE.

WAAH WAAH BOHUT KHOOB LIKHA HAI IFTIKHAR SAHAB APNE
LAJAWAAB

Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Sahal saheb bahut bahut shukriya hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: July 20, 2013, 11:53:35 PM »
Reply with quote
for this gazal......

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

with one  rau.......
Tah-e-dil se shukriya zaraa nawaazi ka Saudagar jee.
Logged
nashwani
Guest
«Reply #8 on: July 21, 2013, 12:18:36 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah iss khoobsurat peshkash ke kya kehne..
Jo bhi keh de tareef me bas ab kam hi hain wo rehne..happy9

Dhero dhero daad iftakhar jee..happy9
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: July 21, 2013, 03:47:13 AM »
Reply with quote

AdaaeiN   shokhiyaaN   teri   nazaakat   waah   kya kehne
Ye lab rukhsaar aaNkheiN haiN qayaamat waah kya kehne
qayamat ka manzar rongte khade karne wala hoga.....! icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Tu khaalik do  jahaaN  ka  hai  tu maalik hai bahishtoN ka
Bahut ooNchi  Khuda   teri   hai  azmat  waah  kya kehne
na allah se pahle koi na allah ke baad koi. sirf aur sirf allah hai.
NamaazeiN roz padhta  hai   jabeeN sajde meiN hi hardam
Magar dil  meiN  lagi   hai   haay   daulat waah kya kehne
iss ummat ka fitna maal hai. jaise her paighamber ke ummati ka koi na koi fitna hua karta tha....!
JahaaN meiN  jhooth   ka   dekho   ye kaisa  bol baala hai
Kuchal di   hai  zamaane   ne sadaaqat   waah  kya kehne
ji bahut sahi farmayaa...........! bahut afsos hota hai apne haal pe allah seraatal mustaqeem pe chalaaye amin.....! sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5
Kiya  iqraar    dilbar      ne      mere    izhaar   pe  haNs kar
K sun  li  hai   Khuda    ne    ab ibaadat   waah kya kehne
waise dono jahaan ki kaamyaabi mangna chahiye....!
Mere  dilbar    mere     ghar     aaj haiN     tashreef  le aae
Khuli  aisi   hai    apni    aaj      qismat waah     kya kehne
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard main koi lottery nahin hoon ji ki dollar le kar tumhaare gha aai hoon
AdaaoN  pe     maiN     Iftakhar      ab  sadqe  chala jaauN
Tera ye  baaNkpan   nakhre   sharaarat   waah kya kehne
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hardbolo bolo kya kahne.........!


mixed ashaar se saji ye ghazal bahut khoob........!
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #10 on: July 21, 2013, 03:57:49 AM »
Reply with quote
So Nice.
Logged
khujli
Guest
«Reply #11 on: July 21, 2013, 07:53:31 AM »
Reply with quote

AdaaeiN   shokhiyaaN   teri   nazaakat   waah   kya kehne
Ye lab rukhsaar aaNkheiN haiN qayaamat waah kya kehne

Tu khaalik do  jahaaN  ka  hai  tu maalik hai bahishtoN ka
Bahut ooNchi  Khuda   teri   hai  azmat  waah  kya kehne

NamaazeiN roz padhta  hai   jabeeN sajde meiN hi hardam
Magar dil  meiN  lagi   hai   haay   daulat waah kya kehne

JahaaN meiN  jhooth   ka   dekho   ye kaisa  bol baala hai
Kuchal di   hai  zamaane   ne sadaaqat   waah  kya kehne

Kiya  iqraar    dilbar      ne      mere    izhaar   pe  haNs kar
K sun  li  hai   Khuda    ne    ab ibaadat   waah kya kehne

Mere  dilbar    mere     ghar     aaj haiN     tashreef  le aae
Khuli  aisi   hai    apni    aaj      qismat waah     kya kehne

AdaaoN  pe     maiN     Iftakhar      ab  sadqe  chala jaauN
Tera ye  baaNkpan   nakhre   sharaarat   waah kya kehne

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower :icon_flower:ONE RAU BOSS!!!!!!!!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: July 21, 2013, 02:42:07 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: July 21, 2013, 02:45:12 PM »
Reply with quote
Tu khaalik do  jahaaN  ka  hai  tu maalik hai bahishtoN ka
Bahut ooNchi  Khuda   teri   hai  azmat  waah  kya kehne

NamaazeiN roz padhta  hai   jabeeN sajde meiN hi hardam
Magar dil  meiN  lagi   hai   haay   daulat waah kya kehne

JahaaN meiN  jhooth   ka   dekho   ye kaisa  bol baala hai
Kuchal di   hai  zamaane   ne sadaaqat   waah  kya kehne

Kiya  iqraar    dilbar      ne      mere    izhaar   pe  haNs kar
K sun  li  hai   Khuda    ne    ab ibaadat   waah kya kehne

Mere  dilbar    mere     ghar     aaj haiN     tashreef  le aae
Khuli  aisi   hai    apni    aaj      qismat waah     kya kehne

Bahut khoob Iftakhar bhai
bahut umda likha hai aapne.
par ye ashaar..dil ki gahraai se jude..
khush raheN..
aapki har dua qubool ho..aameen
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: July 21, 2013, 09:40:30 PM »
Reply with quote
waah waah waah kyaa kahne god bless u
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 11:28:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer